ghazalKuch Alfaaz

masti-e-rindana ham sairabi-e-mai-khana ham gardish-e-taqdir se hain gardish-e-paimana ham khun-e-dil se chashm-e-tar tak chashm-e-tar se ta-ba-khak kar gae akhir gul-o-gulzar har virana ham kya bala jabr-e-asiri hai ki azadi men bhi dosh par apne liye phirte hain zindan-khana ham raah men faujon ke pahre sar pe talvaron ki chhanv aae hain zindan men bhi ba-shaukat-e-shahana ham mitte mitte de gae ham zindagi ko rang-o-nur rafta rafta ban gae is ahd ka afsana ham ya jaga dete hain zarron ke dilon men mai-kade ya bana lete hain mehr-o-mah ko paimana ham qaid ho kar aur bhi zindan men udta hai khayal raqs zanjiron men bhi karte hain azadana ham masti-e-rindana hum sairabi-e-mai-khana hum gardish-e-taqdir se hain gardish-e-paimana hum khun-e-dil se chashm-e-tar tak chashm-e-tar se ta-ba-khak kar gae aakhir gul-o-gulzar har virana hum kya bala jabr-e-asiri hai ki aazadi mein bhi dosh par apne liye phirte hain zindan-khana hum rah mein faujon ke pahre sar pe talwaron ki chhanw aae hain zindan mein bhi ba-shaukat-e-shahana hum mitte mitte de gae hum zindagi ko rang-o-nur rafta rafta ban gae is ahd ka afsana hum ya jaga dete hain zarron ke dilon mein mai-kade ya bana lete hain mehr-o-mah ko paimana hum qaid ho kar aur bhi zindan mein udta hai khayal raqs zanjiron mein bhi karte hain aazadana hum

Related Ghazal

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

thoda likkha aur ziyaada chhod diya aane waalon ke li.e rastaa chhod diya tum kya jaano us dariyaa par kya guzri tumne to bas paani bharna chhod diya ladkiyaan ishq men kitnii paagal hoti hain phone baja aur choolha jalta chhod diya roz ik patta mujh men aa girta hai jab se maine jungle jaana chhod diya bas kaanon par haath rakhe the thodii der aur phir us aawaaz ne peecha chhod diye

Tehzeeb Hafi

262 likes

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

More from Ali Sardar Jafri

ik subh hai jo hui nahin hai ik raat hai jo kati nahin hai maqtoolon ka qahat pad na jaa.e qaateel ki kahii kamii nahin hai veeraanon se aa rahi hai awaaz takhleeq-e-junoon ruki nahin hai hai aur hi kaarobaar-e-masti jee lena to zindagi nahin hai saaqi se jo jaam le na badh kar vo tishnagi tishnagi nahin hai aashiq-kushi o fareb-kaari ye sheva-e-dilbari nahin hai bhookhon ki nigaah men hai bijli ye barq abhii giri nahin hai dil men jo jalaaii thii kisi ne vo sham-e-tarab bujhi nahin hai ik dhoop si hai jo zer-e-mizgaan vo aankh abhii u thii nahin hai hain kaam bahut abhii ki duniya shaista-e-aadmi nahin hai har rang ke aa chuke hain fir'aun lekin ye jabeen jhuki nahin hai

Ali Sardar Jafri

0 likes

ab aa gaya hai jahaan men to muskurata ja chaman ke phool dilon ke kanwal khilaata ja adam hayaat se pahle adam hayaat ke baa'd ye ek pal hai use jaavedaan banata ja bhatk rahi hai andhere men zindagi ki baraat koi charaaghh sar-e-rahguzar jalata ja guzar chaman se misaal-e-naseem-e-subh-e-bahaar gulon ko chhed ke kaanton ko gudgudaata ja rah-e-daraaz hai aur door shauq ki manzil garaan hai marhala-e-umr geet gaata ja bala se bazm men gar zauq-e-naghmagi kam hai nava-e-talkh ko kuchh talkh-tar banata ja jo ho sake to badal zindagi ko KHud warna nazaad-e-nau ko tareeq-e-junoon sikhaata ja dikha ke jalwa-e-farda banaa de deewaana naye zamaane ke rukh se naqaab uthaata ja bahut dinon se dil-o-jaan ki mahfilein hain udaas koi taraana koi dastaan sunaata ja

Ali Sardar Jafri

0 likes

aqeede bujh rahe hain sham-e-jaan gul hoti jaati hai magar zauq-e-junoon ki shola-saamaani nahin jaati KHuda maaloom kis kis ke lahu ki laala-kaari hai zameen-e-koo-e-jaanaan aaj pahchaani nahin jaati agar yuñ hai to kyun hai yuñ nahin to kyun nahin aaKHir yaqeen mohkam hai lekin dil ki hairaani nahin jaati lahu jitna tha saara sarf-e-maqtl ho gaya lekin shaheedaan-e-wafaa ke rukh ki tabaani nahin jaati pareshaan-rozgaar aashufta-haalaan ka muqaddar hai ki us zulf-e-pareshaan ki pareshaani nahin jaati har ik shay aur mahangi aur mahangi hoti jaati hai bas ik khoon-e-bashar hai jis ki arzaani nahin jaati naye KHvaabon ke dil men shola-e-khurshid-e-mahshar hai zameer-e-hazrat-e-insaan ki sultaani nahin jaati lagaate hain labon par mohr-e-arbaab-e-zabaan-ban dii ali-sardaar ki shaan-e-ghazal-khwaani nahin jaati

Ali Sardar Jafri

0 likes

laghzish-e-gaam li.e lagzish-e-mastaana li.e aa.e ham bazm men phir jur'at-e-rindaana li.e ishq pahluu men hai phir jalwa-e-jaanaana li.e zulf ik haath men ik haath men paimaana li.e yaad karta tha ha men saaqi-o-meena ka hujoom uth ga.e the jo kabhi raunaq-e-may-khaana li.e vasl ki subh shab-e-hijr ke baa'd aayi hai aaftaab-e-rukh-e-mahboob ka nazraana li.e asr-e-haazir ko mubarak ho naya daur-e-awaam apni thokar men sar-e-shaukat-e-shaahaana li.e

Ali Sardar Jafri

1 likes

subh har ujaale pe raat ka gumaan kyun hai jal rahi hai kya dharti arsh pe dhuaan kyun hai khanjaron ki saazish par kab talak ye khaamoshi rooh kyun hai yakh-basta naghma be-zabaan kyun hai raasta nahin chalte sirf KHaak udaate hain kaarwaan se bhi aage gard-e-kaarwaan kyun hai kuchh kamii nahin lekin koi kuchh to batlaao ishq is sitamgar ka shauq ka ziyaan kyun hai ham to ghar se nikle the jeetne ko dil sab ka teg haath men kyun hai dosh par kamaan kyun hai ye hai bazm-e-may-noshi is men sab barabar hain phir hisaab-e-saaqi men sood kyun ziyaan kyun hai den kis nigah ki hai kin labon ki barkat hai tum men jafari itni shokhi-e-bayaan kyun hai

Ali Sardar Jafri

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ali Sardar Jafri.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ali Sardar Jafri's ghazal.