subh har ujaale pe raat ka gumaan kyun hai jal rahi hai kya dharti arsh pe dhuaan kyun hai khanjaron ki saazish par kab talak ye khaamoshi rooh kyun hai yakh-basta naghma be-zabaan kyun hai raasta nahin chalte sirf KHaak udaate hain kaarwaan se bhi aage gard-e-kaarwaan kyun hai kuchh kamii nahin lekin koi kuchh to batlaao ishq is sitamgar ka shauq ka ziyaan kyun hai ham to ghar se nikle the jeetne ko dil sab ka teg haath men kyun hai dosh par kamaan kyun hai ye hai bazm-e-may-noshi is men sab barabar hain phir hisaab-e-saaqi men sood kyun ziyaan kyun hai den kis nigah ki hai kin labon ki barkat hai tum men jafari itni shokhi-e-bayaan kyun hai
Related Ghazal
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
tum sarvat ko padhti ho kitnii achchhii ladki ho baat nahin sunti ho kyun ghazlein bhi to sunti ho kya rishta hai shaamon se suraj ki kya lagti ho log nahin darte rab se tum logon se darti ho main to jeeta hooñ tum men tum kyun mujh pe marti ho aadam aur sudhar jaa.e tum bhi had hi karti ho kis ne jeans kari mamnoo'a pahno achchhii lagti ho
Ali Zaryoun
48 likes
jis tarah waqt guzarne ke li.e hota hai aadmi shakl pe marne ke li.e hota hai teri aankhoñ se mulaqaat hui tab ye khula doobne vaala ubharne ke li.e hota hai ishq kyun peeche hata baat nibhaane se miyaan husn to khair mukarne ke li.e hota hai aankh hoti hai kisi raah ko takne ke li.e dil kisi paanv pe dharne ke li.e hota hai dil ki dilli ka chunaav hi alag hai sahab jab bhi hota hai ye harne ke li.e hota hai koi bastii ho ujhadne ke li.e bastii hai koi mazma ho bikharna ke li.e hota hai
Ali Zaryoun
61 likes
baat karne hai baat kaun kare dard se do do haath kaun kare ham sitaare tumhein bulaate hain chaand na ho to raat kaun kare ab tujhe rab kahein ya but samjhen ishq men zaat-paat kaun kare zindagi bhar ki the kamaai tum is se zyaada zakaat kaun kare
Kumar Vishwas
56 likes
kitne aish se rahte honge kitne itraate honge jaane kaise log vo honge jo us ko bhaate honge shaam hue khush-baash yahaañ ke mere paas aa jaate hain mere bujhne ka nazzara karne aa jaate honge vo jo na aane vaala hai na us se mujh ko matlab tha aane waalon se kya matlab aate hain aate honge us ki yaad ki baad-e-saba men aur to kya hota hogaa yoonhi mere baal hain bikhre aur bikhar jaate honge yaaro kuchh to zikr karo tum us ki qayamat baanhon ka vo jo simtate honge un men vo to mar jaate honge meraa saans ukhadte hi sab bein karenge roenge ya'ni mere baa'd bhi ya'ni saans li.e jaate honge
Jaun Elia
88 likes
More from Ali Sardar Jafri
ab aa gaya hai jahaan men to muskurata ja chaman ke phool dilon ke kanwal khilaata ja adam hayaat se pahle adam hayaat ke baa'd ye ek pal hai use jaavedaan banata ja bhatk rahi hai andhere men zindagi ki baraat koi charaaghh sar-e-rahguzar jalata ja guzar chaman se misaal-e-naseem-e-subh-e-bahaar gulon ko chhed ke kaanton ko gudgudaata ja rah-e-daraaz hai aur door shauq ki manzil garaan hai marhala-e-umr geet gaata ja bala se bazm men gar zauq-e-naghmagi kam hai nava-e-talkh ko kuchh talkh-tar banata ja jo ho sake to badal zindagi ko KHud warna nazaad-e-nau ko tareeq-e-junoon sikhaata ja dikha ke jalwa-e-farda banaa de deewaana naye zamaane ke rukh se naqaab uthaata ja bahut dinon se dil-o-jaan ki mahfilein hain udaas koi taraana koi dastaan sunaata ja
Ali Sardar Jafri
0 likes
ik subh hai jo hui nahin hai ik raat hai jo kati nahin hai maqtoolon ka qahat pad na jaa.e qaateel ki kahii kamii nahin hai veeraanon se aa rahi hai awaaz takhleeq-e-junoon ruki nahin hai hai aur hi kaarobaar-e-masti jee lena to zindagi nahin hai saaqi se jo jaam le na badh kar vo tishnagi tishnagi nahin hai aashiq-kushi o fareb-kaari ye sheva-e-dilbari nahin hai bhookhon ki nigaah men hai bijli ye barq abhii giri nahin hai dil men jo jalaaii thii kisi ne vo sham-e-tarab bujhi nahin hai ik dhoop si hai jo zer-e-mizgaan vo aankh abhii u thii nahin hai hain kaam bahut abhii ki duniya shaista-e-aadmi nahin hai har rang ke aa chuke hain fir'aun lekin ye jabeen jhuki nahin hai
Ali Sardar Jafri
0 likes
aqeede bujh rahe hain sham-e-jaan gul hoti jaati hai magar zauq-e-junoon ki shola-saamaani nahin jaati KHuda maaloom kis kis ke lahu ki laala-kaari hai zameen-e-koo-e-jaanaan aaj pahchaani nahin jaati agar yuñ hai to kyun hai yuñ nahin to kyun nahin aaKHir yaqeen mohkam hai lekin dil ki hairaani nahin jaati lahu jitna tha saara sarf-e-maqtl ho gaya lekin shaheedaan-e-wafaa ke rukh ki tabaani nahin jaati pareshaan-rozgaar aashufta-haalaan ka muqaddar hai ki us zulf-e-pareshaan ki pareshaani nahin jaati har ik shay aur mahangi aur mahangi hoti jaati hai bas ik khoon-e-bashar hai jis ki arzaani nahin jaati naye KHvaabon ke dil men shola-e-khurshid-e-mahshar hai zameer-e-hazrat-e-insaan ki sultaani nahin jaati lagaate hain labon par mohr-e-arbaab-e-zabaan-ban dii ali-sardaar ki shaan-e-ghazal-khwaani nahin jaati
Ali Sardar Jafri
0 likes
aqeede bujh rahe hain sham-e-jaan ghul hoti jaati hai magar zauq-e-junoon ki shola-saamaani nahin jaati KHuda maaloom kis kis ke lahu ki laala-kaari hai zameen-e-koo-e-jaanaan aaj pahchaani nahin jaati agar yuñ hai to kyun hai yuñ nahin to kyun nahin aaKHir yaqeen mohkam hai lekin zid ki hairaani nahin jaati lahu jitna tha saara sarf-e-maqtl ho gaya lekin shaheedaan-e-wafaa ke rukh ki tabaani nahin jaati pareshaan-rozgaar aashufta-haalaan ka muqaddar hai ki us zulf-e-pareshaan ki pareshaani nahin jaati har ik shay aur mahangi aur mahangi hoti jaati hai bas ik khoon-e-bashar hai jis ki arzaani nahin jaati ye naghma naghma-e-bedaari-e-jamhoor-e-aalam hai vo shamsher-e-nawaa jis ki darkhshaani nahin jaati naye KHvaabon ke dil men shola-e-khurshid-e-mahshar hai zameer-e-hazrat-e-insaan ki sultaani nahin jaati lagaate hain labon par mohr arbaab-e-zabaan-ban dii ali-sardaar ki shaan-e-ghazal-khwaani nahin jaati
Ali Sardar Jafri
0 likes
zulm ki kuchh miyaad nahin hai daad nahin fariyaad nahin hai qatl hue hain ab tak kitne koo-e-sitam ko yaad nahin hai aaKHir royen kis ko kis ko kaun hai jo barbaad nahin hai qaid chaman bhi ban jaata hai murgh-e-chaman azaad nahin hai lutf hi kya gar apne muqaabil satwat-e-barq-o-baad nahin hai sab hon shaadan sab hon khandaan tanhaa koi shaad nahin hai daawat-e-rang-o-nikhat hai ye khanda-e-gul barbaad nahin hai
Ali Sardar Jafri
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ali Sardar Jafri.
Similar Moods
More moods that pair well with Ali Sardar Jafri's ghazal.







