ghazalKuch Alfaaz

meri tanhai badhate hain chale jaate hain hans talab pe aate hain chale jaate hain is liye ab main kisi ko nahin jaane deta jo mujhe chhod ke jaate hain chale jaate hain meri ankhon se baha karti hai un ki khushbu raftagan khvab men aate hain chale jaate hain shadi-e-marg ka mahaul bana rahta hai aap aate hain rulate hain chale jaate hain kab tumhen ishq pe majbur kiya hai ham ne ham to bas yaad dilate hain chale jaate hain aap ko kaun tamashai samajhta hai yahan aap to aag lagate hain chale jaate hain haath patthar ko badhaun to sagan-e-duniya hairati ban ke dikhate hain chale jaate hain meri tanhai badhate hain chale jate hain hans talab pe aate hain chale jate hain is liye ab main kisi ko nahin jaane deta jo mujhe chhod ke jate hain chale jate hain meri aankhon se baha karti hai un ki khushbu raftagan khwab mein aate hain chale jate hain shadi-e-marg ka mahaul bana rahta hai aap aate hain rulate hain chale jate hain kab tumhein ishq pe majbur kiya hai hum ne hum to bas yaad dilate hain chale jate hain aap ko kaun tamashai samajhta hai yahan aap to aag lagate hain chale jate hain hath patthar ko badhaun to sagan-e-duniya hairati ban ke dikhate hain chale jate hain

Related Ghazal

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen

Ahmad Faraz

130 likes

ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare

Tehzeeb Hafi

292 likes

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

More from Abbas Tabish

koi takra ke subuk-sar bhi to ho saka hai meri ta'aamir men patthar bhi to ho saka hai kyun na ai shaKHs tujhe haath laga kar dekhooñ tu mire vaham se badh kar bhi to ho saka hai tu hi tu hai to phir ab jumla jamaal-e-duniya teraa shak aur kisi par bhi to ho saka hai ye jo hai phool hatheli pe ise phool na jaan meraa dil jism se baahar bhi to ho saka hai shaakh par baithe parinde ko udaane waale ped ke haath men patthar bhi to ho saka hai kya zaroori hai ki baahar hi numoo ho meri meraa khilna mire andar bhi to ho saka hai ye jo hai ret ka teela mire qadmon ke tale koi dam men mire u uupar bhi to ho saka hai kya zaroori hai ki ham haar ke jeeten taabish ishq ka khel barabar bhi to ho saka hai

Abbas Tabish

8 likes

tum ho to qareeb aur qareeb-e-rag-e-jaan ho phir kyuuñ ye mujhe poochna padta hai kahaan ho mumkin hai ki is baag men dam ghutne ka baays khushboo jise kahte hain vo phoolon ka dhuaa ho tumse to padhi jaati nahin ashqon ki sataren jaise ye kisi aur jahaan ki zubaan ho is tarah sare-farsh-e-'aza bai thii hai taabish jaise ye udaasi kisi maqtool ki maa ho maa thii to mujhe raat nahin padtii thii baahar ab koi nahin poochta abbaas kahaan ho

Abbas Tabish

7 likes

tootte ishq men kuchh haath bantaate jaate saara malba mere u uupar na giraate jaate itni ujlat men bhi kya aankh se ojhal hona ja rahe the to mujhe tum nazar aate jaate kam se kam rakhta palatne ki tavqko tum se haath men haath liya tha to dabate jaate kin andheron men mujhe chhod diya hai tumne is se behtar tha mujhe aag lagaate jaate main bhi hota tere raaste ke darakhton men darakht is tarah dekh to leta tujhe aate jaate

Abbas Tabish

12 likes

judaai ka zamaana yuñ thikaane lag gaya tha bichhad kar usse main likhne likhaane lag gaya tha t abhii to zang aalooda hui talwaar meri main dushman par muhabbat aazmaane lag gaya tha abhii samjha raha tha vo mujhe bose ka matlab ki main shahtoot ke ras men nahaane lag gaya tha mohabbat ho nahin paai to uskaa kya karoon main ki main to us gali men aane jaane lage gaya tha t abhii to meri aankhoñ ko nahin rone ki aadat main chhoti umr men aañsu chhupaane lag gaya tha

Abbas Tabish

19 likes

ye bataa yaum-e-mohabbat ka samaan hai ki nahin shahar ka shahar gulaabon ki dukaaan hai ki nahin aadatan uske li.e phool khareede varna nahin maaloom vo is baar yahaañ hai ki nahin ye tere baad jo leta hooñ main lambi saansen mujh...ko ye jaanna hai jism men jaañ hai ki nahin ham to phoolon ke evaz phool liya karte hain kya khabar iska rivaaz aap ke yahaañ hai ki nahin us gali ka to pata theek bataaya tune ye bataa us men vo dildaar makaan hai ki nahin pahle to mujh...ko dilaate hai vo ghussa taabish aur phir poochte hai munh men zabaan hai ki nahin

Abbas Tabish

13 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Abbas Tabish.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Abbas Tabish's ghazal.