milna tha ittifaq bichhadna nasib tha vo utni duur ho gaya jitna qarib tha main us ko dekhne ko tarasti hi rah gai jis shakhs ki hatheli pe mera nasib tha basti ke saare log hi atish-parast the ghar jal raha tha aur samundar qarib tha mariyam kahan talash kare apne khuun ko har shakhs ke gale men nishan-e-salib tha dafna diya gaya mujhe chandi ki qabr men main jis ko chahti thi vo ladka ghharib tha milna tha ittifaq bichhadna nasib tha wo utni dur ho gaya jitna qarib tha main us ko dekhne ko tarasti hi rah gai jis shakhs ki hatheli pe mera nasib tha basti ke sare log hi aatish-parast the ghar jal raha tha aur samundar qarib tha mariyam kahan talash kare apne khun ko har shakhs ke gale mein nishan-e-salib tha dafna diya gaya mujhe chandi ki qabr mein main jis ko chahti thi wo ladka gharib tha
Related Ghazal
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
seena dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahii nahin rishton men dhoondhta hai to dhoonda kare koi tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi deewaar jaanta tha jise main vo dhool thii ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi main KHud ye chahta hooñ ki haalaat hooñ KHaraab mere KHilaaf zahar ugalta phire koi ai shaKHs ab to mujh ko s abhii kuchh qubool hai ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi haan theek hai main apni ana ka mareez hooñ aaKHir mere mizaaj men kyun dakhl de koi ik shaKHs kar raha hai abhii tak vafaa ka zikr kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi
Jaun Elia
77 likes
usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai
Waseem Barelvi
107 likes
ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye
Khumar Barabankvi
95 likes
More from Anjum Rehbar
tum ko bhula rahi thii ki tum yaad aa ga.e main zahar kha rahi thii ki tum yaad aa ga.e kal meri ek pyaari saheli kitaab men ik khat chhupa rahi thii ki tum yaad aa ga.e us vaqt raat-raani mire soone sahan men KHushboo luta rahi thii ki tum yaad aa ga.e eimaan jaaniye ki ise kufr jaaniye main sar jhuka rahi thii ki tum yaad aa ga.e kal shaam chat pe meer-taqi-'meer' ki ghazal main gunguna rahi thii ki tum yaad aa ga.e anjum tumhaara shahar jidhar hai usii taraf ik rail ja rahi thii ki tum yaad aa ga.e
Anjum Rehbar
15 likes
milnaa tha ittifaq bichadna naseeb tha vo utni door ho gaya jitna qareeb tha main us ko dekhne ko tarasti hi rah gaii jis shaKHs ki hatheli pe meraa naseeb tha bastii ke saare log hi aatish-parast the ghar jal raha tha aur samundar qareeb tha mariyam kahaan talash kare apne KHoon ko har shaKHs ke gale men nishaan-e-saleeb tha dafna diya gaya mujhe chaan dii ki qabr men main jis ko chahti thii vo ladka gareeb tha
Anjum Rehbar
15 likes
jin ke aangan men ameeri ka shajar lagta hai un ka har aib zamaane ko hunar lagta hai chaand taare mire qadmon men biche jaate hain ye buzurgon ki duaon ka asar lagta hai maa mujhe dekh ke naaraz na ho jaa.e kahii sar pe aanchal nahin hota hai to dar lagta hai
Anjum Rehbar
17 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Anjum Rehbar.
Similar Moods
More moods that pair well with Anjum Rehbar's ghazal.







