mohabbat na-samajh hoti hai samjhana zaruri hai jo dil men hai use ankhon se kahlana zaruri hai usulon par jahan aanch aae takrana zaruri hai jo zinda ho to phir zinda nazar aana zaruri hai nai umron ki khud-mukhtariyon ko kaun samjhae kahan se bach ke chalna hai kahan jaana zaruri hai thake-hare parinde jab basere ke liye lauten saliqa-mand shakhon ka lachak jaana zaruri hai bahut bebak ankhon men ta'alluq tik nahin paata mohabbat men kashish rakhne ko sharmana zaruri hai saliqa hi nahin shayad use mahsus karne ka jo kahta hai khuda hai to nazar aana zaruri hai mire honton pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki is ke baa'd bhi duniya men kuchh paana zaruri hai mohabbat na-samajh hoti hai samjhana zaruri hai jo dil mein hai use aankhon se kahlana zaruri hai usulon par jahan aanch aae takrana zaruri hai jo zinda ho to phir zinda nazar aana zaruri hai nai umron ki khud-mukhtariyon ko kaun samjhae kahan se bach ke chalna hai kahan jaana zaruri hai thake-haare parinde jab basere ke liye lauten saliqa-mand shakhon ka lachak jaana zaruri hai bahut bebak aankhon mein ta'alluq tik nahin pata mohabbat mein kashish rakhne ko sharmana zaruri hai saliqa hi nahin shayad use mahsus karne ka jo kahta hai khuda hai to nazar aana zaruri hai mere honton pe apni pyas rakh do aur phir socho ki is ke ba'd bhi duniya mein kuchh pana zaruri hai
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
More from Waseem Barelvi
apne saa.e ko itnaa samjhaane de mujh tak mere hisse ki dhoop aane de ek nazar men kaii zamaane dekhe to boodhi aankhoñ ki tasveer banaane de baba duniya jeet ke main dikhla dooñga apni nazar se door to mujh ko jaane de main bhi to is baagh ka ek parinda hooñ meri hi awaaz men mujh ko gaane de phir to ye ooncha hi hota jaayega bachpan ke haathon men chaand aa jaane de faslen pak jaayen to khet se bichhdenge roti aankh ko pyaar kahaan samjhaane de
Waseem Barelvi
7 likes
vo mujh ko kya bataana chahta hai jo duniya se chhupaana chahta hai mujhe dekho ki main us ko hi chaahoon jise saara zamaana chahta hai qalam karna kahaan hai us ka mansha vo meraa sar jhukaana chahta hai shikaayat ka dhuaan aankhoñ se dil tak ta'alluq toot jaana chahta hai taqaza vaqt ka kuchh bhi ho ye dil vahii qissa puraana chahta hai
Waseem Barelvi
6 likes
andhera zehan ka samt-e-safar jab khone lagta hai kisi ka dhyaan aata hai ujaala hone lagta hai vo jitni door ho utna hi meraa hone lagta hai magar jab paas aata hai to mujh se khone lagta hai kisi ne rakh diye mamta-bhare do haath kya sar par mire andar koi bachcha bilak kar rone lagta hai mohabbat chaar din ki aur udaasi zindagi bhar ki yahii sab dekhta hai aur kabeera rone lagta hai samjhte hi nahin naadaan kai din ki hai milkiiyyat paraaye kheton pe apnon men jhagda hone lagta hai ye dil bach kar zamaane bhar se chalna chahe hai lekin jab apni raah chaltaa hai akela hone lagta hai
Waseem Barelvi
10 likes
tahreer se warna mirii kya ho nahin saka ik tu hai jo lafzon men ada ho nahin saka aankhoñ men khayaalaat men saanson men basa hai chahe bhi to mujh se vo juda ho nahin saka jeena hai to ye jabr bhi sahna hi padega qatra hooñ samundar se KHafaa ho nahin saka gumraah ki.e honge kaii phool se jazbe aise to koi raah-numa ho nahin saka qad meraa badhaane ka use kaam mila hai jo apne hi pairo'n pe khada ho nahin saka ai pyaar tire hisse men aaya tiri qismat vo dard jo chehron se ada ho nahin saka
Waseem Barelvi
1 likes
rang be-rang hon KHushboo ka bharosa jaa.e mirii aankhoñ se jo duniya tujhe dekha jaa.e ham ne jis raah ko chhodaa phir use chhod diya ab na jaayenge udhar chahe zamaana jaa.e main ne muddat se koi KHvaab nahin dekha hai haath rakh de mirii aankhoñ pe ki neend aa jaa.e main gunaahon ka taraf-daar nahin hooñ phir bhi raat ko din ki nigaahon se na dekha jaa.e kuchh badi sochon men ye sochen bhi shaamil hain waseem kis bahaane se koi shahar jalaya jaa.e
Waseem Barelvi
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Waseem Barelvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Waseem Barelvi's ghazal.







