ghazalKuch Alfaaz

mohabbat par na bhoolo mohabbat be-kasi hai sukoon-e-sarv-o-sumbul sab apni saadgi hai kahaan vo be-khu dii thii ki KHud ham be-KHabar the ab itni bekli hai ki duniya jaanti hai kaho mujh se ki dil men nahin koi shikaayat tabi'at manchali hai bahaane dhundti hai namak sa guftugoo men anokhi muskuraahat badan par dheere-dheere qayamat aa rahi hai tujhe kaise dikhaaun ye raatein ye ujaale jawaani so gaii hai mohabbat jaagti hai usii ka shikwa har dam usii ka zikr sab se agar ye dushmani hai to achchhii dushmani hai thakan hai jaan-faza si barasti hai udaasi sitaare kah rahe hain ki manzil aa gaii hai palat kar yuñ na dekho umdate baadlon se bahaar-e-be-khizan bhi sarkati chaandni hai

Related Ghazal

apni aankhoñ men bhar kar le jaane hain mujh...ko uske aansoo kaam men laane hai dekho ham koi vehshi nahin deewane hain tumse button khulwane nahin lagwane hai ham tum ek dooje ki seedhi hai jaana baaki duniya to saanpon ke khaane hain paakiza cheezon ko paakiza likho mat likho uski aañkhen maykhaane hain

Varun Anand

63 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare

Tehzeeb Hafi

292 likes

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

More from Mahboob Khizan

palkon par hasrat ki ghataaein ham bhi paagal tum bhi jee na saken aur marte jaayen ham bhi paagal tum bhi dono apni aan ke sacche dono aql ke andhe haath badhaayein phir hat jaayen ham bhi paagal tum bhi KHvaab men jaise jaan chhuda kar bhag na sakne waale bhaagen aur wahin rah jaayen ham bhi paagal tum bhi sandal phoole jungle jaage naag fireen matwaale nange paanv chalen ghabraayein ham bhi paagal tum bhi

Mahboob Khizan

0 likes

naaz-o-andaaz dil dikhaane lage ab vo fitne samajh men aane lage phir vahii intizaar ki zanjeer raat aayi diye jalane lage chaanv padne lagii sitaaron ki rooh ke zakham jhilmilaane lage haal ahvaal kya bataayen kise sab iraade ga.e thikaane lage manzil-e-subh aa gaii shaayad raaste har taraf ko jaane lage

Mahboob Khizan

0 likes

sambhaalne se tabeeyat kahaan sambhalti hai vo be-kasi hai ki duniya ragon men chalti hai ye sard-mehr ujaala ye jeeti-jaagti raat tire khayal se tasveer-e-maah jaltee hai vo chaal ho ki badan ho kamaan jaisi kashish qadam se ghaat ada se ada nikalti hai tumhein khayal nahin kis tarah bataayen tumhein ki saans chalti hai lekin udaas chalti hai tumhaare shahar ka insaaf hai ajab insaaf idhar nigaah udhar zindagi badalti hai bikhar ga.e mujhe saanche men dhaalne waale yahaañ to zaat bhi saanche samet dhalti hai khizaan hai haasil-e-hangaama-e-bahaar khizaan bahaar phoolti hai kaayenaat phalti hai

Mahboob Khizan

0 likes

dukh bahut hain zindagi men kya karenge ham vo jo teraa farz tha ada karenge ham din ko itne kaam kis tarah karega kaun raat bhar to jaagte raha karenge ham aadhi umr kat gaii khayal-o-khwaab men she'r sab kaheinge aur suna karenge ham

Mahboob Khizan

0 likes

sabab talash na kar bas yoonhi hai ye duniya vahii bahut hai jo kuchh jaanti hai ye duniya khulat men band hain konpal ke sote jaagte rang parat parat men nayi dilkashi hai ye duniya uljhte rahne men kuchh bhi nahin thakan ke siva bahut haqeer hain ham tum badi hai ye duniya ye log saans bhi lete hain zinda bhi hain magar har aan jaise inhen rokti hai ye duniya bahut dinon to ye sharmindagi thii shaamil-e-haal humeen KHaraab hain achchhii bhalii hai ye duniya hare-bhare rahen tere chaman tire gulzaar haraa hai zakhm-e-tamanna bharii hai ye duniya tum apni lehar men ho aur kisi bhanwar ki tarah main doosra hooñ koi teesri hai ye duniya vo apne saath bhi rahte hain chup bhi rahte hain jinhen khabar hai ki kya bechti hai ye duniya khizaan na soch ki bikti hai kyun badan ki bahaar samajh ki rooh ki sauda-gari hai ye duniya

Mahboob Khizan

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Mahboob Khizan.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Mahboob Khizan's ghazal.