mujh pe hain saikdon ilzam mire saath na chal tu bhi ho jaega badnam mire saath na chal tu nai subah ke suraj ki hai ujli si kiran main huun ik dhuul bhari shaam mire saath na chal apni khushiyan mire alam se mansub na kar mujh se mat maang mira naam mire saath na chal tu bhi kho jaegi tapke hue aansu ki tarah dekh ai gardish-e-ayyam mire saath na chal meri divar ko tu kitna sambhalega 'shakil' tutta rahta huun har gaam mire saath na chal mujh pe hain saikdon ilzam mere sath na chal tu bhi ho jaega badnam mere sath na chal tu nai subah ke suraj ki hai ujli si kiran main hun ek dhul bhari sham mere sath na chal apni khushiyan mere aalam se mansub na kar mujh se mat mang mera nam mere sath na chal tu bhi kho jaegi tapke hue aansu ki tarah dekh ai gardish-e-ayyam mere sath na chal meri diwar ko tu kitna sambhaalega 'shakil' tutta rahta hun har gam mere sath na chal
Related Ghazal
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare
Tehzeeb Hafi
292 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
More from Shakeel Azmi
ajeeb manzar hai baarishon ka makaan paani men bah raha hai falak zameen ki hudoos men hai nishaan paani men bah raha hai tamaam faslen ujad chuki hain na hal bacha hai na bail baaki kisaan girvi rakha hua hai lagaan paani men bah raha hai azaab utara to paanv sab ke zameen ki satahon se aa lage hain hawa ke ghar men nahin hai koi machaan paani men bah raha hai koi kisi ko nahin bachaata sab apni khaatir hi tairte hain ye din qayamat ka din ho jaise jahaan paani men bah raha hai udaas aankhoñ ke baadlon ne dilon ke gard-o-ghubaar dhoye yaqeen patthar banaa khada hai gumaan paani men bah raha
Shakeel Azmi
4 likes
akelaa rahne ki KHud hi saza qubool ki hai ye ham ne ishq kiya hai ya koi bhool ki hai khayal aaya hai ab raasta badal lenge abhii talak to bahut zindagi fuzool ki hai KHuda kare ki ye pauda zameen ka ho jaa.e ki aarzoo mire aangan ko ek phool ki hai na jaane kaun sa lamha mire qaraar ka haina jaane kaun si sa'at tire husool ki hai na jaane kaun sa chehra mirii kitaab ka haina jaane kaun si soorat tire nuzool ki hai jinhen khayal ho aankhoñ ka laut jaayen vo ab is ke baa'd hukoomat safar men dhool ki hai ye shohraten ha men yoonhi nahin mili hain shakeel ghazal ne ham se bhi bahut vasool ki hai
Shakeel Azmi
18 likes
mujh pe hain saikron ilzaam mire saath na chal tu bhi ho jaayega badnaam mire saath na chal tu nayi subah ke suraj ki hai ujli si kiran main hooñ ik dhool bharii shaam mire saath na chal apni khushiyaan mire aalaam se mansoob na kar mujh se mat maang mira naam mire saath na chal tu bhi kho jaayegi tapke hue aañsu ki tarah dekh ai gardish-e-ayyaam mire saath na chal meri deewaar ko tu kitna sambhaalega shakeel tootaa rehta hooñ har gaam mire saath na chal
Shakeel Azmi
26 likes
main bhi tum jaisa hooñ apne se juda mat samjho aadmi hi mujhe rahne do KHuda mat samjho ye jo main hosh men rehta nahin tumse mil kar ye mira ishq hai tum isko nasha mat samjho raas aata nahin sabko ye mohabbat ka marz meri beemaarii ko tum apni davaa mat samjho
Shakeel Azmi
51 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Shakeel Azmi.
Similar Moods
More moods that pair well with Shakeel Azmi's ghazal.







