ghazalKuch Alfaaz

na ganwaao naavak-e-neem-kash dil-e-reza-reza ganwa diya jo bache hain sang samet lo tan-e-daagh-daagh luta diya mire chaara-gar ko naved ho saf-e-dushmanan ko khabar karo jo vo qarz rakhte the jaañ par vo hisaab aaj chuka diya karo kaj jabeen pe sar-e-kafan mire qaatilon ko gumaan na ho ki ghuroor-e-ishq ka baankpan pas-e-marg ham ne bhula diya udhar ek harf ki kushtani yahaañ laakh uzr tha guftani jo kaha to sun ke uda diya jo likha to padh ke mita diya jo ruke to koh-e-giraan the ham jo chale to jaañ se guzar ga.e rah-e-yaar ham ne qadam qadam tujhe yaadgaar banaa diya

Related Ghazal

agar tu be-vafa hai dhyaan rakhna mujhe sab kuchh pata hai dhyaan rakhna bichhadte waqt hamne kah diya tha hamaara dil dukha hai dhyaan rakhna KHuda jiski mohabbat men banii ho vo kaiyon ka KHuda hai dhyaan rakhna jise tum dost keval jaanti ho vo tumko chahta hai dhyaan rakhna

Anand Raj Singh

54 likes

chal diye fer kar nazar tum bhi gair to gair the magar tum bhi ye gali mere dilruba ki hai doston khairiyat idhar tum bhi mujhpe logon ke saath hanste ho log roenge khaas kar tum bhi mujh...ko thukra diya hai duniya ne main to mar jaaunga agar tum bhi uski gaadi to ja chuki taabish ab utho jaao apne ghar tum bhi

Zubair Ali Tabish

58 likes

shaahsaazi men riayaat bhi nahin karte ho saamne aake hukoomat bhi nahin karte ho tumse kya baat kare kaun kahaan qatl hua tum to is zulm pe hairat bhi nahin karte ho ab mere haal pe kyuuñ tumko pareshaani hai ab to tum mujhse muhabbat bhi nahin karte ho pyaar karne ki sanad kaise tumhe jaarii karoon tum abhii theek se nafrat bhi nahin karte ho mashvare hañs ke diya karte the deewaanon ko kya hua ab to naseehat bhi nahin karte ho

Ali Zaryoun

39 likes

thoda likkha aur ziyaada chhod diya aane waalon ke li.e rastaa chhod diya tum kya jaano us dariyaa par kya guzri tumne to bas paani bharna chhod diya ladkiyaan ishq men kitnii paagal hoti hain phone baja aur choolha jalta chhod diya roz ik patta mujh men aa girta hai jab se maine jungle jaana chhod diya bas kaanon par haath rakhe the thodii der aur phir us aawaaz ne peecha chhod diye

Tehzeeb Hafi

262 likes

kya ghalatfahmi men rah jaane ka sadma kuchh nahin vo mujhe samjha to saka tha ki aisa kuchh nahin ishq se bach kar bhi banda kuchh nahin hota magar ye bhi sach hai ishq men bande ka bachta kuchh nahin jaane kaise raaz seene men li.e baitha hai vo zahr kha leta hai par munh se ugalta kuchh nahin shukr hai ki usne mujhse kah diya ki kuchh to hai main usse kehne hi vaala tha ki achha kuchh nahin

Tehzeeb Hafi

105 likes

More from Faiz Ahmad Faiz

garmi-e-shauq-e-nazara ka asar to dekho gul khile jaate hain vo saaya-e-tar to dekho aise naadaan bhi na the jaañ se guzarne waale naaseho pand-garo raahguzar to dekho vo to vo hai tumhein ho jaayegi ulfat mujh se ik nazar tum mira mahboob-e-nazar to dekho vo jo ab chaak garebaan bhi nahin karte hain dekhne waalo kabhi un ka jigar to dekho daaman-e-dard ko gulzaar banaa rakha hai aao ik din dil-e-pur-khoon ka hunar to dekho subh ki tarah jhamkata hai shab-e-gham ka ufuq faiz taabindagi-e-deeda-e-tar to dekho

Faiz Ahmad Faiz

1 likes

har haqeeqat majaaz ho jaa.e kaafiron ki namaaz ho jaa.e dil raheen-e-niyaaz ho jaa.e bekasi kaarsaaz ho jaa.e minnat-e-chaara-saaz kaun kare dard jab jaan-nawaaz ho jaa.e ishq dil men rahe to rusva ho lab pe aa.e to raaz ho jaa.e lutf ka intizaar karta hooñ jaur ta hadd-e-naaz ho jaa.e umr be-sood kat rahi hai faiz kaash ifshaa-e-raaz ho jaa.e

Faiz Ahmad Faiz

1 likes

rang pairaahan ka KHushboo zulf lehraane ka naam mausam-e-gul hai tumhaare baam par aane ka naam dosto us chashm o lab ki kuchh kaho jis ke baghair gulsitaan ki baat rangeen hai na may-khaane ka naam phir nazar men phool mahke dil men phir shamaein jali phir tasavvur ne liya us bazm men jaane ka naam dilbari thehra zabaan-e-khalq khulwane ka naam ab nahin lete pari-roo zulf bikhraane ka naam ab kisi leila ko bhi iqraar-e-mahboobi nahin in dinon badnaam hai har ek deewane ka naam mohtasib ki KHair ooncha hai usii ke faiz se rind ka saaqi ka may ka khum ka paimaane ka naam ham se kahte hain chaman waale ghareebaan-e-chaman tum koi achha sa rakh lo apne veeraane ka naam faiz un ko hai taqazaa-e-wafa ham se jinhen aashna ke naam se pyaara hai begaane ka naam

Faiz Ahmad Faiz

1 likes

ishq minnat-kash-e-qaraar nahin husn majboor-e-intizaar nahin teri ranjish ki intiha maaloom hasraton ka mirii shumaar nahin apni nazrein bikher de saaqi may ba-andaaza-e-khumaar nahin zer-e-lab hai abhii tabassum-e-dost muntashir jalwa-e-bahaar nahin apni takmeel kar raha hooñ main warna tujh se to mujh ko pyaar nahin chaara-e-intizaar kaun kare teri nafrat bhi ustuvaar nahin faiz zinda rahen vo hain to sahi kya hua gar wafa-shiaar nahin

Faiz Ahmad Faiz

1 likes

sabhi kuchh hai teraa diya hua sabhi raahatein sabhi kulphatein kabhi sohbaten kabhi furqatein kabhi dooriyaan kabhi qurbaten ye sukhun jo ham ne raqam ki.e ye hain sab varq tiri yaad ke koi lamha subh-e-visaal ka koi shaam-e-hijr ki muddatein jo tumhaari maan len naaseha to rahega daaman-e-dil men kyana kisi adoo ki adaavaten na kisi sanam ki muravvatein chalo aao tum ko dikhaayein ham jo bacha hai maqtal-e-shehr men ye mazaar ahl-e-safa ke hain ye hain ahl-e-sidq ki turbatein mirii jaan aaj ka gham na kar ki na jaane kaatib-e-waqt ne kisi apne kal men bhi bhool kar kahii likh rakhi hon masarratein

Faiz Ahmad Faiz

4 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Faiz Ahmad Faiz.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Faiz Ahmad Faiz's ghazal.