ghazalKuch Alfaaz

shaahsaazi men riayaat bhi nahin karte ho saamne aake hukoomat bhi nahin karte ho tumse kya baat kare kaun kahaan qatl hua tum to is zulm pe hairat bhi nahin karte ho ab mere haal pe kyuuñ tumko pareshaani hai ab to tum mujhse muhabbat bhi nahin karte ho pyaar karne ki sanad kaise tumhe jaarii karoon tum abhii theek se nafrat bhi nahin karte ho mashvare hañs ke diya karte the deewaanon ko kya hua ab to naseehat bhi nahin karte ho

Ali Zaryoun39 Likes

Related Ghazal

ek aur shaKHs chhodkar chala gaya to kya hua hamaare saath kaun sa ye pahli martaba hua azl se in hateliyon men hijr ki lakeer thii tumhaara dukh to jaise mere haath men badaa hua mere KHilaaf dushmanon ki saf men hai vo aur main bahut bura lagunga us par teer kheenchta hua

Tehzeeb Hafi

183 likes

mere dil men ye tere siva kaun hai tu nahin hai to teri jagah kaun hai ham mohabbat men haare hue log hain aur mohabbat men jeeta hua kaun hai mere pahluu se uth ke gaya kaun hai tu nahin hai to teri jagah kaun hai tune jaate hue ye bataaya nahin main teraa kaun hooñ tu meraa kaun hai

Tehzeeb Hafi

145 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

More from Ali Zaryoun

chup-chaap kyuuñ phiro ho koii baat to karo hal bhi nikaalte hain mulaqaat to karo khaali hawa men udna fakeeri nahin miyaan dil jod ke dikhaao karaamaat to karo

Ali Zaryoun

15 likes

haalat e hijr men hooñ yaar meri samt na dekh tu na ho jaa.e girftaar meri samt na dekh aasteen men jo chhupe saanp hain unko to nikaal apne nuksaan par har baar meri samt na dekh tujhko jis baat ka khadsha hai vo ho sakti hai aise nashshe men lagaataar meri samt na dekh ya koi baat suna ya mujhe seene se laga is tarah baithkar bekar meri samt na dekh teraa yaaron se nahin jeb se yaaraana hai ai mohabbat ke dukandaar meri samt na dekh

Ali Zaryoun

7 likes

charaagahein nai aabaad hogii magar jo bastiyaan barbaad hogii KHuda miTTi ko phir se hukm dega kaii shaklein nai ijaad hogii abhii mumkin nahin lekin ye hogaa kitaaben sahib-e-aulaad hogii main un aankhoñ ko padhkar sochta hoon ye naz men kis tarah se yaad hogii ye pariyaan phir nahin aayegi milne ye ghazlein phir nahin irshaad hogii main dartaa hoon ali un aadaton se ke jo mujh...ko tumhaare baad hogii

Ali Zaryoun

21 likes

paraai neend men sone ka tajurba kar ke main KHush nahin hooñ tujhe KHud men mubtala kar ke usooli taur pe mar jaana chahiye tha magar mujhe sukoon mila hai tujhe juda kar ke ye kyun kaha ki tujhe mujh se pyaar ho jaa.e tadap utha hooñ tire haq men bad-dua kar ke main chahta hooñ khareedaar par ye khul jaa.e naya nahin hooñ rakha hooñ yahaañ naya kar ke main jootiyon men bhi baitha hooñ poore maan ke saath kisi ne mujh ko bulaayaa hai iltijaa kar ke bashar samajh ke kiya tha na yuñ nazar-andaaz le main bhi chhod raha hooñ tujhe KHuda kar ke to phir vo rote hue minnaten bhi maante hain jo intiha nahin karte hain ibtida kar ke badal chuka hai mira lams nafsiyaat us ki ki rakh diya hai use main ne an-chhuaa kar ke manaa bhi loonga gale bhi lagaauñga main ali abhii to dekh raha hooñ use KHafaa kar ke

Ali Zaryoun

14 likes

jaagna aur jaga ke so jaana raat ko din banaa ke so jaana text karna tamaam raat us..ko ungliyon ko daba ke so jaana aaj phir der se ghar aaya hoon aaj phir munh banaa ke so jaana

Ali Zaryoun

11 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ali Zaryoun.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ali Zaryoun's ghazal.