na tha kuchh to khuda tha kuchh na hota to khuda hota duboya mujh ko hone ne na hota main to kya hota in nothingness god was there, if naught he would persist existence has sunk me, what loss, if i did'nt exist hua jab ghham se yuun be-his to ghham kya sar ke katne ka na hota gar juda tan se to zaanu par dhara hota when so burdenened, why the sorrow, of losing one's head if it had not been severed, would be, hanging low instead hui muddat ki 'ghhalib' mar gaya par yaad aata hai vo har ik baat par kahna ki yuun hota to kya hota though ages he's been dead gaalib is, still thought of today at every trice, to ask what would be, if it were this way na tha kuchh to khuda tha kuchh na hota to khuda hota duboya mujh ko hone ne na hota main to kya hota in nothingness god was there, if naught he would persist existence has sunk me, what loss, if i did'nt exist hua jab gham se yun be-his to gham kya sar ke katne ka na hota gar juda tan se to zanu par dhara hota when so burdenened, why the sorrow, of losing one's head if it had not been severed, would be, hanging low instead hui muddat ki 'ghaalib' mar gaya par yaad aata hai wo har ek baat par kahna ki yun hota to kya hota though ages he's been dead gaalib is, still thought of today at every trice, to ask what would be, if it were this way
Related Ghazal
mujhe udaas kar ga.e ho KHush raho mire mizaaj par ga.e ho KHush raho mire li.e na ruk sake to kya hua jahaan kahiin thehar ga.e ho KHush raho khushi hui hai aaj tum ko dekh kar bahut nikhar sanwar ga.e ho KHush raho udaas ho kisi ki be-vafaaii par vafaa kahiin to kar ga.e ho KHush raho gali men aur log bhi the aashna ha men salaam kar ga.e ho KHush raho tumhein to meri dosti pe naaz tha isee se ab mukar ga.e ho KHush raho kisi ki zindagi bano ki bandagi mire li.e to mar ga.e ho KHush raho
Fazil Jamili
73 likes
seena dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahii nahin rishton men dhoondhta hai to dhoonda kare koi tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi deewaar jaanta tha jise main vo dhool thii ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi main KHud ye chahta hooñ ki haalaat hooñ KHaraab mere KHilaaf zahar ugalta phire koi ai shaKHs ab to mujh ko s abhii kuchh qubool hai ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi haan theek hai main apni ana ka mareez hooñ aaKHir mere mizaaj men kyun dakhl de koi ik shaKHs kar raha hai abhii tak vafaa ka zikr kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi
Jaun Elia
77 likes
maheenon baad daftar aa rahe hain ham ek sad men se baahar aa rahe hain teri baahon se dil ukta gaya hain ab is jhoole men chakkar aa rahe hain kahaan soya hai chaukidaar meraa ye kaise log andar aa rahe hain samandar kar chuka tasleem hamko khajaane KHud hi u uupar aa rahe hain yahii ek din bacha tha dekhne ko use bas men bitha kar aa rahe hain
Tehzeeb Hafi
116 likes
so rahenge ke jaagte rahenge ham tere khwaab dekhte rahenge tu kahii aur hi dhoondhta rahega ham kahii aur hi khile rahenge raahgeeron ne raah badalni hai ped apni jagah khade rahenge sabhi mausam hai dastaras men teri tune chaaha to ham hare rahenge lautna kab hai tune par tujhko aadatan hi pukaarte rahenge tujhko paane men mas'ala ye hai tujhko khone ke vasvase rahenge tu idhar dekh mujhse baate kar yaar chash men to phoote rahenge ek muddat hui hai tujhse mile tu to kahtaa tha raabte rahenge
Tehzeeb Hafi
91 likes
kab paani girne se KHushboo footi hai miTTi ko bhi ilm hai baarish jhoothi hai ek rishte ko laaparwaahi le doobi ek rassi dheeli padne par tooti hai haath milaane par bhi us pe khula nahin ye ungli par zakham hai ya angoothi hai uskaa hansna naa-mumkin tha yuñ samjho seement ki deewaar se kopale footi hai hamne in par she'r nahin likkhe haafi hamne in pedon ki izzat looti hai yuñ lagta hai deen-o-duniya chhoot ga.e mujh se tere shahar ki bas kya chhooti hai
Tehzeeb Hafi
90 likes
More from Mirza Ghalib
dil miraa soz-e-nihaan se be-muhaaba jal gaya aatish-e-khaamosh ki maanind goya jal gaya dil men zauq-e-wasl o yaad-e-yaar tak baaki nahin aag is ghar men lagii aisi ki jo tha jal gaya main adam se bhi pare hooñ warna ghaafil baar-ha meri aah-e-aatishi'n se baal-e-anqa jal gaya arz kijeye jauhar-e-andesha ki garmi kahaan kuchh khayal aaya tha vehshat ka ki sehra jal gaya dil nahin tujh ko dikhaata warna daaghoon ki bahaar is charaaghaan ka karoon kya kaar-farma jal gaya main hooñ aur afsurdagi ki aarzoo ghalib ki dil dekh kar tarz-e-tapaak-e-ahl-e-duniya jal gaya khaanmaan-e-aashiqan dukaan-e-aatish-baaz hai shola-roo jab ho ga.e garm-e-tamaasha jal gaya ta kuja afsos-e-garmi-ha-e-sohbat ai khayal dil ba-soz-e-aatish-e-daagh-e-tamanna jal gaya hai asad begaana-e-afsurdagi ai bekasi dil z-andaaz-e-tapaak-e-ahl-e-duniya jal gaya dood miraa sumbulistaan se kare hai ham-sari bas-ki shauq-e-aatish-gul se saraapa jal gaya sham'a-ruyaan ki sar-angusht-e-hinaai dekh kar guncha-e-gul par-fishaan parwaana-aasa jal gaya
Mirza Ghalib
0 likes
raun dii hui hai kaukaba-e-shahriyaar ki itr aa.e kyun na KHaak sar-e-rahguzaar ki jab us ke dekhne ke li.e aayen baadshaah logon men kyun numood na ho laala-zaar ki bhooke nahin hain sair-e-gulistaan ke ham wale kyunkar na khaaiye ki hawa hai bahaar ki
Mirza Ghalib
0 likes
zikr meraa b-badi bhi use manzoor nahin gair ki baat bigad jaa.e to kuchh door nahin vaada-e-sair-e-gulistaan hai khusa taale-e-shauq muzda-e-qatl muqaddar hai jo mazkoor nahin shaahid-e-hasti-e-mutlaq ki kamar hai aalam log kahte hain ki hai par ha men manzoor nahin qatra apna bhi haqeeqat men hai dariyaa lekin ham ko taqleed-e-tunuk-zarfi-e-mansoor nahin hasrat ai zauq-e-kharaabi ki vo taqat na rahi ishq-e-pur-arbada ki goon tan-e-ranjur nahin main jo kahtaa hooñ ki ham lenge qayamat men tumhein kis ra'unat se vo kahte hain ki ham hoor nahin zulm kar zulm agar lutf daregh aata ho tu taghaaful men kisi rang se ma'zoor nahin saaf durdi-kash-e-paimaana-e-jam hain ham log waaye vo baada ki afshurda-e-angoor nahin hooñ zuhoori ke muqaabil men khifaai ghalib mere daave pe ye hujjat hai ki mashhoor nahin
Mirza Ghalib
2 likes
hareef-e-matlab-e-mushkil nahin fusoon-e-niyaaz dua qubool ho ya rab ki umr-e-khizr daraaz na ho ba-harza biyaabaan-navard-e-vahm-e-wujood hanooz tere tasavvur men hai nasheb-o-faraz visaal jalwa tamasha hai par dimaagh kahaan ki deeje aaina-e-intezaar ko pardaz har ek zarra-e-aashiq hai aftaab-parast gaii na KHaak hue par hawa-e-jalwa-e-naaz na pooch wusaat-e-may-khaana-e-junoon ghalib jahaan ye kaasa-e-gardoon hai ek khaak-andaaz fareb-e-sanat-e-ijaad ka tamasha dekh nigaah aks-farosh o khayal aaina-saaz zi-bas-ki jalwa-e-sayyaad hairat-aara hai udri hai safha-e-khaatir se soorat-e-parwaaz hujoom-e-fikr se dil misl-e-mauj larze hai ki sheesha naazuk o sahba-e-aabgeen-gudaaz asad se tark-e-wafa ka gumaan vo maani hai ki kheenchiye par-e-taair se soorat-e-parwaaz hanooz ai asar-e-deed nang-e-ruswaai nigaah fitna-khiraam o dar-e-do-aalam baaz
Mirza Ghalib
0 likes
tum apne shikwe ki baatein na khod khod ke poochho hazar karo mire dil se ki is men aag dabii hai dila ye dard-o-alam bhi to mughtanim hai ki aaKHirna giryaa-e-sehri hai na aah-e-neem-shabi hai nazar b-naqs-e-gadaayaan kamaal-e-be-adabi hai ki khaar-e-khushk ko bhi daava-e-chaman-nasbi hai hua visaal se shauq-e-dil-e-harees ziyaada lab-e-qadah pe kaf-e-baada josh-e-tishna-labi hai khusa vo dil ki saraapa tilism-e-be-khabri ho junoon o yaas o alam rizq-e-mudda-talbi hai chaman men kis ke ye barham hui hai bazm-e-tamaasha ki berg barg-e-saman sheesha reza-e-halbi hai imaam-e-zaahir-o-baatin ameer-e-soorat-o-maani ali wali asadullah jaansheen-e-nabi hai
Mirza Ghalib
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Mirza Ghalib.
Similar Moods
More moods that pair well with Mirza Ghalib's ghazal.







