nahin ho tum to aisa lag raha hai ki jaise shahar men karf yuñ laga hai mire saa.e men us ka naqsh-e-paa hai badaa ehsaan mujh par dhoop ka hai koi barbaad ho kar ja chuka hai koi barbaad hona chahta hai lahu aankhoñ men aa kar chhup gaya haina jaane shehr-e-dil men kya hua hai kati hai umr bas ye sochne men mire baare men vo kya sochta hai baraae naam hain un se maraasim baraae naam jeena pad raha hai sitaare jagmagate ja rahe hain KHuda apna qaseeda likh raha hai gulon ki baatein chhup kar sun raha hooñ tumhaara zikr achha lag raha hai
Related Ghazal
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar
Anwar Shaoor
95 likes
haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate
Rahat Indori
102 likes
ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e
Yasir Khan
92 likes
vo munh lagata hai jab koi kaam hota hai jo uskaa hota hai samjho ghulaam hota hai kisi ka ho ke dobaara na aanaa meri taraf mohabbaton men halaala haraam hota hai ise bhi ginte hain ham log ahl-e-kh aanaa men hamaare yaa to shajar ka bhi naam hota hai tujh aise shaKHs ke hote hain khaas dost bahut tujh aisa shaKHs bahut jald aam hota hai kabhi lagii hai tumhein koi shaam aakhiri shaam hamaare saath ye har ek shaam hota hai
Umair Najmi
81 likes
More from Fahmi Badayuni
chaarasaazon ke bas ki baat nahin main davaaon ke bas ki baat nahin chahta hoon main deemakon se najaat jo kitaabon ke bas ki baat nahin teri KHushboo ko qaid men rakhna itrdaanon ke bas ki baat nahin khatm kar de azaab kabron ka taajmahalon ke bas ki baat nahin aansuon men jo jhilmilahat hai vo sitaaron ke bas ki baat nahin aisa lagta hai ab teraa deedaar sirf aankhoñ ke bas ki baat nahin
Fahmi Badayuni
30 likes
parinde sah men sah men ud rahe hain barabar men farishte ud rahe hain khushi se kab ye tinke ud rahe hain hawa ke dar ke maare ud rahe hain kahii koi kamaan taane hue hai kabootar aadhe-tirche ud rahe hain tumhaara khat hawa men ud raha hai ta'aqub men lifaafe ud rahe hain bahut kahti rahi aandhi se chidiya ki pahli baar bacche ud rahe hain shajar ke sabz patton ki hawa se fazaa men khushk patte ud rahe hain
Fahmi Badayuni
13 likes
chalti saanson ko jaam karne laga vo nazar se kalaam karne laga raat farhaad KHvaab men aaya aur farsi salaam karne laga phir main zahreeli kaar-khaano men zinda rahne ka kaam karne laga saaf inkaar kar nahin paaya vo mira ehtiraam karne laga leila ghar men silaai karne lagii qais dilli men kaam karne laga hijr ke maal se dil-e-naadaañ vasl ka intizaam karne laga
Fahmi Badayuni
16 likes
seharaaon ne maanga paani daryaon par barsa paani buni yaaden kamzor nahin theen deewaron se aaya paani aaKHir kis kis neem ki jad men kab tak daalen meetha paani chat ka haal bataa deta hai parnaale se girta paani fikr-o-masaail yaad-e-jaanaan garm hawaaein thanda paani pyaase bacche khel rahe hain machhlii machhlii kitna paani
Fahmi Badayuni
11 likes
jab reetile ho jaate hain parvat teele ho jaate hain tode jaate hain jo sheeshe vo nokiile ho jaate hain baagh dhuen men rehta hai to phal zahreeli ho jaate hain naadaari men aaghoshon ke bandhan dhīle ho jaate hain phoolon ko surkhi dene men patte peele ho jaate hain
Fahmi Badayuni
9 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Fahmi Badayuni.
Similar Moods
More moods that pair well with Fahmi Badayuni's ghazal.







