ghazalKuch Alfaaz

naasir kya kahtaa firta hai kuchh na suno to behtar hai deewaana hai deewane ke munh na lago to behtar hai kal jo tha vo aaj nahin jo aaj hai kal mit jaayega rookhi-sookhi jo mil jaa.e shukr karo to behtar hai kal ye taab-o-tawaan na rahegi thanda ho jaayega lahu naam-e-khuda ho jawaan abhii kuchh kar guzaro to behtar hai kya jaane kya rut badle haalaat ka koi theek nahin ab ke safar men tum bhi hamaare saath chalo to behtar hai kapde badal kar baal banaa kar kahaan chale ho kis ke li.e raat bahut kaali hai naasir ghar men raho to behtar hai

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain

Dagh Dehlvi

84 likes

More from Nasir Kazmi

dil men aur to kya rakha hai teraa dard chhupa rakha hai itne dukhon ki tez hawa men dil ka deep jala rakha hai dhoop se chehron ne duniya men kya andher macha rakha hai is nagri ke kuchh logon ne dukh ka naam davaa rakha hai waada-e-yaar ki baat na chhedo ye dhoka bhi kha rakha hai bhool bhi jaao beetii baatein in baaton men kya rakha hai chup chup kyun rahte ho naasir ye kya rog laga rakha hai

Nasir Kazmi

11 likes

main ne jab likhna seekha tha pahle teraa naam likha tha main vo sabr-e-sameem hooñ jis ne baar-e-amaanat sar pe liya tha main vo ism-e-azeem hooñ jis ko jinn-o-malak ne sajda kiya tha tu ne kyun miraa haath na pakda main jab raaste se bhatka tha jo paaya hai vo teraa hai jo khoya vo bhi teraa tha tujh bin saari umr guzaari log kaheinge tu miraa tha pahli baarish bhejne waale main tire darshan ka pyaasa tha

Nasir Kazmi

9 likes

gali gali mirii yaad bichi hai pyaare rastaa dekh ke chal mujh se itni vehshat hai to mirii hadon se door nikal ek samay tira phool sa naazuk haath tha mire shaanon par ek ye vaqt ki main tanhaa aur dukh ke kaanton ka jungle yaad hai ab tak tujh se bichhadne ki vo andheri shaam mujhe tu KHaamosh khada tha lekin baatein karta tha kaajal main to ek nayi duniya ki dhun men bhatkata firta hooñ mirii tujh se kaise nibhegi ek hain tere fikr o amal meraa munh kya dekh raha hai dekh is kaali raat ko dekh main vahii teraa hamraahi hooñ saath mire chalna ho to chal

Nasir Kazmi

4 likes

jab zaraa tez hawa hoti hai kaisi sunsaan fazaa hoti hai ham ne dekhe hain vo sannaate bhi jab har ik saans sadaa hoti hai dil ka ye haal hua tere baad jaise veeraan sara hoti hai rona aata hai ha men bhi lekin is men tauheen-e-wafa hoti hai munh-andhere kabhi uth kar dekho kya tar o taaza hawa hoti hai ajnabi dhyaan ki har mauj ke saath kis qadar tez hawa hoti hai gham ke be-noor guzargaahon men ik kiran zauq-faza hoti hai gham-gusaar-e-safar-e-raah-e-wafa miza-e-aabla-pa hoti hai gulshan-e-fikr ki munh-band kali shab-e-mehtaab men vaa hoti hai jab nikalti hai nigaar-e-shab-e-gul munh pe shabnam ki rida hoti hai haadsa hai ki khizaan se pahle boo-e-gul gul se juda hoti hai ik naya daur janam leta hai ek tahzeeb fana hoti hai jab koi gham nahin hota naasir bekli dil ki siva hoti hai

Nasir Kazmi

2 likes

dayaar-e-dil ki raat men charaaghh sa jala gaya mila nahin to kya hua vo shakl to dikha gaya vo dosti to KHair ab naseeb-e-dushmanan hui vo chhoti chhoti ranjishon ka lutf bhi chala gaya judaaiyon ke zakham dard-e-zindagi ne bhar diye tujhe bhi neend aa gaii mujhe bhi sabr aa gaya pukaarti hain fursatein kahaan gaiin vo sohbaten zameen nigal gaii unhen ki aasmaan kha gaya ye subh ki safediyaan ye dopahar ki zardiyaan ab aaine men dekhta hooñ main kahaan chala gaya ye kis khushi ki ret par ghamon ko neend aa gaii vo lehar kis taraf gaii ye main kahaan samaa gaya ga.e dinon ki laash par pade rahoge kab talak alam-kasho utho ki aftaab sar pe aa gaya pukaarti hain fursatein kahaan gaiin vo sohbaten zameen nigal gaii unhen ki aasmaan kha gaya ye subh ki safediyaan ye dopahar ki zardiyaan ab aaine men dekhta hooñ main kahaan chala gaya ye kis khushi ki ret par ghamon ko neend aa gaii vo lehar kis taraf gaii ye main kahaan samaa gaya ga.e dinon ki laash par pade rahoge kab talak alam-kasho utho ki aftaab sar pe aa gaya

Nasir Kazmi

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Nasir Kazmi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Nasir Kazmi's ghazal.