ghazalKuch Alfaaz

nil-gagan men tair raha hai ujla ujla puura chand maan ki lori sa bachche ke duudh katore jaisa chand munni ki bholi baton si chatkin taron ki kaliyan pappu ki khamoshi shararat sa chhup chhup kar ubhra chand mujh se puchho kaise kaati main ne parbat jaisi raat tum ne to godi men le kar ghanton chuma hoga chand pardesi suuni ankhon men shoale se lahrate hain bhabi ki chhedon sa badal aapa ki chutki sa chand tum bhi likhna tum ne us shab kitni baar piya paani tum ne bhi to chhajje uupar dekha hoga puura chand nil-gagan mein tair raha hai ujla ujla pura chand man ki lori sa bachche ke dudh katore jaisa chand munni ki bholi baaton si chatkin taron ki kaliyan pappu ki khamoshi shararat sa chhup chhup kar ubhra chand mujh se puchho kaise kati main ne parbat jaisi raat tum ne to godi mein le kar ghanton chuma hoga chand pardesi suni aankhon mein shoale se lahraate hain bhabi ki chhedon sa baadal aapa ki chutki sa chand tum bhi likhna tum ne us shab kitni bar piya pani tum ne bhi to chhajje upar dekha hoga pura chand

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

More from Nida Fazli

din saleeqe se ugaa raat thikaane se rahi dosti apni bhi kuchh roz zamaane se rahi chand lamhon ko hi banti hain musavvir aañkhen zindagi roz to tasveer banaane se rahi is andhere men to thokar hi ujaala degi raat jungle men koi shama' jalane se rahi fasla chaand banaa deta hai har patthar ko door ki raushni nazdeek to aane se rahi shahar men sab ko kahaan milti hai rone ki jagah apni izzat bhi yahaañ hansne hansaane se rahi

Nida Fazli

0 likes

jaane waalon se raabta rakhna dosto rasm-e-faatihah rakhna ghar ki ta'aamir chahe jaisi hous men rone ki kuchh jagah rakhna masjidein hain namaaziyo ke li.e apne ghar men kahii KHuda rakhna jism men failne laga hai shahar apni tanhaaiyaan bacha rakhna milna-julna jahaan zaroori hai milne-julne ka hausla rakhna umr karne ko hai pachaas ko paar kaun hai kis jagah pata rakhna

Nida Fazli

1 likes

chahten mausami parinde hain rut badalte hi laut jaate hain ghonsle ban ke toot jaate hain daagh shaakhon pe chahchahaate hain aane waale bayaaz men apni jaane waalon ke naam likhte hain sab hi auron ke khaali kamron ko apni apni tarah sajaate hain maut ik waahima hai nazaron ka saath chhutta kahaan hai apnon ka jo zameen par nazar nahin aate chaand taaron men jagmagate hain ye musavvir ajeeb hote hain aap apne habeeb hote hain doosron ki shabahtein le kar apni tasveer hi banaate hain yuñ hi chaltaa hai kaarobaar-e-jahaan hai zaroori har ek cheez yahaañ jin darakhton men phal nahin aate vo jalane ke kaam aate hain

Nida Fazli

0 likes

har ghadi KHud se uljhana hai muqaddar meraa main hi kashtii hooñ mujhi men hai samundar meraa kis se poochoon ki kahaan gum hooñ kaii barson se har jagah dhoondhta firta hai mujhe ghar meraa ek se ho ga.e mausamon ke chehre saare meri aankhoñ se kahii kho gaya manzar meraa muddatein beet gaiin KHvaab suhaana dekhe jaagta rehta hai har neend men bistar meraa aaina dekh ke niklaa tha main ghar se baahar aaj tak haath men mahfooz hai patthar meraa

Nida Fazli

1 likes

tu qareeb aa.e to qurbat ka yuñ izhaar karoon aaina saamne rakh kar tira deedaar karoon saamne tere karoon haar ka apni elaan aur akelaa men tiri jeet se inkaar karoon pahle sochun use phir us ki banaaun tasveer aur phir us men hi paida dar-o-deewar karoon mire qabze men na miTTi hai na baadal na hawa phir bhi chaahat hai ki har shaakh samar-baar karoon subh hote hi ubhar aati hai saalim ho kar vahii deewaar jise roz main mismar karoon

Nida Fazli

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Nida Fazli.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Nida Fazli's ghazal.