ghazalKuch Alfaaz

paa.e khitaab kya kya dekhe i'taab kya kya dil ko laga ke ham ne kheeche azaab kya kya kaate hain KHaak uda kar jon gard-baad barson galiyon men ham hue hain us bin KHaraab kya kya kuchh gul se hain shagufta kuchh sarv se hain qad-kashus ke khayal men ham dekhe hain KHvaab kya kya anwa-e-jurm mere phir be-shumaar-o-be-had roz-e-hisaab lenge mujh se hisaab kya kya ik aag lag rahi hai seenon men kuchh na poochho jal jal ke ham hue hain us bin kebab kya kya ifraat-e-shauq men to rooyat rahi na mutlaq kahte hain mere munh par ab shaikh-o-shaab kya kya phir phir gaya hai aa kar munh tak jigar hamaare guzre hain jaan-o-dil par yaa iztiraab kya kya aashufta us ke gesu jab se hue hain munh par tab se hamaare dil ko hai pech-o-taab kya kya kuchh soojhtaa nahin hai masti men meer'-ji ko karte hain poch-goi pee kar sharaab kya kya

Related Ghazal

ye saath aath padosi kahaan se aa.e mere tumhaare dil men to koi na tha sivaae mere kisi ne paas bithaaya bas aage yaad nahin mujhe to dost vahaañ se utha ke l aa.e mere ye soch kar na ki.e apne dard uske supurd vo laalchi hai asaase na bech kh aa.e mere idhar kidhar tu naya hai yahaañ ki paagal hai kisi ne kya tujhe qisse nahin sun aa.e mere vo aazm aa.e mere dost ko zaroor magar use kaho ki tarike na aazm aa.e mere

Umair Najmi

59 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

thoda likkha aur ziyaada chhod diya aane waalon ke li.e rastaa chhod diya tum kya jaano us dariyaa par kya guzri tumne to bas paani bharna chhod diya ladkiyaan ishq men kitnii paagal hoti hain phone baja aur choolha jalta chhod diya roz ik patta mujh men aa girta hai jab se maine jungle jaana chhod diya bas kaanon par haath rakhe the thodii der aur phir us aawaaz ne peecha chhod diye

Tehzeeb Hafi

262 likes

tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban

Varun Anand

81 likes

More from Meer Taqi Meer

yuñ hi hairaan-o-khafa jon ghuncha-e-tasveer hon umr guzri par na jaana main ki kyun dil-geer hon itni baatein mat banaa mujh shefate se naaseha pand ke laayeq nahin main qaabil-e-zanjeer hon surkh rahtii hain mirii aañkhen lahu rone se shaikh may agar saabit ho mujh par waajib al-taazeer hooñ ne falak par raah mujh ko ne zameen par rau mujhe aise kis mahroom ka men shor-e-be-taaseer hooñ jon kamaan garche khameeda hooñ pe chhoota aur wahinus ke kooche ki taraf chalne ko yaaro teer hooñ jo mire hisse men aave tegh-e-jamadhar sail-o-kaard ye fuzooli hai ki main hi kushta-e-shamsheer hooñ khol kar deevaan meraa dekh qudrat muddai garche hooñ main naujavaan par sha'iron ka peer hooñ yuñ saadat ek jamdhar mujh ko bhi guzaariye munsifi kijeye to main to mahaj be-taqseer hooñ is qadar be-nang khabton ko naseehat shaikh-ji baaz aao warna apne naam ko main meer hooñ

Meer Taqi Meer

0 likes

shikwa karoon main kab tak us apne meherbaan ka al-qissaa rafta rafta dushman hua hai jaañ ka girye pe rang aaya qaid-e-qafas se shaayad khun ho gaya jigar men ab daagh gulsitaan ka le jhaadoo tokra hi aata hai subah hote jaarub-kash magar hai khurshid us ke haan ka dii aag rang-e-gul ne waan ai saba chaman ko yaa ham jale qafas men sun haal aashiyaan ka har subh mere sar par ik haadisa naya hai paivand ho zameen ka sheva is aasmaañ ka in said-afganoon ka kya ho shikaar koi hota nahin hai aaKHir kaam un ke imtihaan ka tab to mujhe kiya tha teeron se said apna ab karte hain nishaana har mere ustukhwaan ka fitraak jis ka akshar lohoo men tar rahe hai vo qasd kab kare hai is said-e-naatwaan ka kam-fursati jahaan ke maj men ki kuchh na poochho ahvaal kya kahooñ main is majlis-e-ravaan ka sajda karen hain sun kar obaash saare us ko sayyad pisar vo pyaara haiga imaam baanka na-haq shanaasi hai ye zaahid na kar barabar taa'at se sau baras ki sajda us aastaan ka hain dasht ab ye jeete baste the shahar saare veeraan-e-kuhan hai maamoora is jahaan ka jis din ki us ke munh se burqa uthega suniyous roz se jahaan men khurshid phir na jhaanka na-haq ye zulm karna insaaf kah piyaare hai kaun si jagah ka kis shahar ka kahaan ka saudaai ho to rakhe bazaar-e-ishq men pa sar muft bechte hain ye kuchh chalan hai waan ka sau gaali ek chashmak itnaa sulook to hai obaash khaana jang us khush-chashm bad-zabaan ka ya roye ya rulaaya apni to yuñ hi guzri kya zikr hum-safeeraan yaaraan-e-shaadmaan ka qaid-e-qafas men hain to khidmat hai naalgi ki gulshan men the to ham ko mansab tha rouza-khwaan ka poochho to meer se kya koi nazar pada hai chehra utar raha hai kuchh aaj us jawaan ka

Meer Taqi Meer

0 likes

tang aa.e hain dil us jee se utha baithege bhookhon marte hain kuchh ab yaar bhi kha baithege ab ke bigdegi agar un se to is shahar se ja kaso veeraane men takiya hi banaa baithege ma'arka garm to tak hone do khuun-rezi ka pahle talwaar ke neeche humeen ja baithege hogaa aisa bhi koi roz ki majlis se kabhu ham to ek-aadh ghadi uth ke juda baithege ja na izhaar-e-mohabbat pe havasnaakon ki vaqt ke vaqt ye sab munh ko chhupa baithege dekhen vo ghairat-e-khursheed kahaan jaata hai ab sar-e-raah dam-e-subh se aa baithege bheed taltee hi nahin aage se us zalim ke gardanen yaar kisi roz kata baithege kab talak galiyon men saudaai se firte rahiye dil ko us zulf-e-musalsal se laga baithege shola-afshaan agar aisi hi rahi aah to meer ghar ko ham apne kaso raat jala baithege

Meer Taqi Meer

1 likes

kis husn se kahooñ main us ki khush-akhtari ki is maah-roo ke aage kya taab mushtari ki rakhna na tha qadam yaa jun baad be-taammul sair is jahaan ki rahraw par tu ne sarsari ki shubhaa bahaal sag men ik umr sirf ki hai mat pooch in ne mujh se jo aadmi-gari ki paa.e gul us chaman men chhodaa gaya na ham se sar par hamaare ab ke mannat hai be-paree ki pesha to ek hi tha us ka hamaara lekin majnoon ke taaleon ne shohrat men yaavari ki girye se daag-e-seena taaza hue hain saare ye kisht-e-khushk tu ne ai chashm phir hari ki ye daur to muaafiq hota nahin magar ab rakhiye bina-e-taaza is charkh-e-chambri ki khooban tumhaari khoobi taa-chand naql kariye ham ranja-khaatiron ki kya khoob dilbari ki ham se jo meer ud kar aflaak-e-charkh men hain un KHaak men maloo ki kahe ko hamsari ki

Meer Taqi Meer

0 likes

kab talak ye sitam uthaaiyega ek din yoonhi jee se jaaiyega shakl tasveer-e-be-khu dii kab tak kaso din aap men bhi aaiyega sab se mil chal ki haadse se phir kahii dhoonda bhi to na paaiyega na mooe ham aseeri men to naseem koi din aur baav khaaiyega kahiyea us se qissa-e-majnoon ya'ni parde men gham sunaaiyega us ke pa-bos ki tavakko par apne teen KHaak men milaaiyega us ke paanv ko ja lagii hai hina khoob se haath use lagaaiyega shirkat-sheikh-o-brahman se meer ka'ba-o-dair se bhi jaaiyega apni dedh iint ki jad dii masjid kisi veeraane men banaaiyega

Meer Taqi Meer

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Meer Taqi Meer.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Meer Taqi Meer's ghazal.