padi rahegi agar ghham ki dhuul shakhon par udaas phuul khilenge malul shakhon par abhi na gulshan-e-urdu ko be-charaghh kaho khile hue hain abhi chand phuul shakhon par nikal pade hain hifazat ko chand kante bhi hua hai jab bhi gulon ka nuzul shakhon par hava ke samne un ki bisat hi kya thi dikha rahe the baharen jo phuul shakhon par nisar-e-gul ho mila hai ye izn bulbul ko hua hai hukm gul-e-tar ko jhuul shakhon par vo phuul pahunche na jaane kahan kahan 'rahbar' nahin tha jin ko thaharna qubul shakhon par padi rahegi agar gham ki dhul shakhon par udas phul khilenge malul shakhon par abhi na gulshan-e-urdu ko be-charagh kaho khile hue hain abhi chand phul shakhon par nikal pade hain hifazat ko chand kante bhi hua hai jab bhi gulon ka nuzul shakhon par hawa ke samne un ki bisat hi kya thi dikha rahe the bahaaren jo phul shakhon par nisar-e-gul ho mila hai ye izn bulbul ko hua hai hukm gul-e-tar ko jhul shakhon par wo phul pahunche na jaane kahan kahan 'rahbar' nahin tha jin ko thaharna qubul shakhon par
Related Ghazal
barson puraana dost mila jaise gair ho dekha ruka jhijhak ke kaha tum umair ho milte hain mushkilon se yahaañ ham-khayaal log tere tamaam chaahne waalon ki KHair ho kamre men cigaretteon ka dhuaan aur teri mahak jaise shadeed dhundh men baagon ki sair ho ham mutmain bahut hain agar KHush nahin bhi hain tum KHush ho kya hua jo hamaare baghair ho pairo'n men uske sar ko dharen iltijaa karen ik iltijaa ki jiska na sar ho na pair ho
Umair Najmi
59 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
vo to achha hai ghazal teraa sahaara hai mujhe warna fikron ne to bas gher ke maara hai mujhe jiski tasveer main kaagaz pe banaa bhi na sakaa usne mehn dii se hatheli pe utaara hai mujhe ghair ke haath se marham mujhe manzoor nahin tum magar zakham bhi de do to gawara hai mujhe
Abrar Kashif
54 likes
ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye
Khumar Barabankvi
95 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Rajendra Nath Rahbar.
Similar Moods
More moods that pair well with Rajendra Nath Rahbar's ghazal.







