ghazalKuch Alfaaz

phuul khile hain likha hua hai todo mat aur machal kar ji kahta hai chhodo mat rut matvali chand nashila raat javan ghar ka amad-kharch yahan to jodo mat abr jhuka hai chand ke gore mukhde par chhodo laaj lago dil se munh modo mat dil ko patthar kar dene vaali yaado ab apna sar us patthar se phodo mat mat 'amiq' ki ankhon se dil men jhanko is gahre sagar se naata jodo mat phul khile hain likha hua hai todo mat aur machal kar ji kahta hai chhodo mat rut matwali chand nashila raat jawan ghar ka aamad-kharch yahan to jodo mat abr jhuka hai chand ke gore mukhde par chhodo laj lago dil se munh modo mat dil ko patthar kar dene wali yaado ab apna sar us patthar se phodo mat mat 'amiq' ki aankhon se dil mein jhanko is gahre sagar se nata jodo mat

Related Ghazal

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e

Yasir Khan

92 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

kisi libaas ki khushboo jab ud ke aati hai tere badan ki judaai bahut sataati hai tere gulaab tarsate hain teri khushboo ko teri safed chameli tujhe bulaati hai tere baghair mujhe chain kaise padta hain mere bagair tujhe neend kaise aati hai

Jaun Elia

113 likes

More from Ameeq Hanafi

hai noor-e-khuda bhi yahaañ irfaan-e-khuda bhi ye zaat ki hai waadi-e-seena bhi hiraa bhi us ban men kiya karti hai tap mirii ana bhi is shahar men hai kaar-gah-e-arz-o-samaa bhi karta hooñ tawaaf apna to milti hai nayi raah qibla bhi hai ye zaat mira qibla-numaa bhi khud-aagahi o khud-nigaahi ka hai ye ina'am aur jurm-e-shanaasaai-e-aalam ki saza bhi hota hai shab-o-roz tamasha sar-e-ehsaas jo dekhti rahtii hai mirii aankh dikha bhi karti hai kamar-basta safar par bhi yahii zaat jab door nikal jaata hooñ deti hai sadaa bhi zarre men hai kaunain to kaunain men zarra kuchh hai tujhe aawaara-e-aflaak pata bhi

Ameeq Hanafi

0 likes

main hawa hooñ kahaan watan meraa dasht meraa na ye chaman meraa main ki har chand ek khana-nasheen anjuman anjuman sukhun meraa burg-e-gul par charaaghh sa kya hai choo gaya tha use dehan meraa main ki toota hua sitaara hooñ kya bigaadegee anjuman meraa har ghadi ik naya taqaza hai dard-e-sar ban gaya badan meraa

Ameeq Hanafi

3 likes

arz-e-muddaa karte kyun nahin kiya ham ne khwahishon ko hasrat men KHud badal diya ham ne nit nayi umeedon ke taank taank kar paivand zindagi ke daaman ko umr-bhar siya ham ne ranj-o-gham uthaaye hain fikr-o-fan bhi paa.e hain zindagi ko jitna bhi jee sake jiya ham ne subh ka naya suraj kuchh to raushni lega shaam se jalaya hai aas ka diya ham ne daag-e-dil ki zardaari muft haath kab aayi KHaak ho ke paaya hai raaz-e-keemiya ham ne

Ameeq Hanafi

0 likes

ghubaar-o-gard ne samjha hai rehnuma mujh ko talash karta fira hai ye qaafila mujh ko taveel raah-e-safar par hain phoot phoot padana kyun samjhte mire pair aablaa mujh ko shikast-e-dil ki sadaa hooñ bikhar bhi jaane de khutoot-o-rang ki zanjeer mat pinhaa mujh ko zameen par hai samundar falak pe abr-e-ghubaar utaarti hai kahaan dekhiye hawa mujh ko sukoot tark-e-ta'alluq ka ik garaan lamha banaa gaya hai sadaaon ka silsila mujh ko vo door door se ab kyun mujhe jalata hai qareeb aa ke bahut jo bujha gaya mujh ko racha ke ek tilism-e-sawaabit-o-sayyaar kashish men apni bulane laga khala mujh ko

Ameeq Hanafi

0 likes

main bhi kab se chup baitha hooñ vo bhi kab se chup bai thii hai ye hai visaal ki rasm anokhi ye milne ki reet nayi hai vo jab mujh ko dekh rahi thii main ne us ko dekh liya tha bas itni si baat thii lekin badhte badhte kitne badhi hai be-soorat be-jism aawaazen andar bhej rahi hain hawaaein band hain kamre ke darwaaze lekin khidki khulii hui hai mere ghar ki chat ke u uupar suraj aaya chaand bhi utara chat ke neeche ke kamron ki jaisi thii auqaat vahii hai

Ameeq Hanafi

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ameeq Hanafi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ameeq Hanafi's ghazal.