hai noor-e-khuda bhi yahaañ irfaan-e-khuda bhi ye zaat ki hai waadi-e-seena bhi hiraa bhi us ban men kiya karti hai tap mirii ana bhi is shahar men hai kaar-gah-e-arz-o-samaa bhi karta hooñ tawaaf apna to milti hai nayi raah qibla bhi hai ye zaat mira qibla-numaa bhi khud-aagahi o khud-nigaahi ka hai ye ina'am aur jurm-e-shanaasaai-e-aalam ki saza bhi hota hai shab-o-roz tamasha sar-e-ehsaas jo dekhti rahtii hai mirii aankh dikha bhi karti hai kamar-basta safar par bhi yahii zaat jab door nikal jaata hooñ deti hai sadaa bhi zarre men hai kaunain to kaunain men zarra kuchh hai tujhe aawaara-e-aflaak pata bhi
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
barson puraana dost mila jaise gair ho dekha ruka jhijhak ke kaha tum umair ho milte hain mushkilon se yahaañ ham-khayaal log tere tamaam chaahne waalon ki KHair ho kamre men cigaretteon ka dhuaan aur teri mahak jaise shadeed dhundh men baagon ki sair ho ham mutmain bahut hain agar KHush nahin bhi hain tum KHush ho kya hua jo hamaare baghair ho pairo'n men uske sar ko dharen iltijaa karen ik iltijaa ki jiska na sar ho na pair ho
Umair Najmi
59 likes
yahaan har shaKHs har pal haadsa hone se dartaa hai khilauna hai jo miTTi ka fana hone se dartaa hai mire dil ke kisi kone men ik maasoom sa bachcha badon ki dekh kar duniya badaa hone se dartaa hai na bas men zindagi us ke na qaabu maut par us ka magar insaan phir bhi kab KHuda hone se dartaa hai ajab ye zindagi ki qaid hai duniya ka har insaan rihaai maangtaa hai aur rihaa hone se dartaa hai
Rajesh Reddy
28 likes
ab mere saath nahin hai samjhe naasamjhaane kii baat nahin hai samjhe naa tum maangoge aur tumhein mil jaayega pyaar hai ye khairaat nahin hai samjhe naa main baadal hooñ jis par chaahoon barsoonga meri koii zaat nahin hai samjhe naa apna khaali haath mujhe mat dikhlaao is men meraa haath nahin hai samjhe naa
Zubair Ali Tabish
66 likes
safar men dhoop to hogii jo chal sako to chalo sabhi hain bheed men tum bhi nikal sako to chalo kisi ke vaaste raahen kahaan badalti hain tum apne aap ko KHud hi badal sako to chalo yahaañ kisi ko koi raasta nahin deta mujhe giraa ke agar tum sambhal sako to chalo kahii nahin koi suraj dhuaan dhuaan hai fazaa KHud apne aap se baahar nikal sako to chalo yahii hai zindagi kuchh KHvaab chand ummeedein inheen khilauno se tum bhi bahl sako to chalo
Nida Fazli
61 likes
More from Ameeq Hanafi
arz-e-muddaa karte kyun nahin kiya ham ne khwahishon ko hasrat men KHud badal diya ham ne nit nayi umeedon ke taank taank kar paivand zindagi ke daaman ko umr-bhar siya ham ne ranj-o-gham uthaaye hain fikr-o-fan bhi paa.e hain zindagi ko jitna bhi jee sake jiya ham ne subh ka naya suraj kuchh to raushni lega shaam se jalaya hai aas ka diya ham ne daag-e-dil ki zardaari muft haath kab aayi KHaak ho ke paaya hai raaz-e-keemiya ham ne
Ameeq Hanafi
0 likes
main hawa hooñ kahaan watan meraa dasht meraa na ye chaman meraa main ki har chand ek khana-nasheen anjuman anjuman sukhun meraa burg-e-gul par charaaghh sa kya hai choo gaya tha use dehan meraa main ki toota hua sitaara hooñ kya bigaadegee anjuman meraa har ghadi ik naya taqaza hai dard-e-sar ban gaya badan meraa
Ameeq Hanafi
3 likes
main bhi kab se chup baitha hooñ vo bhi kab se chup bai thii hai ye hai visaal ki rasm anokhi ye milne ki reet nayi hai vo jab mujh ko dekh rahi thii main ne us ko dekh liya tha bas itni si baat thii lekin badhte badhte kitne badhi hai be-soorat be-jism aawaazen andar bhej rahi hain hawaaein band hain kamre ke darwaaze lekin khidki khulii hui hai mere ghar ki chat ke u uupar suraj aaya chaand bhi utara chat ke neeche ke kamron ki jaisi thii auqaat vahii hai
Ameeq Hanafi
0 likes
ghubaar-o-gard ne samjha hai rehnuma mujh ko talash karta fira hai ye qaafila mujh ko taveel raah-e-safar par hain phoot phoot padana kyun samjhte mire pair aablaa mujh ko shikast-e-dil ki sadaa hooñ bikhar bhi jaane de khutoot-o-rang ki zanjeer mat pinhaa mujh ko zameen par hai samundar falak pe abr-e-ghubaar utaarti hai kahaan dekhiye hawa mujh ko sukoot tark-e-ta'alluq ka ik garaan lamha banaa gaya hai sadaaon ka silsila mujh ko vo door door se ab kyun mujhe jalata hai qareeb aa ke bahut jo bujha gaya mujh ko racha ke ek tilism-e-sawaabit-o-sayyaar kashish men apni bulane laga khala mujh ko
Ameeq Hanafi
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ameeq Hanafi.
Similar Moods
More moods that pair well with Ameeq Hanafi's ghazal.







