ghazalKuch Alfaaz

poora dukh aur aadha chaand hijr ki shab aur aisa chaand din men vehshat bahl gaii raat hui aur niklaa chaand kis maqtal se guzra hogaa itnaa sehama sehama chaand yaadon ki aabaad gali men ghoom raha hai tanhaa chaand meri karvat par jaag utthe neend ka k itnaa kaccha chaand mere munh ko kis hairat se dekh raha hai bhola chaand itne ghane baadal ke peeche k itnaa tanhaa hogaa chaand aañsu roke noor nahaaye dil dariyaa tan sehra chaand itne raushan chehre par bhi suraj ka hai saaya chaand jab paani men chehra dekha tu ne kis ko socha chaand bargad ki ik shaakh hata kar jaane kis ko jhaanka chaand baadal ke resham jhoole men bhor samay tak soya chaand raat ke shaane par sar rakhe dekh raha hai sapna chaand sukhe patton ke jhurmut par shabnam thii ya nanha chaand haath hila kar ruksat hogaus ki soorat hijr ka chaand sehra sehra bhatk raha hai apne ishq men saccha chaand raat ke shaayad ek baje hain sota hogaa meraa chaand

Related Ghazal

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

tumhaara hijr manaa luun agar ijaazat ho main dil kisi se laga luun agar ijaazat ho tumhaare baad bhala kya hain waada-o-paimaan bas apna waqt ganwa luun agar ijaazat ho tumhaare hijr ki shab haaye car men jaanaan koi chiraag jala luun agar ijaazat ho junoon vahii hai vahii hai magar hai shahar naya yahaañ bhi shor macha luun agar ijaazat ho kise hai khwaahish-e-marham gari magar phir bhi main apne zakham dikha luun agar ijaazat ho tumhaare yaad men jeene ki aarzoo hai abhii kuchh apna haal sambhaaloon agar ijaazat ho

Jaun Elia

45 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

More from Parveen Shakir

apni ruswaai tire naam ka charcha dekhooñ ik zaraa she'r kahooñ aur main kya kya dekhooñ neend aa jaa.e to kya mahfilein barpa dekhooñ aankh khul jaa.e to tanhaaii ka sehra dekhooñ shaam bhi ho gaii dhundla gaiin aañkhen bhi mirii bhoolne waale main kab tak tira rastaa dekhooñ ek ik kar ke mujhe chhod gaiin sab sakhiyaan aaj main KHud ko tiri yaad men tanhaa dekhooñ kaash sandal se mirii maang ujaale aa kar itne ghairoon men vahii haath jo apna dekhooñ tu mira kuchh nahin lagta hai magar jaan-e-hayaat jaane kyun tere li.e dil ko dhadakna dekhooñ band kar ke mirii aañkhen vo sharaarat se hanse bujhe jaane ka main har roz tamasha dekhooñ sab ziden us ki main poori karoon har baat sunoon ek bacche ki tarah se use hansta dekhooñ mujh pe chha jaa.e vo barsaat ki khushboo ki tarah ang ang apna isee rut men mahakta dekhooñ phool ki tarah mire jism ka har lab khul jaa.e pankhudi pankhudi un honton ka saaya dekhooñ main ne jis lamhe ko pooja hai use bas ik baar KHvaab ban kar tiri aankhoñ men utarta dekhooñ tu mirii tarah se yaktaa hai magar mire habeeb jee men aata hai koi aur bhi tujh sa dekhooñ toot jaayen ki pighal jaayen mire kacche ghade tujh ko main dekhooñ ki ye aag ka dariyaa dekhooñ

Parveen Shakir

2 likes

gawaahi kaise tootti mua'amla KHuda ka tha mira aur us ka raabta to haath aur dua ka tha gulaab qiimat-e-shagufta shaam tak chuka sake ada vo dhoopa ko hua jo qarz bhi saba ka tha bikhar gaya hai pahool to humeen se paooch-gach hui hisaab baagbaan se hai kiya-dhara hawa ka tha lahu-chasheeda haath us ne choom kar dikha diya jazaa vahaañ mili jahaan ki marhala saza ka tha jo baarishon se qabl apana rizq ghar men bhar chuka vo shehr-e-mor se na tha pa doorbeen bala ka tha

Parveen Shakir

2 likes

taraash kar mere baazu udaan chhod gaya hawa ke paas barhana kamaan chhod gaya rafaqaton ka meri us ko dhyaan kitna tha zameen le li magar aasmaan chhod gaya ajeeb shaKHs tha baarish ka rang dekh ke bhi khule dariche pe ik phool-daana chhod gaya jo baadlon se bhi mujh ko chhu paa.e rakhta tha badhi hai dhoop to be-saayebaan chhod gaya nikal gaya kahii an-dekhe paaniyon ki taraf zameen ke naam khula baadbaan chhod gaya uqaab ko thii garz faakhta pakadne se jo gir gaii to yoonhi neem-jaan chhod gaya na jaane kaun sa aaseb dil men basta hai ki jo bhi thehra vo aaKHir makaan chhod gaya aqab men gahra samundar hai saamne jungle kis intiha pe meraa mehrbaan chhod gaya

Parveen Shakir

5 likes

chalne ka hausla nahin rukna muhaal kar diya ishq ke is safar ne to mujh ko nidhaal kar diya ai mirii gul-zameen tujhe chaah thii ik kitaab ki ahl-e-kitaab ne magar kya tira haal kar diya milte hue dilon ke beech aur tha faisla koius ne magar bichhadte vaqt aur sawaal kar diya ab ke hawa ke saath hai daaman-e-yaar muntazir baanu-e-shab ke haath men rakhna sanbhaal kar diya mumkina faislon men ek hijr ka faisla bhi tha ham ne to ek baat ki us ne kamaal kar diya mere labon pe mohr thii par mere sheesha-roo ne to shahar ke shahar ko mira waqif-e-haal kar diya chehra o naam ek saath aaj na yaad aa sake vaqt ne kis shabeeh ko KHvaab o khayal kar diya muddaton baa'd us ne aaj mujh se koi gilaa kiya mansab-e-dilbari pe kya mujh ko bahaal kar diya

Parveen Shakir

1 likes

dua ka toota hua harf sard aah men hai tiri judaai ka manzar abhii nigaah men hai tire badlne ke baa-wasf tujh ko chaaha hai ye e'tiraaf bhi shaamil mire gunaah men hai azaab dega to phir mujh ko KHvaab bhi dega main mutmain hooñ mira dil tiri panaah men hai bikhar chuka hai magar muskuraa ke milta hai vo rakh rakhaav abhii mire kaj-kulaah men hai jise bahaar ke mehmaan khaali chhod ga.e vo ik makaan abhii tak makeen ki chaah men hai yahii vo din the jab ik doosre ko paaya tha hamaari saal-girah theek ab ke maah men hai main bach bhi jaaun to tanhaaii maar daalegi mire qabeele ka har fard qatl-gaah men hai

Parveen Shakir

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Parveen Shakir.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Parveen Shakir's ghazal.