pyaar ka pehla khat likhne men vaqt to lagta hai naye parindon ko udne men vaqt to lagta hai jism ki baat nahin thii un ke dil tak jaana tha lambi doori tay karne men vaqt to lagta hai gaanth agar lag jaa.e to phir rishte hon ya dori laakh karen koshish khulne men vaqt to lagta hai ham ne ilaaj-e-zakhm-e-dil to dhoondh liya lekin gehre zaKHmon ko bharne men vaqt to lagta hai
Related Ghazal
zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii
Ali Zaryoun
102 likes
uske haathon men jo khanjar hai zyaada tez hai aur phir bachpan se hi uskaa nishaana tez hai jab kabhi us paar jaane ka khyaal aata mujhe koi aahista se kahtaa tha ki dariyaa tez hai aaj milnaa tha bichhad jaane ki niyat se ha men aaj bhi vo der se pahuncha hai kitna tez hai apna sab kuchh haar ke laut aaye ho na mere paas main tumhe kahtaa bhi rehta ki duniya tez hai aaj uske gaal choo men hain to andaaza hua chaai achchhii hai magar thoda sa meetha tez hai
Tehzeeb Hafi
220 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
bichadkar uskaa dil lag bhi gaya to kya lagega vo thak jayega aur mere gale se aa lagega main mushkil men tumhaare kaam aaun ya na aaun mujhe awaaz de lena tumhein achha lagega main jis koshish se us..ko bhool jaane men laga hooñ zyaada bhi agar lag jaaye to hafta lagega
Tehzeeb Hafi
174 likes
baad men mujh se na kehna ghar palatna theek hai vaise sunne men yahii aaya hai rastaa theek hai shaakh se patta gire baarish ruke baadal chatte main hi to sab kuchh galat karta hooñ achha theek hai jehan tak tasleem kar leta hai uski bartree aankh tak tasdeeq kar deti hai banda theek hai ek teri awaaz sunne ke li.e zinda hai ham tu hi jab KHaamosh ho jaa.e to phir kya theek hai
Tehzeeb Hafi
182 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Hastimal Hasti.
Similar Moods
More moods that pair well with Hastimal Hasti's ghazal.







