ghazalKuch Alfaaz

sab kar lena lamhe jaaya mat karna galat jagah par jazbe jaaya mat karna ishq to niyat ki sachchaai dekhta hai dil na dukhe to sajde jaaya mat karna saada hoon aur brands pasand nahin mujh ko mujh par apne paise jaaya mat karna rozi-roti desh men bhi mil sakti hai door bhej ke rishte jaaya mat karna

Ali Zaryoun29 Likes

Related Ghazal

aap jaison ke li.e is men rakha kuchh bhi nahin lekin aisa to na kahiye ki vafaa kuchh bhi nahin aap kahiye to nibhaate chale jaayenge magar is ta'alluq men aziyyat ke siva kuchh bhi nahin main kisi tarah bhi samjhauta nahin kar saka ya to sab kuchh hi mujhe chahiye ya kuchh bhi nahin kaise jaana hai kahaan jaana hai kyun jaana hai ham ki chalte chale jaate hain pata kuchh bhi nahin haaye is shahar ki raunaq ke main sadqe jaaun aisi bharpoor hai jaise ki hua kuchh bhi nahin phir koi taaza sukhun dil men jagah karta hai jab bhi lagta hai ki likhne ko bacha kuchh bhi nahin ab main kya apni mohabbat ka bharam bhi na rakhoon maan leta hooñ ki us shaKHs men tha kuchh bhi nahin main ne duniya se alag rah ke bhi dekha javvaad aisi munh-zor udaasi ki davaa kuchh bhi nahin

Jawwad Sheikh

50 likes

baad men mujh se na kehna ghar palatna theek hai vaise sunne men yahii aaya hai rastaa theek hai shaakh se patta gire baarish ruke baadal chatte main hi to sab kuchh galat karta hooñ achha theek hai jehan tak tasleem kar leta hai uski bartree aankh tak tasdeeq kar deti hai banda theek hai ek teri awaaz sunne ke li.e zinda hai ham tu hi jab KHaamosh ho jaa.e to phir kya theek hai

Tehzeeb Hafi

182 likes

bichadkar uskaa dil lag bhi gaya to kya lagega vo thak jayega aur mere gale se aa lagega main mushkil men tumhaare kaam aaun ya na aaun mujhe awaaz de lena tumhein achha lagega main jis koshish se us..ko bhool jaane men laga hooñ zyaada bhi agar lag jaaye to hafta lagega

Tehzeeb Hafi

174 likes

ghar ban aanaa bahot zaroori hai qaidkhaanaa bahot zaroori hai phool khilne se phal utarte hain muskurana bahot zaroori hai mehfileen be-sabab nahin jamti ek fas aanaa bahot zaroori hai ab ke darwaaza KHud sajaaya hai teraa aanaa bahot zaroori hai aasmaan men zameen waalo ka ik thik aanaa bahot zaroori hai ab ke vo be-sabab hi rootha hai ab manana bahot zaroori hai kitne jinda hain ham pata to chala zahar kh aanaa bahot zaroori hai sar uthaane ke vaaste fahmi sar jhuk aanaa bahut zaroori hai

Fahmi Badayuni

29 likes

saari duniya ki nigaahon se bachakar rakhna apni aankhoñ men hi har dard ka zevar rakhna us..ko aadat ye pareshaan bahot rakkhegi uski aadat thii meraa haath pakadkar rakhna iska kya shikwa use rok nahin paa.e ham ek mufalis ko kahaan aata hai zevar rakhna haay vo ishq chhipaane ke zamaane mohan yaad aata hai galat naam se number rakhna

Balmohan Pandey

23 likes

More from Ali Zaryoun

haalat e hijr men hooñ yaar meri samt na dekh tu na ho jaa.e girftaar meri samt na dekh aasteen men jo chhupe saanp hain unko to nikaal apne nuksaan par har baar meri samt na dekh tujhko jis baat ka khadsha hai vo ho sakti hai aise nashshe men lagaataar meri samt na dekh ya koi baat suna ya mujhe seene se laga is tarah baithkar bekar meri samt na dekh teraa yaaron se nahin jeb se yaaraana hai ai mohabbat ke dukandaar meri samt na dekh

Ali Zaryoun

7 likes

ada-e-ishq hooñ poori ana ke saath hooñ main KHud apne saath hooñ ya'ni KHuda ke saath hooñ main mujavaraan-e-hawas tang hain ki yuñ kaise baghair sharm-o-haya bhi haya ke saath hooñ main safar shuruat to hone de apne saath mira tu KHud kahega ye kaisi bala ke saath hooñ main main choo gaya to tira rang kaat daaloonga so apne aap se tujh ko bacha ke saath hooñ main durood-bar-dil-e-wahshi salaam-bar-tap-e-ishq KHud apni hamd KHud apni sana ke saath hooñ main yahii to farq hai mere aur un ke hal ke beech shikaayaten hain unhen aur raza ke saath hooñ main main awwaleen ki izzat men aakhireen ka noor vo intiha hooñ ki har ibtida ke saath hooñ main dikhaai doon bhi to kaise sunaai doon bhi to kyun wara-e-naqsh-o-nawa hooñ fana ke saath hooñ main b-hukm-e-yaar love kabz karne aati hai bujha rahi hai bujaaye hawa ke saath hooñ main ye saabireen-e-mohabbat ye kaashifeen-e-junoon inhi ke sang inheen auliya ke saath hooñ main kisi ke saath nahin hooñ magar jamaal-e-ilaaha tiri qism tire har mubtala ke saath hooñ main zamaane bhar ko pata hai main kis tariq pe hooñ sabhi ko ilm hai kis dil-ruba ke saath hooñ main munaafiqeen-e-tasavvuf ki maut hooñ main ali har ik aseel har ik be-riya ke saath hooñ main

Ali Zaryoun

5 likes

toor-e-seena hai sar karoge miyaan apne andar safar karoge miyaan tum ha men roz yaad karte ho phir to tum umr bhar karoge miyaan vo jo ik lafz mar gaya hai us..ko kiski khabar karoge miyaan aur dil-e-darvesh ek madeena hai tum madine men sair karoge miyaan

Ali Zaryoun

6 likes

sukoot-e-shaam ka hissa tu mat banaa mujh ko main rang hooñ so kisi mauj men mila mujh ko main in dinon tiri aankhoñ ke ikhtiyaar men hooñ jamaal-e-sabz kisi tajarbe men la mujh ko main boodhe jism ki zillat utha nahin saka kisi qadeem tajalli se kar naya mujh ko main apne hone ki takmeel chahta hooñ sakhi so ab badan ki hiraasat se kar rihaa mujh ko mujhe charaaghh ki hairat bhi ho chuki maaloom ab is se aage koi raasta bataa mujh ko us ism-e-khaas ki tarkeeb se banaa hooñ main mohabbaton ke talaffuz se kar naya mujh ko daroon-e-seena jise dil samajh raha tha ali vo neeli aag hai ye ab pata chala mujh ko

Ali Zaryoun

9 likes

vo hi kartaba teri yaad ka vo hi nai nava e khayaal hai vo hi main jo tha tere hijr men vo hi mashhad e khud-o-khaal hai teri neend kis ke li.e udii meraa khvaab kis ne bujha diya ise sun kar rookh nahin pherna tere maatami ka sawaal hai ye mazaq to nahin ho raha main khushi se to nahin ro raha koii film to nahin chal rahi meri jaan ye meraa haal hai kisi saiyada ke charan padhoon koii kaazmi jo duaa kare koii ho jo gham kii haya kare meraa karbalaai malaal hai vo charaagh e shahar e vifaq hai mere saath jis ka firaq hai bhale door paar se hi sahi meraa raabta to bahaal hai vo khushi se itni nihaal thii ki ali main soch kar dar gayaa main use bataa hi nahin sakaa ki ye meri aakhiri call hai

Ali Zaryoun

3 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ali Zaryoun.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ali Zaryoun's ghazal.