sadiyon taveel raat ke zaanoo se sar utha suraj ufuq se jhaank raha hai nazar utha itni burii nahin hai khandar ki zameen bhi is dher ko samet naye baam-o-dar utha mumkin hai koi haath samundar lapet de kashtii men sau shigaaf hon langar magar utha shaakh-e-chaman men aag laga kar gaya tha kyun ab ye azaab-e-dar-badri umr bhar utha manzil pe aa ke dekh raha hoonmain aaina kitna ghubaar tha jo sar-e-rahguzar utha sehra men thodii der theharna galat na tha le gard-baad baith gaya ab to sar utha dastak men koi dard ki khushboo zaroor thii darwaaza kholne ke li.e ghar ka ghar utha qaisar mata-e-dil ka khareedaar kaun hai bazaar ujad gaya hai dukaan-e-hunar utha
Related Ghazal
baat karne hai baat kaun kare dard se do do haath kaun kare ham sitaare tumhein bulaate hain chaand na ho to raat kaun kare ab tujhe rab kahein ya but samjhen ishq men zaat-paat kaun kare zindagi bhar ki the kamaai tum is se zyaada zakaat kaun kare
Kumar Vishwas
56 likes
teraa chup rahna mere zehan men kya baith gaya itni aawaazen tujhe deen ki gala baith gaya yuñ nahin hai ki faqat main hi use chahta hooñ jo bhi us ped ki chaanv men gaya baith gaya itnaa meetha tha vo ghusse bhara lahjaa mat poochus ne jis ko bhi jaane ka kaha baith gaya apna ladna bhi mohabbat hai tumhein ilm nahin cheeKHtii tum rahi aur meraa gala baith gaya us ki marzi vo jise paas bitha le apne is pe kya ladna fulan meri jagah baith gaya baat daryaon ki suraj ki na teri hai yahaañ do qadam jo bhi mere saath chala baith gaya bazm-e-jaanan men nashisten nahin hoti makhsoos jo bhi ik baar jahaan baith gaya baith gaya
Tehzeeb Hafi
203 likes
kitne aish se rahte honge kitne itraate honge jaane kaise log vo honge jo us ko bhaate honge shaam hue khush-baash yahaañ ke mere paas aa jaate hain mere bujhne ka nazzara karne aa jaate honge vo jo na aane vaala hai na us se mujh ko matlab tha aane waalon se kya matlab aate hain aate honge us ki yaad ki baad-e-saba men aur to kya hota hogaa yoonhi mere baal hain bikhre aur bikhar jaate honge yaaro kuchh to zikr karo tum us ki qayamat baanhon ka vo jo simtate honge un men vo to mar jaate honge meraa saans ukhadte hi sab bein karenge roenge ya'ni mere baa'd bhi ya'ni saans li.e jaate honge
Jaun Elia
88 likes
koi haseen to koi dardnaak samjhega meraa mijaaz vahii theek thaak samjhega main jis ke saath kaii raaton se hoon us ka naam bataa to doonga magar tu mazaak samjhega vo jis hisaab se gaata hai us se lagta hai ki mere dukh ko to bas bee praak samjhega
Kushal Dauneria
36 likes
yuñ apni pyaas ki KHud hi kahaanii likh rahe the ham sulagti ret pe ungli se paani likh rahe the ham miyaan bas maut hi sach hai vahaañ ye likh gaya koi jahaan par zindagaani zindagaani likh rahe the ham mile tujh se to duniya ko suhaani likh diya ham ne vagarna kab se us ko be-maa'ni likh rahe the ham humeen pe gir padi kal raat vo deewaar ro ro kar ki jis pe apne maazi ki kahaanii likh rahe the ham
Varun Anand
27 likes
More from Qaisar-ul-Jafri
chaandni tha ki ghazal tha ki saba tha kya tha main ne ik baar tira naam suna tha kya tha ab ke bichhde hain to lagta hai ki kuchh toot gaya meraa dil tha ki tira ahad-e-wafaa tha kya tha KHud-kushi kar ke bhi bistar se utha hooñ zinda main ne kal raat ko jo zahar piya tha kya tha tum to kahte the KHuda tum se KHafaa hai qaisar doobte vaqt vo jo ik haath badha tha kya tha
Qaisar-ul-Jafri
1 likes
deewaron se mil kar rona achha lagta hai ham bhi paagal ho jaayenge aisa lagta hai kitne dinon ke pyaase honge yaaro socho to shabnam ka qatra bhi jin ko dariyaa lagta hai aankhoñ ko bhi le dooba ye dil ka paagal-pan aate jaate jo milta hai tum sa lagta hai is bastii men kaun hamaare aañsu ponchega jo milta hai us ka daaman bheega lagta hai duniya bhar ki yaaden ham se milne aati hain shaam dhale is soone ghar men mela lagta hai kis ko patthar maarun qaisar kaun paraaya hai sheesh-mahal men ik ik chehra apna lagta hai
Qaisar-ul-Jafri
0 likes
dast-e-tanhaai men kal raat hawa kaisi thii der tak tootte lamhon ki sadaa kaisi thii zindagi ne mira peecha nahin chhodaa ab tak umr bhar sar se na utri ye bala kaisi thii sunte rahte the mohabbat ke fasaane kya kya boond bhar dil pe na barsi ye ghatta kaisi thii kya mila faisla-e-tark-e-taalluq kar ke tum jo bichhde the to honton pe dua kaisi thii toot kar KHud jo vo bikhra hai to maaloom hua jis se lipta tha vo deewaar-e-ana kaisi thii jism se noch ke phenki bhi to KHushboo na gaii ye rivaayat ki bosida qaba kaisi thii doobte vaqt bhanwar pooch raha hai qaisar jab kinaare se chale the to fazaa kaisi thii
Qaisar-ul-Jafri
0 likes
tiri gali men tamasha ki.e zam aanaa hua phir is ke baa'd na aanaa hua na j aanaa hua kuchh itnaa toot ke chaaha tha mire dil ne use vo shaKHs meri muravvat men be-vafa na hua hawa KHafaa thii magar itni sang-dil bhi na thii humeen ko shama' jalane ka hausla na hua mire khuloos ki saiqal-gari bhi haar gaii vo jaane kaun sa patthar tha aaina na hua main zahar peeta raha zindagi ke haathon se ye aur baat hai meraa badan haraa na hua shu'ur chahiye tarteeb-e-khaar-o-khas ke li.e qafas ko tod ke rakha to aashiyana hua hamaare gaav ki miTTi hi ret jaisi thii ye ek raat ka sailaab to bah aanaa hua kisi ke saath gaiin dil ki dhadkanein qaisar phir is ke baa'd mohabbat ka haadisa na hua
Qaisar-ul-Jafri
1 likes
maayusi ki barf padi thii lekin mausam sard na tha aaj se pahle dil men yaaro itnaa thanda dard na tha tanhaaii ki bojhal raatein pahle bhi to barsi theen zakham nahin the itne qaateel gham itnaa be-dard na tha firte hain ab rusva hote kal tak ye raftaar na thii shahar men theen sau koo-e-malaamat dil aawaara-gard na tha marne par bhi lau deti thii deewane ke dil ki aag patharaai theen aañkhen lekin phool sa chehra zard na tha harf-e-tasalli mauj-e-hawa the mauj-e-hawa se hota kya seene ka patthar tha qaisar gham daaman ki gard na tha
Qaisar-ul-Jafri
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Qaisar-ul-Jafri.
Similar Moods
More moods that pair well with Qaisar-ul-Jafri's ghazal.







