ghazalKuch Alfaaz

sanvar nok-palak abruon men kham kar de gire pade hue lafzon ko mohtaram kar de ghhurur us pe bahut sajta hai magar kah do isi men us ka bhala hai ghhurur kam kar de yahan libas ki qimat hai aadmi ki nahin mujhe gilas bade de sharab kam kar de chamakne vaali hai tahrir meri qismat ki koi charaghh ki lau ko zara sa kam kar de kisi ne chuum ke ankhon ko ye dua di thi zamin teri khuda motiyon se nam kar de sanwar nok-palak abruon mein kham kar de gire pade hue lafzon ko mohtaram kar de ghurur us pe bahut sajta hai magar kah do isi mein us ka bhala hai ghurur kam kar de yahan libas ki qimat hai aadmi ki nahin mujhe gilas bade de sharab kam kar de chamakne wali hai tahrir meri qismat ki koi charagh ki lau ko zara sa kam kar de kisi ne chum ke aankhon ko ye dua di thi zamin teri khuda motiyon se nam kar de

Related Ghazal

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

More from Bashir Badr

maan mausam ka kaha chhaai ghatta jaam utha aag se aag bujha phool khila jaam utha pee mire yaar tujhe apni qasam deta hooñ bhool ja shikwa gilaa haath mila jaam utha haath men chaand jahaan aaya muqaddar chamka sab badal jaayega qismat ka likha jaam utha ek pal bhi kabhi ho jaata hai sadiyon jaisa der kya karna yahaañ haath badha jaam utha pyaar hi pyaar hai sab log barabar hain yahaañ may-kade men koi chhota na badaa jaam utha

Bashir Badr

1 likes

jab sehar chup ho hansa lo ham ko jab andhera ho jala lo ham ko ham haqeeqat hain nazar aate hain dastaanon men chhupa lo ham ko KHoon ka kaam ravaan rahna hai jis jagah chaaho baha lo ham ko din na pa jaa.e kahii shab ka raaz subh se pahle utha lo ham ko ham zamaane ke sataaye hain bahut apne seene se laga lo ham ko vaqt ke hont ha men choo lenge an-kahe bol hain ga lo ham ko

Bashir Badr

1 likes

she'r mere kahaan the kisi ke li.e maine sab kuchh likha hai tumhaare li.e apne dukh sukh bahut khoobsurat rahe ham ji.e bhi to ik doosre ke li.e hum-safar ne mira saath chhodaa nahin apne aañsu diye raaste ke li.e is haveli men ab koii rehta nahin chaand niklaa kise dekhne ke li.e zindagi aur main do alag to nahin main ne sab phool kaate isi se li.e shahar men ab mira koii dushman nahin sab ko apna liya maine tere li.e zehan men titliyan ud rahi hain bahut koii dhaaga nahin baandhne ke li.e ek tasveer ghazalon men aisi banii agle pichhle zamaanon ke chehre li.e

Bashir Badr

6 likes

patthar ke jigar waalo gham men vo ravaani hai KHud raah banaa lega bahta hua paani hai ik zehen-e-pareshaan men khwaab-e-ghazlistaan hai patthar ki hifazat men sheeshe ki jawaani hai dil se jo chatte baadal to aankh men saawan hai thehra hua dariyaa hai bahta hua paani hai ham-rang-e-dil-e-pur-khoon har laala-e-sehraai gesu ki tarah muztar ab raat ki raani hai jis sang pe nazrein keen khurshid-e-haqeeqat hai jis chaand se munh moda patthar ki kahaanii hai ai peer-e-khirad-mandaan dil ki bhi zaroorat hai ye sheher-e-ghazaalaan hai ye mulk-e-jawaani hai gham wajh-e-figaar-e-dil gham wajh-e-qaraar-e-dil aañsu kabhi sheesha hai aañsu kabhi paani hai is hausla-e-dil par ham ne bhi kafan pahna hañs kar koi poochhega kya jaan ganvaani hai din talkh haqaaiq ke seharaaon ka suraj hai shab gesu-e-afsana yaadon ki kahaanii hai vo husn jise ham ne rusva kiya duniya men na-deeda haqeeqat hai na-gufta kahaanii hai vo misra-e-aawaara deewaanon pe bhari hai jis men tire gesu ki be-rabt kahaanii hai ham khushboo-e-aawaara ham noor-e-pareshaan hain ai badr muqaddar men aashufta-bayaani hai

Bashir Badr

1 likes

udaas aankhoñ se aañsu nahin nikalte hain ye motiyon ki tarah seepiyon men palte hain ghane dhuen men farishte bhi aankh malte hain tamaam raat khujuroon ke ped julte hain main shaahraah nahin raaste ka patthar hooñ yahaañ sawaar bhi paidal utar ke chalte hain unhen kabhi na bataana main un ki aankhoñ men vo log phool samajh kar mujhe maslate hain kaii sitaaron ko main jaanta hooñ bachpan se kahii bhi jaaun mire saath saath chalte hain ye ek ped hai aa is se mil ke ro len ham yahaañ se tere mire raaste badalte hain

Bashir Badr

5 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Bashir Badr.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Bashir Badr's ghazal.