sar jhukaoge to patthar devta ho jaega itna mat chaho use vo bevafa ho jaega ham bhi dariya hain hamen apna hunar malum hai jis taraf bhi chal padenge rasta ho jaega kitni sachchai se mujh se zindagi ne kah diya tu nahin mera to koi dusra ho jaega main khuda ka naam le kar pi raha huun dosto zahr bhi is men agar hoga dava ho jaega sab usi ke hain hava khushbu zamin o asman main jahan bhi jaunga us ko pata ho jaega sar jhukaoge to patthar dewta ho jaega itna mat chaho use wo bewafa ho jaega hum bhi dariya hain hamein apna hunar malum hai jis taraf bhi chal padenge rasta ho jaega kitni sachchai se mujh se zindagi ne kah diya tu nahin mera to koi dusra ho jaega main khuda ka nam le kar pi raha hun dosto zahr bhi is mein agar hoga dawa ho jaega sab usi ke hain hawa khushbu zamin o aasman main jahan bhi jaunga us ko pata ho jaega
Related Ghazal
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban
Varun Anand
81 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
More from Bashir Badr
falak se chaand sitaaron se jaam lena hai mujhe sehar se nayi ek shaam lena hai kise khabar ki farishte ghazal samjhte hain KHuda ke saamne kaafir ka naam lena hai mua'amla hai tira badtareen dushman se mire aziz mohabbat se kaam lena hai mehkati zulfon se KHushboo chamakti aankh se dhoop shabon se jaam-e-sehr ka salaam lena hai tumhaari chaal ki aahistagi ke lehje men sukhun se dil ko masalne ka kaam lena hai nahin main meer ke dar par kabhi nahin jaata mujhe KHuda se ghazal ka kalaam lena hai bade saleeqe se noton men us ko tulwa kar ameer-e-shahr se ab intiqaam lena hai
Bashir Badr
1 likes
maan mausam ka kaha chhaai ghatta jaam utha aag se aag bujha phool khila jaam utha pee mire yaar tujhe apni qasam deta hooñ bhool ja shikwa gilaa haath mila jaam utha haath men chaand jahaan aaya muqaddar chamka sab badal jaayega qismat ka likha jaam utha ek pal bhi kabhi ho jaata hai sadiyon jaisa der kya karna yahaañ haath badha jaam utha pyaar hi pyaar hai sab log barabar hain yahaañ may-kade men koi chhota na badaa jaam utha
Bashir Badr
1 likes
mirii nazar men KHaak tere aaine pe gard hai ye chaand kitna zard hai ye raat kitnii sard hai kabhi kabhi to yuñ laga ki ham sabhi masheen hain tamaam shahar men na koi zan na koi mard hai KHuda ki nazmon ki kitaab saari kaayenaat hai ghazal ke she'r ki tarah har ek fard fard hai hayaat aaj bhi kaneez hai huzoor-e-jabr men jo zindagi ko jeet le vo zindagi ka mard hai ise tabarruk-e-hayaat kah ke palkon par rakhoon agar mujhe yaqeen ho ye raaste ki gard hai vo jin ke zikr se ragon men daudti theen bijliyaan unhin ka haath ham ne choo ke dekha kitna sard hai
Bashir Badr
2 likes
KHoon patton pe jama ho jaise phool ka rang haraa ho jaise baarha ye ha men mehsoos hua dard seene ka KHuda ho jaise yuñ taras kha ke na poochho ahvaal teer seene pe laga ho jaise phool ki aankh men shabnam kyun hai sab hamaari hi KHataa ho jaise kirchen chubhti hain bahut seene men aaina toot gaya ho jaise sab ha men dekhne aate hain magar neend aankhoñ se KHafaa ho jaise ab charaaghon ki zaroorat bhi nahin chaand is dil men chhupa ho jaise
Bashir Badr
1 likes
jab sehar chup ho hansa lo ham ko jab andhera ho jala lo ham ko ham haqeeqat hain nazar aate hain dastaanon men chhupa lo ham ko KHoon ka kaam ravaan rahna hai jis jagah chaaho baha lo ham ko din na pa jaa.e kahii shab ka raaz subh se pahle utha lo ham ko ham zamaane ke sataaye hain bahut apne seene se laga lo ham ko vaqt ke hont ha men choo lenge an-kahe bol hain ga lo ham ko
Bashir Badr
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Bashir Badr.
Similar Moods
More moods that pair well with Bashir Badr's ghazal.







