sarkati jaa.e hai rukh se naqaab aahista aahista nikalta aa raha hai aftaab aahista aahista jawaan hone lage jab vo to ham se kar liya parda haya yak-lakht aayi aur shabaab aahista aahista shab-e-furqat ka jaaga hooñ farishto ab to sone do kabhi furqat men kar lena hisaab aahista aahista sawaal-e-wasl par un ko adoo ka khauf hai itnaa dabey honton se dete hain javaab aahista aahista vo bedar dii se sar kaaten ameer aur main kahooñ un se huzoor aahista aahista janab aahista aahista
Related Ghazal
suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain so us ke shahar men kuchh din thehar ke dekhte hain suna hai rabt hai us ko kharaab-haalon se so apne aap ko barbaad kar ke dekhte hain suna hai dard ki gaahak hai chashm-e-naaz us ki so ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain suna hai us ko bhi hai she'r o shaayri se shagaf so ham bhi mo'jize apne hunar ke dekhte hain suna hai bole to baaton se phool jhadte hain ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain suna hai raat use chaand takta rehta hai sitaare baam-e-falak se utar ke dekhte hain suna hai din ko use titliyan sataati hain suna hai raat ko jugnoo thehar ke dekhte hain suna hai hashr hain us ki ghazaal si aañkhen suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain suna hai raat se badh kar hain kaakulen us ki suna hai shaam ko saa.e guzar ke dekhte hain suna hai us ki siyah-chashmagi qayamat hai so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte hain suna hai us ke labon se gulaab jalte hain so ham bahaar pe ilzaam dhar ke dekhte hain suna hai aaina timsaal hai jabeen us ki jo saada dil hain use ban-sanwar ke dekhte hain suna hai jab se hamaail hain us ki gardan men mizaaj aur hi laal o guhar ke dekhte hain suna hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkaan men palang zaaviye us ki kamar ke dekhte hain suna hai us ke badan ki taraash aisi hai ki phool apni qabaayein katar ke dekhte hain vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahin ki us shajar pe shagoofe samar ke dekhte hain bas ik nigaah se lutta hai qaafila dil ka so rah-ravaan-e-tamanna bhi dar ke dekhte hain suna hai us ke shabistaan se muttasil hai behisht makeen udhar ke bhi jalwe idhar ke dekhte hain ruke to gardishein us ka tawaaf karti hain chale to us ko zamaane thehar ke dekhte hain kise naseeb ki be-pairhan use dekhe kabhi kabhi dar o deewaar ghar ke dekhte hain kahaaniyaan hi sahi sab mubaalga hi sahi agar vo KHvaab hai taabeer kar ke dekhte hain ab us ke shahar men thehre ki kooch kar jaayen faraaz aao sitaare safar ke dekhte hain
Ahmad Faraz
65 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
manzil pe na pahunchen use rastaa nahin kahte do chaar qadam chalne ko chalna nahin kahte ik ham hain ki ghairon ko bhi kah dete hain apna ik tum ho ki apnon ko bhi apna nahin kahte kam-himmati khatra hai samundar ke safar men toofaan ko ham dosto khatra nahin kahte ban jaa.e agar baat to sab kahte hain kya kya aur baat bigad jaa.e to kya kya nahin kahte
Nawaz Deobandi
33 likes
ab mere saath nahin hai samjhe naasamjhaane kii baat nahin hai samjhe naa tum maangoge aur tumhein mil jaayega pyaar hai ye khairaat nahin hai samjhe naa main baadal hooñ jis par chaahoon barsoonga meri koii zaat nahin hai samjhe naa apna khaali haath mujhe mat dikhlaao is men meraa haath nahin hai samjhe naa
Zubair Ali Tabish
66 likes
tamanna phir machal jaa.e agar tum milne aa jaao ye mausam hi badal jaa.e agar tum milne aa jaao mujhe gham hai ki maine zindagi men kuchh nahin paaya ye gham dil se nikal jaa.e agar tum milne aa jaao nahin milte ho mujhse tum to sab hamdard hain mere zamaana mujhse jal jaa.e agar tum milne aa jaao ye duniya bhar ke jhagde ghar ke qisse kaam ki baatein bala har ek tal jaa.e agar tum milne aa jaao
Javed Akhtar
48 likes
More from Ameer Minai
chup bhi ho bak raha hai kya waiz maghz rindon ka kha gaya waiz tere kehne se rind jaayenge ye to hai khaana-e-khuda waiz allah allah ye kibr aur ye ghuroor kya KHuda ka hai doosra waiz be-khata may-kashon pe chashm-e-ghazab hashr hone de dekhna waiz ham hain qaht-e-sharaab se beemaar kis marz ki hai tu davaa waiz rah chuka may-kade men saari umr kabhi may-khaane men bhi aa waiz hajw-e-may kar raha tha mimbar par ham jo pahunchen to pee gaya waiz dukht-e-raz ko bura mire aage phir na kehna kabhi suna waiz aaj karta hooñ wasf-e-may main ameer dekhooñ kahtaa hai is men kya waiz
Ameer Minai
0 likes
teer par teer lagao tumhein dar kis ka hai seena kis ka hai mirii jaan jigar kis ka hai khauf-e-meezaan-e-qayaamat nahin mujh ko ai dost tu agar hai mire palle men to dar kis ka hai koi aata hai adam se to koi jaata hai sakht dono men KHuda jaane safar kis ka hai chhup raha hai qafas-e-tan men jo har taair-e-dil aankh khole hue shaheen-e-nazar kis ka hai naam-e-shaair na sahi she'r ka mazmoon ho khoob phal se matlab ha men kya kaam shajar kis ka hai said karne se jo hai taair-e-dil ke munkir ai kamaan-daar tire teer men par kis ka hai mirii hairat ka shab-e-wasl ye bais hai ameer sar b-zaanoo hooñ ki zaanoo pe ye sar kis ka hai
Ameer Minai
0 likes
main ro ke aah karunga jahaan rahe na rahe zameen rahe na rahe aasmaañ rahe na rahe rahe vo jaan-e-jahaan ye jahaan rahe na rahe makeen ki KHair ho ya rab makaan rahe na rahe abhii mazaar par ahbaab faatiha padh len phir is qadar bhi hamaara nishaan rahe na rahe KHuda ke vaaste kalmaa buton ka padh zaahid phir ikhtiyaar men ghaafil zabaan rahe na rahe khizaan to KHair se guzri chaman men bulbul ki bahaar aayi hai ab aashiyaan rahe na rahe chala to hooñ paye izhaar-e-dard-e-dil dekhooñ huzoor-e-yaar majaal-e-bayaan rahe na rahe ameer jama hain ahbaab dard-e-dil kah le phir iltifaat-e-dil-e-dostaan rahe na rahe
Ameer Minai
1 likes
mire bas men ya to ya-rab vo sitam-shiaar hota ye na tha to kaash dil par mujhe ikhtiyaar hota pas-e-marg kaash yuñ hi mujhe vasl-e-yaar hota vo sar-e-mazaar hota main tah-e-mazaar hota tira may-kada salaamat tire khum ki KHair saaqi mira nashsha kyun utarta mujhe kyun khumaar hota main hooñ na-muraad aisa ki bilak ke yaas roti kahii pa ke aasraa kuchh jo umeed-waar hota nahin poochta hai mujh ko koi phool is chaman men dil-e-daag-daar hota to gale ka haar hota vo mazaa diya tadap ne ki ye aarzoo hai ya-rab mire dono pahluon men dil-e-be-qaraar hota dam-e-naz'a bhi jo vo but mujhe aa ke munh dikhaata to KHuda ke munh se itnaa na main sharmasaar hota na malak sawaal karte na lahd fishaar deti sar-e-raah-e-koo-e-qaatil jo mira mazaar hota jo nigaah ki thii zalim to phir aankh kyun churaai vahii teer kyun na maara jo jigar ke paar hota main zabaan se tum ko saccha kaho laakh baar kah doon ise kya karoon ki dil ko nahin e'tibaar hota mirii KHaak bhi lahd men na rahi ameer baaki unhen marne hi ka ab tak nahin e'tibaar hota
Ameer Minai
0 likes
baat karne men to jaati hai mulaqaat ki raat kya bari baat hai rah jaao yahiin raat ki raat zarre afshaan ke nahin kirmak-e-shab-taab se kam hai vo zulf-e-araq-aalood ki barsaat ki raat zaahid us zulf fans jaa.e to itnaa poochoon kahiye kis tarah kati qibla-e-haajaat ki raat shaam se subh talak chalte hain jaam-e-may-e-aish khoob hoti hai basar ahl-e-kharaabaat ki raat vasl chaaha shab-e-meraaj to ye uzr kiya hai ye allah o payambar ki mulaqaat ki raat ham musaafir hain ye duniya hai haqeeqat men sara hai tavakkuf ha men is ja to faqat raat ki raat chal ke ab so raho baatein na banaao saahib vasl ki shab hai nahin harf-e-hikaayaat ki raat lailatul-qadr hai vaslat ki dua maang ameer is se behtar hai kahaan koi munaajat ki raat
Ameer Minai
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ameer Minai.
Similar Moods
More moods that pair well with Ameer Minai's ghazal.







