ghazalKuch Alfaaz

shaam se aankh men nami si hai aaj phir aap ki kamii si hai dafn kar do ha men ki saans aa.e nabz kuchh der se thami si hai kaun pathra gaya hai aankhoñ men barf palkon pe kyun jamee si hai vaqt rehta nahin kahii tik kar aadat is ki bhi aadmi si hai aaiye raaste alag kar len ye zaroorat bhi baahmi si hai

Gulzar18 Likes

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

More from Gulzar

zikr aa.e to mire lab se duaaein niklen shama' jaltee hai to laazim hai shuaaein niklen vaqt ki zarb se kat jaate hain sab ke seene chaand ka chhalaka utar jaa.e to qaashein niklen dafn ho jaayen ki zarkhez zameen lagti hai kal isee miTTi se shaayad mirii shaakhen niklen chand ummeedein nichodhi theen to aahen tapkiin dil ko pighlaayein to ho saka hai saansen niklen ghaar ke munh pe rakha rahne do sang-e-khursheed ghaar men haath na daalo kahii raatein niklen

Gulzar

2 likes

tujh ko dekha hai jo dariyaa ne idhar aate hue kuchh bhanwar doob ga.e paani men chakrate hue ham ne to raat ko daanton se pakad kar rakha cheena-jhapati men ufuq khulta gaya jaate hue main na hoonga to khizaan kaise kategi teri shokh patte ne kaha shaakh se murjhate hue hasratein apni bilaktiin na yatiimon ki tarah ham ko awaaz hi de lete zaraa jaate hue si li.e hont vo paakizaa nigaahen sun kar mailee ho jaati hai awaaz bhi dohraate hue

Gulzar

1 likes

tinka tinka kaañte tode saari raat kataai ki kyun itni lambi hoti hai chaandni raat judaai ki neend men koi apne-aap se baatein karta rehta hai kaal-kue men goonjti hai awaaz kisi saudaai ki seene men dil ki aahat jaise koi jaasoos chale har saa.e ka peecha karna aadat hai harjaai ki aankhoñ aur kaanon men kuchh sannaate se bhar jaate hain kya tum ne udti dekhi hai ret kabhi tanhaaii ki taaron ki raushan faslen aur chaand ki ek daraanti thii sahoo ne girvi rakh li thii meri raat kataai ki

Gulzar

0 likes

har ek gham nichod ke har ik baras ji.e do din ki zindagi men hazaaron baras ji.e sadiyon pe ikhtiyaar nahin tha hamaara dost do chaar lamhe bas men the do chaar bas ji.e sehra ke us taraf se ga.e saare kaarwaan sun sun ke ham to sirf sada-e-jars ji.e honton men le ke raat ke aanchal ka ik sira aankhoñ pe rakh ke chaand ke honton ka mas ji.e mahdood hain duaaein mire ikhtiyaar men har saans pur-sukoon ho tu sau baras ji.e

Gulzar

3 likes

gulon ko sunna zaraa tum sadaaein bheji hain gulon ke haath bahut si duaaein bheji hain jo aftaab kabhi bhi ghuroob hota nahin hamaara dil hai usii ki shuaaein bheji hain agar jalaae tumhein bhi shifaa mile shaayad ik aise dard ki tum ko shuaaein bheji hain tumhaari khushk si aañkhen bhalii nahin lagtiin vo saari cheezen jo tum ko rulaayein bheji hain siyaah rang chamakti hui kanaari hai pahan lo achchhii lagengi ghataaein bheji hain tumhaare KHvaab se har shab lipt ke sote hain sazaayein bhej do ham ne khataayein bheji hain akela patta hawa men bahut buland uda zameen se paanv uthao hawaaein bheji hain

Gulzar

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Gulzar.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Gulzar's ghazal.