ghazalKuch Alfaaz

shab-e-visal men duuri ka khvab kyuun aaya kamal-e-fath men ye dar ka baab kyuun aaya dilon men ab ke baras itne vahm kyuun jaage bilad-e-sabr men ab iztirab kyuun aaya hai aag gul pe ajab is bahar-e-guzran men chaman men ab ke gul-e-be-hisab kyuun aaya agar vahi tha to rukh pe vo be-rukhi kya thi zara se hijr men ye inqalab kyuun aaya bas ek hoga tamasha tamam samton par miri sada ke safar men sarab kyuun aaya main khush nahin huun bahut duur us se hone par jo main nahin tha to us par shabab kyuun aaya uda hai shola-e-barq abr ki fasilon par ye is bala ke muqabil sahab kyuun aaya yaqin kis liye us par se uth gaya hai 'munir' tumhare sar pe ye shak ka azaab kyuun aaya shab-e-visal mein duri ka khwab kyun aaya kamal-e-fath mein ye dar ka bab kyun aaya dilon mein ab ke baras itne wahm kyun jage bilad-e-sabr mein ab iztirab kyun aaya hai aag gul pe ajab is bahaar-e-guzran mein chaman mein ab ke gul-e-be-hisab kyun aaya agar wahi tha to rukh pe wo be-rukhi kya thi zara se hijr mein ye inqalab kyun aaya bas ek hoga tamasha tamam samton par meri sada ke safar mein sarab kyun aaya main khush nahin hun bahut dur us se hone par jo main nahin tha to us par shabab kyun aaya uda hai shola-e-barq abr ki fasilon par ye is bala ke muqabil sahab kyun aaya yaqin kis liye us par se uth gaya hai 'munir' tumhaare sar pe ye shak ka azab kyun aaya

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye

Khumar Barabankvi

95 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Muneer Niyazi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Muneer Niyazi's ghazal.