ghazalKuch Alfaaz

shikast-e-zindagi vaise bhi maut hi hai nato sach bataa ye mulaqaat aakhiri hai na kaha nahin tha mira jism aur bhar yaarab so ab ye KHaak tire paas bach gaii hai na tu mere haal se anjaan kab hai ai duniya jo baat kah nahin paaya samajh rahi hai na isee li.e ha men ehsaas-e-jurm hai shaayad abhii hamaari mohabbat nayi nayi hai na ye kor-chashm ujaalon se ishq karte hain jo ghar jala ke bhi kahte hain raushni hai na main KHud bhi yaar tujhe bhoolne ke haq men hooñ magar jo beech men kam-bakht shaayeri hai na main jaan-boojh ke aaya tha teg aur tire beech miyaan nibhaani to padti hai dosti hai na

Afzal Khan0 Likes

Related Ghazal

jaam cigarette kash aur bas kuchh dhuaan aakhirsh aur bas maut tak zindagi ka safar raat-din kashmakash aur bas pee gaya ped aandhi magar gir pada kha ke ghash aur bas zindagi jaltee cigarette hai sirf do-chaar kash aur bas sookhte ped ki lakdiyaan aakhiri peshkash aur bas

Sandeep Thakur

50 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

raaste jo bhi chamak-daar nazar aate hain sab teri odhni ke taar nazar aate hain koi paagal hi mohabbat se nawaazega mujhe aap to KHair samajhdaar nazar aate hain main kahaan jaaun karoon kis se shikaayat us ki har taraf us ke taraf-daar nazar aate hain zakham bharne lage hain pichhli mulaqaaton ke phir mulaqaat ke aasaar nazar aate hain ek hi baar nazar padti hai un par taabish aur phir vo hi lagaataar nazar aate hain

Zubair Ali Tabish

39 likes

sach bataayen to sharm aati hai aur chhupaayein to sharm aati hai ham pe ehsaan hain udaasi ke muskuraayein to sharm aati hai haar ki aisi aadaten hain ha men jeet jaayen to sharm aati hai uske aage hi uskaa bakhsha hua sar uthaaye to sharm aati hai aish aukaat se zyaada ki ab kamaayein to sharm aati hai dhamkiyaan khudkushi ki dete hain kar na paa.e to sharm aati hai

Varun Anand

36 likes

More from Afzal Khan

tabhi to main mohabbat ka hawaalaati nahin hota yahaañ apne siva koi mulaqaati nahin hota girftaar-e-wafa rone ka koi ek mausam rakh jo naala roz bah nikle vo barsaati nahin hota bichhadne ka iraada hai to mujh se mashwara kar lo mohabbat men koi bhi faisla zaati nahin hota tumhein dil men jagah dii thii nazar se door kya karte jo markaz men thehar jaa.e mazaafaati nahin hota

Afzal Khan

0 likes

mujhe rona nahin awaaz bhi bhari nahin karne mohabbat ki kahaanii men adaakaari nahin karne hawa ke khauf se lipta hua hooñ khushk tahni se kahii jaana nahin jaane ki tayyaari nahin karne tahammul ai mohabbat hijr pathreela ilaqa hai tujhe is raaste par tez-raftaari nahin karne hamaara dil zaraa ukta gaya tha ghar men rah rah kar yoonhi bazaar aa.e hain khareedaari nahin karne ghazal ko kam-nigaahon ki pahunch se door rakhta hooñ mujhe banjar dimaagon men shjar-kaari nahin karne wasiyyat ki thii mujh ko qais ne sehra ke baare men ye meraa ghar hai is ki chaar-deewaari nahin karne

Afzal Khan

0 likes

tabhi to main mohabbat ka hawaalaati nahin hota yahaañ apne siva koi mulaqaati nahin hota girftaar-e-wafa rone ka koi ek mausam rakh jo naala roz bah nikle vo barsaati nahin hota bichhadne ka iraada hai to mujh se mashwara kar lo mohabbat men koi bhi faisla zaati nahin hota tumhein dil men jagah dii thii nazar se door kya karte jo markaz men thehar jaa.e mazaafaati nahin hota

Afzal Khan

0 likes

aaj hi furqat se kal ka mas'ala chhedoonga main mas'ala hal ho to hal ka mas'ala chhedoonga main vasl o hijraan men tanaasub raast hona chahiye ishq ke radd-e-amal ka mas'ala chhedoonga main dekhna sab log mujh ko khaariji thehraaenge kal yahaañ jang-e-jamal ka mas'ala chhedoonga main kashtiyon waale mujhe tawaan de kar paar jaayen warna lehron men khalal ka mas'ala chhedoonga main mil hi jaayenge kahii to mujh ko bedil-haidri kooza-gar waali ghazal ka mas'ala chhedoonga main is shajar ki ek tahni parle aangan men bhi hai apne ham-saaye se phal ka mas'ala chhedoonga main

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Afzal Khan.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Afzal Khan's ghazal.