ghazalKuch Alfaaz

shor yoonhi na parindon ne machaaya hogaa koi jungle ki taraf shahar se aaya hogaa ped ke kaatne waalon ko ye maaloom to tha jism jal jaayenge jab sar pe na saaya hogaa baani-e-jashn-e-bahaaraan ne ye socha bhi nahin kis ne kaanton ko lahu apna pilaaya hogaa bijli ke taar pe baitha hua hansta panchi sochta hai ki vo jungle to paraaya hogaa apne jungle se jo ghabra ke ude the pyaase har saraab un ko samundar nazar aaya hogaa

Kaifi Azmi0 Likes

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

mere li.e to ishq ka vaa'da hai shayari aadha suroor tum ho to aadha hai shayari rudraaksh haath men hai to seene men om hai krishna hai meraa dil meri radha hai shayari apna to mel jol hi bas aashikon se hai darvesh ka bas ek labaada hai shayari ho aashna koi to dikhaati hai apna rang be ramziyon ke vaaste saada hai shayari tum saamne ho aur meri dastaras men ho is waqt mere dil ka iraada hai shayari bhagwaan ho KHuda ho muhabbat ho ya badan jis samt bhi chalo yahii jaada hai shayari is li.e bhi ishq hi likhta hooñ main ali meraa kisi se aakhri vaa'da hai shayari

Ali Zaryoun

70 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

safar men dhoop to hogii jo chal sako to chalo sabhi hain bheed men tum bhi nikal sako to chalo kisi ke vaaste raahen kahaan badalti hain tum apne aap ko KHud hi badal sako to chalo yahaañ kisi ko koi raasta nahin deta mujhe giraa ke agar tum sambhal sako to chalo kahii nahin koi suraj dhuaan dhuaan hai fazaa KHud apne aap se baahar nikal sako to chalo yahii hai zindagi kuchh KHvaab chand ummeedein inheen khilauno se tum bhi bahl sako to chalo

Nida Fazli

61 likes

seena dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahii nahin rishton men dhoondhta hai to dhoonda kare koi tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi deewaar jaanta tha jise main vo dhool thii ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi main KHud ye chahta hooñ ki haalaat hooñ KHaraab mere KHilaaf zahar ugalta phire koi ai shaKHs ab to mujh ko s abhii kuchh qubool hai ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi haan theek hai main apni ana ka mareez hooñ aaKHir mere mizaaj men kyun dakhl de koi ik shaKHs kar raha hai abhii tak vafaa ka zikr kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi

Jaun Elia

77 likes

More from Kaifi Azmi

laai phir ik lagzish-e-mastaana tere shahar men phir banengi masjidein may-khaana tere shahar men aaj phir tootengi tere ghar ki naazuk khidkiyaan aaj phir dekha gaya deewaana tere shahar men jurm hai teri gali se sar jhuka kar lautna kufr hai pathraav se ghabraana tere shahar men shaah-naa men likkhe hain khandaraat ki har iint par har jagah hai dafn ik afsaana tere shahar men kuchh kaneezen jo hareem-e-naaz men hain baaryaab maangti hain jaan o dil nazraana tere shahar men nangi sadkon par bhatk kar dekh jab marti hai raat rengta hai har taraf veeraana tere shahar men

Kaifi Azmi

0 likes

tum itnaa jo muskuraa rahe ho kya gham hai jis ko chhupa rahe ho aankhoñ men nami hañsi labon par kya haal hai kya dikha rahe ho ban jaayenge zahar peete peete ye ashk jo peete ja rahe ho jin zaKHmon ko vaqt bhar chala hai tum kyun unhen chhede ja rahe ho rekhaon ka khel hai muqaddar rekhaon se maat kha rahe ho

Kaifi Azmi

4 likes

khaar-o-khas to uthe raasta to chale main agar thak gaya qaafila to chale chaand suraj buzurgon ke naqsh-e-qadam KHair bujhne do un ko hawa to chale haakim-e-shahr ye bhi koi shahar hai masjidein band hain may-kada to chale us ko mazhab kaho ya siyaasat kaho KHud-kushi ka hunar tum sikha to chale itni laashen main kaise utha paaooñga aap eenton ki hurmat bacha to chale belche laao kholo zameen ki taheen main kahaan dafn hooñ kuchh pata to chale

Kaifi Azmi

0 likes

jo vo mire na rahe main bhi kab kisi ka raha bichhad ke un se saleeqa na zindagi ka raha labon se ud gaya jugnoo ki tarah naam us ka sahaara ab mire ghar men na raushni ka raha guzarne ko to hazaaron hi qafile guzre zameen pe naqsh-e-qadam bas kisi kisi ka raha

Kaifi Azmi

4 likes

haath aa kar laga gaya koi meraa chappar utha gaya koi lag gaya ik masheen men main bhi shahar men le ke aa gaya koi main khada tha ki peeth par meri ishtehaar ik laga gaya koi ye sadi dhoop ko tarasti hai jaise suraj ko kha gaya koi aisi mehngaai hai ki chehra bhi bech ke apna kha gaya koi ab vo armaan hain na vo sapne sab kabootar uda gaya koi vo ga.e jab se aisa lagta hai chhota mota KHuda gaya koi meraa bachpan bhi saath le aaya gaav se jab bhi aa gaya koi

Kaifi Azmi

6 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Kaifi Azmi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Kaifi Azmi's ghazal.