ghazalKuch Alfaaz

siskiyan leti hui ghhamgin havao chup raho so rahe hain dard un ko mat jagao chup raho raat ka patthar na pighlega shuaon ke baghhair subh hone tak na bolo ham-navao chup raho band hain sab mai-kade saaqi bane hain mohtasib ai garajti gunjti kaali ghatao chup raho tum ko hai malum akhir kaun sa mausam hai ye fasl-e-gul aane talak ai khush-navao chup raho soch ki divar se lag kar hain ghham baithe hue dil men bhi naghhma na koi gungunao chup raho chhat gae halat ke badal to dekha jaega vaqt se pahle andhere men na jaao chup raho dekh lena ghar se niklega na ham-saya koi ai mire yaaro mire dard-ashnao chup raho kyuun sharik-e-ghham banate ho kisi ko ai 'qatil' apni suuli apne kandhe par uthao chup raho siskiyan leti hui ghamgin hawao chup raho so rahe hain dard un ko mat jagao chup raho raat ka patthar na pighlega shuaon ke baghair subh hone tak na bolo ham-nawao chup raho band hain sab mai-kade saqi bane hain mohtasib ai garajti gunjti kali ghatao chup raho tum ko hai malum aakhir kaun sa mausam hai ye fasl-e-gul aane talak ai khush-nawao chup raho soch ki diwar se lag kar hain gham baithe hue dil mein bhi naghma na koi gungunao chup raho chhat gae haalat ke baadal to dekha jaega waqt se pahle andhere mein na jao chup raho dekh lena ghar se niklega na ham-saya koi ai mere yaro mere dard-ashnao chup raho kyun sharik-e-gham banate ho kisi ko ai 'qatil' apni suli apne kandhe par uthao chup raho

Related Ghazal

teraa chup rahna mere zehan men kya baith gaya itni aawaazen tujhe deen ki gala baith gaya yuñ nahin hai ki faqat main hi use chahta hooñ jo bhi us ped ki chaanv men gaya baith gaya itnaa meetha tha vo ghusse bhara lahjaa mat poochus ne jis ko bhi jaane ka kaha baith gaya apna ladna bhi mohabbat hai tumhein ilm nahin cheeKHtii tum rahi aur meraa gala baith gaya us ki marzi vo jise paas bitha le apne is pe kya ladna fulan meri jagah baith gaya baat daryaon ki suraj ki na teri hai yahaañ do qadam jo bhi mere saath chala baith gaya bazm-e-jaanan men nashisten nahin hoti makhsoos jo bhi ik baar jahaan baith gaya baith gaya

Tehzeeb Hafi

203 likes

bas ik nigaah-e-naaz ko tarsa hua tha main haalanki shahar-shahar men faila hua tha main muddat ke baad aaina dekha to ro pada kis behtareen dost se rootha hua tha main pahna jo renkot to baarish nahin hui lautaa jo ghar to sharm se bheega hua tha main pahle bhi dii gaii thii mujhe bazm ki dua pahle bhi is dua pe akela hua tha main kitnii ajeeb baat hai na tu hi aa gaya tere hi intzaar men baitha hua tha main

Zubair Ali Tabish

47 likes

bulaati hai magar jaane ka nahin ye duniya hai idhar jaane ka nahin mere bete kisi se ishq kar magar had se guzar jaane ka nahin zameen bhi sar pe rakhni ho to rakho chale ho to thehar jaane ka nahin sitaare noch kar le jaaunga main khaali haath ghar jaane ka nahin vaba phaili hui hai har taraf abhii maahol mar jaane ka nahin vo gardan naapta hai naap le magar zaalim se dar jaane ka nahin

Rahat Indori

59 likes

kis taraf ko chalti hai ab hawa nahin maaloom haath utha li.e sabne aur dua nahin maaloom mausamon ke chehron se zardiyaan nahin jaati phool kyun nahin lagte khush-numa nahin maaloom rahbaro'n ke tevar bhi rahzano se lagte hain kab kahaan pe loot jaa.e qaafila nahin maaloom sarv to gaii rut men qaamaten ganwa baithe qumariyaan hui kaise be-sada nahin maaloom aaj sabko daava hai apni apni chaahat ka kaun kis se hota hai kal juda nahin maaloom manzaron kii tabdeeli bas nazar men rahtii hai ham bhi hote jaate hain kya se kya nahin maaloom ham faraaz sheron se dil ke zaKHm bharte hain kya karen maseeha ko jab davaa nahin maaloom

Ahmad Faraz

46 likes

tootne par koi aa.e to phir aisa toote ki jise dekh ke har dekhne vaala toote apne bikhre hue tukdon ko samete kab tak ek insaan ki khaatir koi kitna toote koi tukda teri aankhoñ men na chubh jaa.e kahii door ho ja ki mere KHvaab ka sheesha toote main kisi aur ko sochun to mujhe hosh aa.e main kisi aur ko dekhooñ to ye nashsha toote ranj hota hai to aisa ki bat aa.e na bane jab kisi apne ke bais koi apna toote paas baithe hue yaaron ko khabar tak na hui ham kisi baat pe is darja anokha toote itni jal dii to sambhalne ki tavakko na karo vaqt hi kitna hua hai meraa sapna toote daad ki bheek na maang ai mere achchhe shaayar ja tujhe meri dua hai teraa kaasa toote tu use kis ke bharose pe nahin kaat rahi charkh ko dekhne waali teraa charkha toote warna kab tak li.e firta rahoon us ko javvaad koi soorat ho ki ummeed se rishta toote

Jawwad Sheikh

31 likes

More from Qateel Shifai

titliyon ka rang ho ya jhoomte baadal ka rang ham ne har ik rang ko jaana tire aanchal ka rang teri aankhoñ ki chamak hai ya sitaaron ki ziya raat ka hai ghup andhera ya tire kaajal ka rang dhadkano ke taal par vo haal apne dil ka hai jaise gori ke thirakte paanv men paayal ka rang fenkna tum soch kar lafzon ka ye karwa gulaal phail jaata hai kabhi sadiyon pe bhi ik pal ka rang aah ye rangeen mausam KHoon ki barsaat ka chha raha hai aql par jazbaat ki halchal ka rang ab to shabnam ka har ik moti hai kankar ki tarah haan usii gulshan pe chaaya tha kabhi makhmal ka rang phir rahe hain log haathon men li.e khanjar khule kooche kooche men ab aata hai nazar maqtal ka rang chaar jaanib jis ki raa'naai ke charche hain qatil jaane kab dekhenge ham us aane waali kal ka rang

Qateel Shifai

1 likes

khula hai jhooth ka bazaar aao sach boleinna ho bala se khareedaar aao sach bolein sukoot chaaya hai insaaniyat ki qadron par yahii hai mauqa-e-izhaar aao sach bolein ha men gawaah banaya hai vaqt ne apna b-naam-e-azmat-e-kirdaar aao sach bolein suna hai vaqt ka haakim badaa hi munsif hai pukaar kar sar-e-darbaar aao sach bolein tamaam shahar men kya ek bhi nahin mansoor kaheinge kya rasn-o-daar aao sach bolein baja ki khoo-e-wafa ek bhi haseen men nahin kahaan ke ham bhi wafadar aao sach bolein jo wasf ham men nahin kyun karen kisi men talash agar zameer hai bedaar aao sach bolein chhu paa.e se kahii chhupte hain daagh chehre ke nazar hai aaina-bardaar aao sach bolein qatil jin pe sadaa pattharon ko pyaar aaya kidhar ga.e vo gunahgaar aao sach bolein

Qateel Shifai

0 likes

apne honton par saj aanaa chahta hooñ aa tujhe main gungun aanaa chahta hooñ koi aañsu tere daaman par giraa kar boond ko moti ban aanaa chahta hooñ thak gaya main karte karte yaad tujh ko ab tujhe main yaad aanaa chahta hooñ chha raha hai saari bastii men andhera raushni ko ghar jalana chahta hooñ aakhri hichki tire zaanoo pe aa.e maut bhi main shaairana chahta hooñ

Qateel Shifai

6 likes

kiya hai pyaar jise ham ne zindagi ki tarah vo aashna bhi mila ham se ajnabi ki tarah kise khabar thii badhegi kuchh aur taarikee chhupega vo kisi badli men chaandni ki tarah badha ke pyaas mirii us ne haath chhod diya vo kar raha tha muravvat bhi dil-lagi ki tarah sitam to ye hai ki vo bhi na ban sakaa apna qubool ham ne ki.e jis ke gham khushi ki tarah kabhi na socha tha ham ne qatil us ke li.e karega ham pe sitam vo bhi har kisi ki tarah

Qateel Shifai

4 likes

raabta laakh sahi qaafila-salaar ke saath ham ko chalna hai magar vaqt ki raftaar ke saath gham lage rahte hain har aan khushi ke peeche dushmani dhoop ki hai saaya-e-deewar ke saath kis tarah apni mohabbat ki main takmeel karoon gham-e-hasti bhi to shaamil hai gham-e-yaar ke saath lafz chunta hooñ to mafhoom badal jaata hai ik na ik khauf bhi hai jurat-e-izhaar ke saath dushmani mujh se ki.e ja magar apna ban kar jaan le le mirii sayyaad magar pyaar ke saath do ghadi aao mil aayen kisi ghalib se qatil hazrat zauq to waabasta hain darbaar ke saath

Qateel Shifai

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Qateel Shifai.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Qateel Shifai's ghazal.