ghazalKuch Alfaaz

sitaron se aage jahan aur bhi hain abhi ishq ke imtihan aur bhi hain tahi zindagi se nahin ye fazaen yahan saikdon karvan aur bhi hain qanaat na kar alam-e-rang-o-bu par chaman aur bhi ashiyan aur bhi hain agar kho gaya ik nasheman to kya ghham maqamat-e-ah-o-fughhan aur bhi hain tu shahin hai parvaz hai kaam tera tire samne asman aur bhi hain isi roz o shab men ulajh kar na rah ja ki tere zaman o makan aur bhi hain gae din ki tanha tha main anjuman men yahan ab mire raz-dan aur bhi hain sitaron se aage jahan aur bhi hain abhi ishq ke imtihan aur bhi hain tahi zindagi se nahin ye fazaen yahan saikdon karwan aur bhi hain qanaat na kar aalam-e-rang-o-bu par chaman aur bhi aashiyan aur bhi hain agar kho gaya ek nasheman to kya gham maqamat-e-ah-o-fughan aur bhi hain tu shahin hai parwaz hai kaam tera tere samne aasman aur bhi hain isi roz o shab mein ulajh kar na rah ja ki tere zaman o makan aur bhi hain gae din ki tanha tha main anjuman mein yahan ab mere raaz-dan aur bhi hain

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

More from Allama Iqbal

dil soz se khaali hai nigah paak nahin hai phir is men ajab kya ki tu bebaak nahin hai hai zauq-e-tajalli bhi isee KHaak men pinhaan ghaafil tu nira sahib-e-idraak nahin hai vo aankh ki hai surma-e-afrang se raushan purkaar o suhkan-saaz hai namnaak nahin hai kya sufi o mulla ko khabar mere junoon ki un ka sar-e-daaman bhi abhii chaak nahin hai kab tak rahe mahkoomi-e-anjum men mirii KHaak ya main nahin ya gardish-e-aflaak nahin hai bijli hooñ nazar koh o biyaabaan pe hai mirii mere li.e shaayaan khas-o-khaashaak nahin hai aalam hai faqat momin-e-jaanbaaz ki meeraas mumin nahin jo sahib-e-laulaak nahin hai

Allama Iqbal

1 likes

na aate ha men is men takraar kya thii magar vaa'da karte hue aar kya thii tumhaare payaami ne sab raaz khola KHataa is men bande ki sarkaar kya thii bharii bazm men apne 'aashiq ko taada tiri aankh masti men hushyaar kya thii taammul to tha un ko aane men qaasid magar ye bataa tarz-e-inkaar kya thii khinche khud-bakhud jaanib-e-toor moosa kashish teri ai shauq-e-deedaar. kya thii kahii zikr rehta hai iqbaal teraa fusoon tha koi teri guftaar kya thii

Allama Iqbal

2 likes

na tu zameen ke li.e hai na aasmaañ ke li.e jahaan hai tere li.e tu nahin jahaan ke li.e ye aql o dil hain sharar shola-e-mohabbat ke vo khaar-o-khas ke li.e hai ye neestaan ke li.e maqaam-e-parvarish-e-aah-o-laala hai ye chamanna sair-e-gul ke li.e hai na aashiyaan ke li.e rahega raavi o neel o furaat men kab tak tira safeena ki hai bahr-e-be-karan ke li.e nishaan-e-raah dikhaate the jo sitaaron ko taras ga.e hain kisi mard-e-raah-daan ke li.e nigah buland sukhun dil-nawaz jaañ pur-soz yahii hai rakht-e-safar meer-e-kaarwaan ke li.e zaraa si baat thii andesha-e-ajm ne use badha diya hai faqat zeb-e-daastaan ke li.e mire guloo men hai ik naghma jibraail-aashob sambhaal kar jise rakha hai la-makaan ke li.e

Allama Iqbal

1 likes

la phir ik baar vahii baada o jaam ai saaqi haath aa jaa.e mujhe meraa maqaam ai saaqi teen sau saal se hain hind ke may-khaane band ab munaasib hai tira faiz ho aam ai saaqi mirii meena-e-ghazal men thii zaraa si baaki sheikh kahtaa hai ki hai ye bhi haraam ai saaqi she'r mardon se hua besh-e-tahqeeq tahee rah ga.e sufi o mulla ke ghulaam ai saaqi ishq ki tegh-e-jigar-daar uda li kis ne ilm ke haath men khaali hai niyaam ai saaqi seena raushan ho to hai soz-e-sukhan ain-e-hayaat ho na raushan to sukhun marg-e-davaam ai saaqi tu mirii raat ko mahtaab se mahroom na rakh tire paimaane men hai maah-e-tamaam ai saaqi

Allama Iqbal

3 likes

apni jaulaan-gaah zer-e-aasmaan samjha tha main aab o gil ke khel ko apna jahaan samjha tha main be-hijaabi se tiri toota nigaahon ka tilism ik rida-e-neel-goon ko aasmaañ samjha tha main kaarwaan thak kar fazaa ke pech-o-kham men rah gaya mehr o maah o mushtari ko hum-inaan samjha tha main ishq ki ik jast ne tay kar diya qissa tamaam is zameen o aasmaañ ko be-karaan samjha tha main kah gaiin raaz-e-mohabbat parda-daari-ha-e-shauq thii fugaan vo bhi jise zabt-e-fughaan samjha tha main thii kisi darmaanda rah-rau ki sada-e-dardnaak jis ko aawaaz-e-raheel-e-kaarvaan samjha tha main

Allama Iqbal

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Allama Iqbal.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Allama Iqbal's ghazal.