ghazalKuch Alfaaz

sitam hi karna jafaa hi karna nigaah-e-ulft kabhi na karna tumhein qasam hai hamaare sar ki hamaare haq men kamii na karna hamaari mayyat pe tum jo aanaa to chaar aañsu baha ke j aanaa zaraa rahe paas-e-aabroo bhi kahii hamaari hañsi na karna kahaan ka aanaa kahaan ka j aanaa vo jaante hi nahin ye rasmen vahaañ hai vaade ki bhi ye soorat kabhi to karna kabhi na karna li.e to chalte hain hazrat-e-dil tumhein bhi us anjuman men lekin hamaare pahluu men baith kar tum humeen se pahlu-tahi na karna nahin hai kuchh qatl un ka aasaan ye sakht-jaan hain bure bala ke qaza ko pahle shareek karna ye kaam apni khushi na karna halaak andaaz-e-wasl karna ki parda rah jaa.e kuchh hamaara gham-e-judai men KHaak kar ke kahii adoo ki khushi na karna mirii to hai baat zahar un ko vo un ke matlab hi ki na kyun ho ki un se jo iltijaa se kehna ghazab hai un ko vahii na karna hua agar shauq aaine se to rukh rahe raasti ki jaanib misaal-e-aariz safaai rakhna ba-rang-e-kaakul kajee na karna vo hi hamaara tareeq-e-ulfat ki dushmanon se bhi mil ke chalna ye ek sheva tira sitamgar ki dost se dosti na karna ham ek rastaa gali ka us ki dikha ke dil ko hue pashemaan ye hazrat-e-khizr ko jata do kisi ki tum rahbari na karna bayaan-e-dard-e-firaq kaisa ki hai vahaañ apni ye haqeeqat jo baat karne to naala karna nahin to vo bhi kabhi na karna madaar hai naaseho tumheen par tamaam ab us ki munsifi ka zaraa to kehna khuda-lagi bhi faqat sukhan-parvari na karna burii hai ai daagh raah-e-ulfat KHuda na le jaa.e aise raaste jo apni tum KHair chahte ho to bhool kar dil-lagi na karna

Related Ghazal

vo munh lagata hai jab koi kaam hota hai jo uskaa hota hai samjho ghulaam hota hai kisi ka ho ke dobaara na aanaa meri taraf mohabbaton men halaala haraam hota hai ise bhi ginte hain ham log ahl-e-kh aanaa men hamaare yaa to shajar ka bhi naam hota hai tujh aise shaKHs ke hote hain khaas dost bahut tujh aisa shaKHs bahut jald aam hota hai kabhi lagii hai tumhein koi shaam aakhiri shaam hamaare saath ye har ek shaam hota hai

Umair Najmi

81 likes

zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii

Ali Zaryoun

102 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

kabhi milenge to ye karz bhi utaarenge tumhaare chehre ko paharon talak nihaarenge ye kya sitam ki khilaadi badal diya usne ham is umeed pe baithe the ham hi haarenge hamaare baad tere ishq men naye ladke badan to choomenge zulfen nahin sanvaarenge

Vikram Gaur Vairagi

70 likes

mujhe udaas kar ga.e ho KHush raho mire mizaaj par ga.e ho KHush raho mire li.e na ruk sake to kya hua jahaan kahiin thehar ga.e ho KHush raho khushi hui hai aaj tum ko dekh kar bahut nikhar sanwar ga.e ho KHush raho udaas ho kisi ki be-vafaaii par vafaa kahiin to kar ga.e ho KHush raho gali men aur log bhi the aashna ha men salaam kar ga.e ho KHush raho tumhein to meri dosti pe naaz tha isee se ab mukar ga.e ho KHush raho kisi ki zindagi bano ki bandagi mire li.e to mar ga.e ho KHush raho

Fazil Jamili

73 likes

More from Dagh Dehlvi

baaki jahaan men qais na farhaad rah gaya afsaana aashiqon ka faqat yaad rah gaya ye sakht-jaan to qatl se naashaad rah gaya khanjar chala to baazoo-e-jallaad rah gaya paabandiyo ne ishq ki bekas rakha mujhe main sau asiriyo men bhi azaad rah gaya chashm-e-sanam ne yuñ to bigaade hazaar ghar ik kaaba chand roz ko aabaad rah gaya mahshar men ja-e-shikwa kiya shukr yaar ka jo bhoolna tha mujh ko vahii yaad rah gaya un ki to ban padi ki lagii jaan muft haath teri girah men kya dil-e-naashaad rah gaya pur-noor ho rahega ye zulmat-kada agar dil men buton ka shauq-e-khuda-daad rah gaya yuñ aankh un ki kar ke ishaara palat gaii goya ki lab se ho ke kuchh irshaad rah gaya naaseh ka jee chala tha hamaari tarah magar ulfat ki dekh dekh ke uftaad rah gaya hain tere dil men sab ke thikaane bure bhale main khaanumaan-kharaab hi barbaad rah gaya vo din ga.e ki thii mire seene men kuchh kharaash ab dil kahaan hai dil ka nishaan yaad rah gaya soorat ko teri dekh ke khinchti hai jaan-e-khalk dil apna thaam thaam ke bahzaad rah gaya ai daagh dil hi dil men ghule zabt-e-ishq se afsos shauq-e-naala-o-fariyaad rah gaya

Dagh Dehlvi

0 likes

raah par un ko laga laaye to hain baaton men aur khul jaayenge do chaar mulaqaaton men ye bhi tum jaante ho chand mulaqaaton men aazmaaya hai tumhein ham ne kaii baaton men gair ke sar ki balaaen jo nahin len zalim kya mire qatl ko bhi jaan nahin haathon men abr-e-rahmat hi barsta nazar aaya zaahid KHaak udti k abhii dekhi na kharaabaaton men yaarab us chaand ke tukde ko kahaan se laaun raushni jis ki ho in taaron bharii raaton men tumheen insaaf se ai hazrat naaseh kah do lutf un baaton men aata hai ki in baaton men daud kar dast-e-dua saath dua ke jaate haaye paida na hue paanv mire haathon men jalwa-e-yaar se jab bazm men ghash aaya hai to raqeebon ne sambhaala hai mujhe haathon men aisi taqreer sooni thii na k abhii shokh-o-shareer teri aankhoñ ke bhi fitne hain tiri baaton men ham se inkaar hua gair se iqaar hua faisla khoob kiya aap ne do baaton men haft aflaak hain lekin nahin khulta ye hijaab kaun sa dushman-e-ushshaq hain in saaton men aur sunte abhii rindon se janaab-e-waaiz chal diye aap to do-chaar salaavaton men ham ne dekha unhin logon ko tira dam bharte jin ki shohrat thii ye hargiz nahin in baaton men bheje deta hai unhen ishq mata-e-dil-o-jaan ek sarkaar luti jaati hai sougaaton men dil kuchh aagaah to ho shewa-e-ayyaari se is li.e aap ham aate hain tiri ghaaton men vasl kaisa vo kisi tarah bahalte hi na the shaam se subh hui un ki mudaaraaton men vo ga.e din jo rahe yaad buton ki ai daagh raat bhar ab to guzarti hai munaajaaton men

Dagh Dehlvi

1 likes

khaatir se ya lihaaz se main maan to gaya jhooti qasam se aap ka eimaan to gaya dil le ke muft kahte hain kuchh kaam ka nahin ulti shikaayaten hui ehsaan to gaya dartaa hooñ dekh kar dil-e-be-aarzoo ko main sunsaan ghar ye kyun na ho mehmaan to gaya kya aa.e raahat aayi jo kunj-e-mazaar men vo valvala vo shauq vo armaan to gaya dekha hai but-kade men jo ai shaikh kuchh na pooch eimaan ki to ye hai ki eimaan to gaya ifsha-e-raaz-e-ishq men go zillatein hui lekin use jata to diya jaan to gaya go nama-bar se KHush na hua par hazaar shukr mujh ko vo mere naam se pahchaan to gaya bazm-e-aduu men soorat-e-parwaana dil mira go rashk se jala tire qurbaan to gaya hosh o hawas o taab o tavaan daagh ja chuke ab ham bhi jaane waale hain samaan to gaya

Dagh Dehlvi

1 likes

ranj ki jab guftugoo hone lagii aap se tum tum se tu hone lagii chahiye paigham-bar dono taraf lutf kya jab doo-b-doo hone lagii meri ruswaai ki naubat aa gaii un ki shohrat koo-b-koo hone lagii hai tiri tasveer kitnii be-hijaab har kisi ke roo-b-roo hone lagii gair ke hote bhala ai shaam-e-wasl kyun hamaare roo-b-roo hone lagii na-ummee dii badh gaii hai is qadar aarzoo ki aarzoo hone lagii ab ke mil kar dekhiye kya rang ho phir hamaari justuju hone lagii daagh itraaye hue firte hain aaj shaayad un ki aabroo hone lagii

Dagh Dehlvi

1 likes

gham se kahii najaat mile chain paa.e ham dil KHoon men nah aa.e to ganga nah aa.e'n ham jannat men jaayen ham ki jahannam men jaayen ham mil jaa.e to kahii na kahii tujh ko paa.e ham jauf-e-falak men KHaak bhi lazzat nahin rahi jee chahta hai teri jafaaen uth aa.e ham dar hai na bhool jaa.e vo saffaaq roz-e-hashr duniya men likhte jaate hain apni khataayen ham mumkin hai ye ki vaade par apne vo aa bhi jaa.e mushkil ye hai ki aap men us vaqt aayen ham naaraz ho KHuda to karen bandagi se KHush maashooq rooth jaa.e to kyunkar manaae ham sar doston ka kaat ke rakhte hain saamne ghairoon se poochte hain qasam kis ki khaayen ham kitna tira mizaaj khushamd-pasand hai kab tak karen KHuda ke li.e iltijaaein ham laalach abas hai dil ka tumhein waqt-e-waapsi ye maal vo nahin ki jise chhod jaayen ham saunpa tumhein KHuda ko chale ham to na-muraad kuchh padh ke bakshna jo kabhi yaad aayen ham soz-e-daroon se apne sharar ban ga.e hain ashk kyun aah-e-sard ko na patinge lagaayen ham ye jaan tum na loge agar aap jaayegius bevafaa ki KHair kahaan tak manaae ham ham-s aa.e jaagte rahe naalon se raat bhar soye hue naseeb ko kyunkar jagaayen ham jalwa dikha raha hai vo aainaa-e-jamaal aati hai ham ko sharm ki kya munh dikhaayen ham maano kaha jafaa na karo tum vafaa ke baa'd aisa na ho ki fer len ulti duaaein ham dushman se milte julte hain khaatir se dosti kya faaeda jo dost ko dushman banaayen ham tu bhoolne ki cheez nahin khoob yaad rakh ai daagh kis tarah tujhe dil se bhulaayen ham

Dagh Dehlvi

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Dagh Dehlvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Dagh Dehlvi's ghazal.