ghazalKuch Alfaaz

soe kahan the ankhon ne takiye bhigoe the ham bhi kabhi kisi ke liye khuub roe the angnai men khade hue beri ke ped se vo log chalte vaqt gale mil ke roe the har saal zard phulon ka ik qafila ruka us ne jahan pe dhuul ate paanv dhoe the is hadse se mera taalluq nahin koi mele men ek saath kai bachche khoe the ankhon ki kashtiyon men safar kar rahe hain vo jin doston ne dil ke safine duboe the kal raat main tha mere alava koi na tha shaitan mar gaya tha farishte bhi soe the soe kahan the aankhon ne takiye bhigoe the hum bhi kabhi kisi ke liye khub roe the angnai mein khade hue beri ke ped se wo log chalte waqt gale mil ke roe the har sal zard phulon ka ek qafila ruka us ne jahan pe dhul ate panw dhoe the is hadse se mera talluq nahin koi mele mein ek sath kai bachche khoe the aankhon ki kashtiyon mein safar kar rahe hain wo jin doston ne dil ke safine duboe the kal raat main tha mere alawa koi na tha shaitan mar gaya tha farishte bhi soe the

Related Ghazal

maine chaaha to nahin tha ki kabhi aisa ho lekin ab thaan chuke ho to chalo achha ho tum se naaraz to main aur kisi baat pe hooñ tum magar aur kisi wajah se sharminda ho ab kahii ja ke ye maaloom hua hai mujh...ko theek rah jaata hai jo shaKHs tere jaisa ho aise haalaat men ho bhi koi hassaas to kya aur be-his bhi agar ho to koi kitna ho taaki tu samjhe ki mardon ke bhi dukh hote hain maine chaaha bhi yahii tha ki teraa beta ho

Jawwad Sheikh

50 likes

seena dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahii nahin rishton men dhoondhta hai to dhoonda kare koi tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi deewaar jaanta tha jise main vo dhool thii ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi main KHud ye chahta hooñ ki haalaat hooñ KHaraab mere KHilaaf zahar ugalta phire koi ai shaKHs ab to mujh ko s abhii kuchh qubool hai ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi haan theek hai main apni ana ka mareez hooñ aaKHir mere mizaaj men kyun dakhl de koi ik shaKHs kar raha hai abhii tak vafaa ka zikr kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi

Jaun Elia

77 likes

vo to achha hai ghazal teraa sahaara hai mujhe warna fikron ne to bas gher ke maara hai mujhe jiski tasveer main kaagaz pe banaa bhi na sakaa usne mehn dii se hatheli pe utaara hai mujhe ghair ke haath se marham mujhe manzoor nahin tum magar zakham bhi de do to gawara hai mujhe

Abrar Kashif

54 likes

kabhi milenge to ye karz bhi utaarenge tumhaare chehre ko paharon talak nihaarenge ye kya sitam ki khilaadi badal diya usne ham is umeed pe baithe the ham hi haarenge hamaare baad tere ishq men naye ladke badan to choomenge zulfen nahin sanvaarenge

Vikram Gaur Vairagi

70 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

More from Bashir Badr

maan mausam ka kaha chhaai ghatta jaam utha aag se aag bujha phool khila jaam utha pee mire yaar tujhe apni qasam deta hooñ bhool ja shikwa gilaa haath mila jaam utha haath men chaand jahaan aaya muqaddar chamka sab badal jaayega qismat ka likha jaam utha ek pal bhi kabhi ho jaata hai sadiyon jaisa der kya karna yahaañ haath badha jaam utha pyaar hi pyaar hai sab log barabar hain yahaañ may-kade men koi chhota na badaa jaam utha

Bashir Badr

1 likes

mirii nazar men KHaak tere aaine pe gard hai ye chaand kitna zard hai ye raat kitnii sard hai kabhi kabhi to yuñ laga ki ham sabhi masheen hain tamaam shahar men na koi zan na koi mard hai KHuda ki nazmon ki kitaab saari kaayenaat hai ghazal ke she'r ki tarah har ek fard fard hai hayaat aaj bhi kaneez hai huzoor-e-jabr men jo zindagi ko jeet le vo zindagi ka mard hai ise tabarruk-e-hayaat kah ke palkon par rakhoon agar mujhe yaqeen ho ye raaste ki gard hai vo jin ke zikr se ragon men daudti theen bijliyaan unhin ka haath ham ne choo ke dekha kitna sard hai

Bashir Badr

2 likes

KHoon patton pe jama ho jaise phool ka rang haraa ho jaise baarha ye ha men mehsoos hua dard seene ka KHuda ho jaise yuñ taras kha ke na poochho ahvaal teer seene pe laga ho jaise phool ki aankh men shabnam kyun hai sab hamaari hi KHataa ho jaise kirchen chubhti hain bahut seene men aaina toot gaya ho jaise sab ha men dekhne aate hain magar neend aankhoñ se KHafaa ho jaise ab charaaghon ki zaroorat bhi nahin chaand is dil men chhupa ho jaise

Bashir Badr

1 likes

jab sehar chup ho hansa lo ham ko jab andhera ho jala lo ham ko ham haqeeqat hain nazar aate hain dastaanon men chhupa lo ham ko KHoon ka kaam ravaan rahna hai jis jagah chaaho baha lo ham ko din na pa jaa.e kahii shab ka raaz subh se pahle utha lo ham ko ham zamaane ke sataaye hain bahut apne seene se laga lo ham ko vaqt ke hont ha men choo lenge an-kahe bol hain ga lo ham ko

Bashir Badr

1 likes

patthar ke jigar waalo gham men vo ravaani hai KHud raah banaa lega bahta hua paani hai ik zehen-e-pareshaan men khwaab-e-ghazlistaan hai patthar ki hifazat men sheeshe ki jawaani hai dil se jo chatte baadal to aankh men saawan hai thehra hua dariyaa hai bahta hua paani hai ham-rang-e-dil-e-pur-khoon har laala-e-sehraai gesu ki tarah muztar ab raat ki raani hai jis sang pe nazrein keen khurshid-e-haqeeqat hai jis chaand se munh moda patthar ki kahaanii hai ai peer-e-khirad-mandaan dil ki bhi zaroorat hai ye sheher-e-ghazaalaan hai ye mulk-e-jawaani hai gham wajh-e-figaar-e-dil gham wajh-e-qaraar-e-dil aañsu kabhi sheesha hai aañsu kabhi paani hai is hausla-e-dil par ham ne bhi kafan pahna hañs kar koi poochhega kya jaan ganvaani hai din talkh haqaaiq ke seharaaon ka suraj hai shab gesu-e-afsana yaadon ki kahaanii hai vo husn jise ham ne rusva kiya duniya men na-deeda haqeeqat hai na-gufta kahaanii hai vo misra-e-aawaara deewaanon pe bhari hai jis men tire gesu ki be-rabt kahaanii hai ham khushboo-e-aawaara ham noor-e-pareshaan hain ai badr muqaddar men aashufta-bayaani hai

Bashir Badr

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Bashir Badr.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Bashir Badr's ghazal.