sukoot-e-shaam men goonji sadaa udaasi ki ki hai mazid udaasi davaa udaasi ki bahut shareer tha main aur hansta firta tha phir ik faqeer ne de dii dua udaasi ki umoor-e-dil men kisi teesre ka dakhl nahin yahaañ faqat tiri chalti hai ya udaasi ki charaagh-e-dil ko zaraa ehtiyaat se rakhna ki aaj raat chalegi hawa udaasi ki vo imtizaaj tha aisa ki dang thii har aankh jamaal-e-yaar ne pahni qaba udaasi ki isee umeed pe aañkhen barasti rahtii hain ki ek din to sunega KHuda udaasi ki shajar ne poocha ki tujh men ye kis ki KHushboo hai hawa-e-shaam-e-alam ne kaha udaasi ki dil-e-fasurda ko main ne to maar hi daala so main to theek hooñ ab tu suna udaasi ki zaraa sa choo len to ghanton dahakti rahtii hai ha men to maar gaii ye ada udaasi ki bahut dinon se main us se nahin mila faaris kahii se khair-khabar le ke aa udaasi ki
Related Ghazal
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban
Varun Anand
81 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
More from Rehman Faris
mujhe garz hai sitaare na mahtaab ke saath chamak raha hai ye dil poori aab-o-taab ke saath napi-tuli si mohabbat laga bandha sa karam nibha rahe ho ta'alluq bade hisaab ke saath main is li.e nahin thakta tire ta'aqub se mujhe yaqeen hai ki paani bhi hai saraab ke saath sawaal-e-wasl pe inkaar karne waale sun sawaal khatm nahin hogaa is javaab ke saath KHamosh jheel ke paani men vo udaasi thii ki dil bhi doob gaya raat mahtaab ke saath jata diya ki mohabbat men gham bhi hote hain diya gulaab to kaañte bhi the gulaab ke saath main le udoonga tire khadd-o-khaal se ta'beerna dekh mirii taraf chashm-e-neem-khwaab ke saath are ye sirf bahaana hai baat karne ka mirii majaal ki jhagda karoon janab ke saath visaal-o-hijr ki sarhad pe jhut-pute men kahii vo be-hijaab hua tha magar hijaab ke saath shikasta aaina dekha phir apna dil dekha dikhaai dii mujhe taa'beer-e-KHvaab KHvaab ke saath vahaañ miloonga jahaan dono vaqt milte hain main kam-naseeb tire jaise kaamyaab ke saath dayaar-e-hijr ke roza-guzaar chahte hain ki roza khole tire aur sharaab-e-naab ke saath tum achchhii dost ho so meraa mashwara ye hai mila-jula na karo faaris'-e-kharaab ke saath
Rehman Faris
4 likes
nazar uthaaye to kya kya fasana banta hai sau peshe-e-yaar nigaahen jhuk aanaa banta hai vo laakh be-khabr-o-be-wafa sahi lekin talab kiya hai gar us ne to j aanaa banta hai ragon talak utar aayi hai zulmat-e-shab-e-gham so ab charaaghh nahin dil jalana banta hai paraai aag mira ghar jala rahi hai so ab KHamosh rahna nahin ghul mach aanaa banta hai qadam qadam pe tawazun ki baat mat kijeye ye may-kada hai yahaañ ladkhadana banta hai bichhadne waale tujhe kis tarah bataaun main ki yaad aanaa nahin teraa aanaa banta hai ye dekh kar ki tire aashiqon men main bhi hooñ jamaal-e-yaar tira muskurana banta hai junoon bhi sirf dikhaava hai vahshatein bhi galat deewana hai nahin faaris deewana banta hai
Rehman Faris
1 likes
yahii dua hai yahii hai salaam ishq ba-khair mire s abhii rufqa-e-kiraam ishq ba-khair dayaar-e-hijr ki sooni udaas galiyon men pukaarta hai koi subh-o-shaam ishq ba-khair main kar raha tha dua ki guzaarishein us se so kah gaii hai udaasi ki shaam ishq ba-khair bade ajeeb hain shahr-e-junoon ke baashinde hamesha kahte hain ba'd-az-salaam ishq ba-khair ye rah zaroor tumhaare hi ghar ko jaati hai likha hua hai yahaañ gaam gaam ishq ba-khair bayaan ki hai ghazal-waar daastaan-e-ishq so is kitaab ka rakha hai naam ishq ba-khair ufuq ke paar mujhe yaad kar raha hai koi abhii mila hai udhar se payaam-e-ishq ba-khair
Rehman Faris
2 likes
main kaar-aamad hooñ ya be-kaar hooñ main magar ai yaar teraa yaar hooñ main jo dekha hai kisi ko mat bataana ilaaqe bhar men izzat-daar hooñ main KHud apni zaat ke armaaye men bhi sifar feesad ka hisse-daar hooñ main aur ab kyun bein karte aa ga.e hon kaha tha na bahut beemaar hooñ main mirii to saari duniya bas tumhi ho galat kya hai jo duniya-daar hooñ main kahaanii men jo hota hi nahin hai kahaanii ka vahii kirdaar hooñ main ye tay karta hai dastak dene vaala kahaan dar hooñ kahaan deewaar hooñ main koi samjhaaye mere dushmanon ko zaraa si dosti ki maar hooñ main mujhe patthar samajh kar pesh mat aa zaraa sa rahm kar jaan-daar hooñ main bas itnaa soch kar kijeye koi hukm badaa munh-zor khidmat-gaar hooñ main koi shak hai to be-shak aazma le tira hone ka da'we-daar hooñ main agar har haal men KHush rahna fan hai to phir sab se badaa fankaar hooñ main zamaana to mujhe kahtaa hai faaris magar faaris ka parda-daar hooñ main unhen khilna sikhaata hooñ main faaris gulaabon ka suhoolat-kaar hooñ main
Rehman Faris
5 likes
vida-e-yaar ka lamha thehar gaya mujh men main KHud to zinda raha vaqt mar gaya mujh men sukoot-e-shaam men cheekhen sunaai deti hain tu jaate jaate ajab shor bhar gaya mujh men vo pahle sirf mirii aankh men samaaya tha phir ek roz ragon tak utar gaya mujh men kuchh aise dhyaan men chehra tira tuluua' hua ghuboob-e-shaam ka manzar nikhar gaya mujh men main us ki zaat se munkir tha aur phir ik din vo apne hone ka elaan kar gaya mujh men khandar samajh ke mirii sair karne aaya tha gaya to mausam-e-gham phool dhar gaya mujh men gali men goonji KHamoshii ki cheekh raat ke vaqt tumhaari yaad ka bachcha sa dar gaya mujh men bataa main kya karoon dil naam ke is aangan ka tiri umeed pe jo saj-sanwar gaya mujh men ye apne apne muqaddar ki baat hai faaris main is men simtaa raha vo bikhar gaya mujh men
Rehman Faris
3 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Rehman Faris.
Similar Moods
More moods that pair well with Rehman Faris's ghazal.







