tamasha-e-dair-o-haram dekhte hain tujhe har bahane se ham dekhte hain hamari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazren nahin jin ko ham dekhte hain zamane ke kya kya sitam dekhte hain hamin jante hain jo ham dekhte hain phire but-kade se to ai ahl-e-kaaba phir aa kar tumhare qadam dekhte hain hamen chashm-e-bina dikhati hai sab kuchh vo andhe hain jo jam-e-jam dekhte hain na ima-e-khvahish na izhar-e-matlab mire munh ko ahl-e-karam dekhte hain kabhi todte hain vo khanjar ko apne kabhi nabz-e-bismil men dam dekhte hain ghhanimat hai chashm-e-taghhaful bhi un ki bahut dekhte hain jo kam dekhte hain ghharaz kya ki samjhen mire khat ka mazmun vo unvan o tarz-e-raqam dekhte hain salamat rahe dil bura hai ki achchha hazaron men ye ek dam dekhte hain raha kaun mahfil men ab aane vaala vo charon taraf dam-ba-dam dekhte hain udhar sharm haail idhar khauf maane na vo dekhte hain na ham dekhte hain unhen kyuun na ho dilrubai se nafrat ki har dil men vo ghham alam dekhte hain nigahban se bhi kya hui bad-gumani ab us ko tire saath kam dekhte hain hamen 'daghh' kya kam hai ye sarfarazi ki shah-e-dakan ke qadam dekhte hain tamasha-e-dair-o-haram dekhte hain tujhe har bahane se hum dekhte hain hamari taraf ab wo kam dekhte hain wo nazren nahin jin ko hum dekhte hain zamane ke kya kya sitam dekhte hain hamin jaante hain jo hum dekhte hain phire but-kade se to ai ahl-e-kaba phir aa kar tumhaare qadam dekhte hain hamein chashm-e-bina dikhati hai sab kuchh wo andhe hain jo jam-e-jam dekhte hain na ima-e-khwahish na izhaar-e-matlab mere munh ko ahl-e-karam dekhte hain kabhi todte hain wo khanjar ko apne kabhi nabz-e-bismil mein dam dekhte hain ghanimat hai chashm-e-taghaful bhi un ki bahut dekhte hain jo kam dekhte hain gharaz kya ki samjhen mere khat ka mazmun wo unwan o tarz-e-raqam dekhte hain salamat rahe dil bura hai ki achchha hazaron mein ye ek dam dekhte hain raha kaun mahfil mein ab aane wala wo chaaron taraf dam-ba-dam dekhte hain udhar sharm hail idhar khauf mane na wo dekhte hain na hum dekhte hain unhen kyun na ho dilrubai se nafrat ki har dil mein wo gham alam dekhte hain nigahban se bhi kya hui bad-gumani ab us ko tere sath kam dekhte hain hamein 'dagh' kya kam hai ye sarfaraazi ki shah-e-dakan ke qadam dekhte hain
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
More from Dagh Dehlvi
ranj ki jab guftugoo hone lagii aap se tum tum se tu hone lagii chahiye paigham-bar dono taraf lutf kya jab doo-b-doo hone lagii meri ruswaai ki naubat aa gaii un ki shohrat koo-b-koo hone lagii hai tiri tasveer kitnii be-hijaab har kisi ke roo-b-roo hone lagii gair ke hote bhala ai shaam-e-wasl kyun hamaare roo-b-roo hone lagii na-ummee dii badh gaii hai is qadar aarzoo ki aarzoo hone lagii ab ke mil kar dekhiye kya rang ho phir hamaari justuju hone lagii daagh itraaye hue firte hain aaj shaayad un ki aabroo hone lagii
Dagh Dehlvi
1 likes
kaun sa taair-e-gum-gashta use yaad aaya dekhta bhaalta har shaakh ko sayyaad aaya mire qaabu men na paharon dil-e-naashaad aaya vo mira bhoolne vaala jo mujhe yaad aaya koi bhoola hua andaaz-e-sitam yaad aaya ki tabassum tujhe zalim dam-e-bedaad aaya laaye hain log janaaze ki tarah mahshar men kis museebat se tira kushta-e-bedaad aaya jazb-e-wahshat tire qurbaan tira kya kehna khinch ke rag rag men mire nashtar-e-fassaad aaya us ke jalwe ko garz kaun-o-makaan se kya tha daad lene ke li.e husn-e-khuda-daad aaya bastiyon se yahii awaaz chali aati hai jo kiya tu ne vo aage tire farhaad aaya dil-e-veeraan se raqeebon ne muraadein paai kaam kis kis ke mira khirman-e-barbaad aaya ishq ke aate hi munh par mire phooli hai basant ho gaya zard ye shaagird jab ustaad aaya ho gaya farz mujhe shauq ka daftar likhna jab mire haath koi khaama-e-faulaad aaya eed hai qatl mira ahl-e-tamaasha ke li.e sab gale milne lage jab ki vo jallaad aaya chain karte hain vahaañ ranj uthaane waale kaam uqba men hamaara dil-e-naashaad aaya dii shab-e-wasl mo'azzin ne azaan pichhli raat haaye kam-bakht ko kis vaqt KHuda yaad aaya mire naale ne sunaai hai kharee kis kis ko munh farishton pe ye gustaakh ye azaad aaya gham-e-jaaved ne dii mujh ko mubaarakbaa dii jab suna ye ki unhen sheva-e-bedaad aaya main tamanna-e-shahaadat ka mazaa bhool gaya aaj is shauq se armaan se jallaad aaya shaadiyaana jo diya naala o shevan ne diya jab mulaqaat ko naashaad ki naashaad aaya leejie suniye ab afsaana-e-furqat mujh se aap ne yaad dilaayaa to mujhe yaad aaya aap ki bazm men sab kuchh hai magar daagh nahin ham ko vo khaana-kharaab aaj bahut yaad aaya
Dagh Dehlvi
0 likes
khaatir se ya lihaaz se main maan to gaya jhooti qasam se aap ka eimaan to gaya dil le ke muft kahte hain kuchh kaam ka nahin ulti shikaayaten hui ehsaan to gaya dartaa hooñ dekh kar dil-e-be-aarzoo ko main sunsaan ghar ye kyun na ho mehmaan to gaya kya aa.e raahat aayi jo kunj-e-mazaar men vo valvala vo shauq vo armaan to gaya dekha hai but-kade men jo ai shaikh kuchh na pooch eimaan ki to ye hai ki eimaan to gaya ifsha-e-raaz-e-ishq men go zillatein hui lekin use jata to diya jaan to gaya go nama-bar se KHush na hua par hazaar shukr mujh ko vo mere naam se pahchaan to gaya bazm-e-aduu men soorat-e-parwaana dil mira go rashk se jala tire qurbaan to gaya hosh o hawas o taab o tavaan daagh ja chuke ab ham bhi jaane waale hain samaan to gaya
Dagh Dehlvi
1 likes
in aankhoñ ne kya kya tamasha na dekha haqeeqat men jo dekhna tha na dekha tujhe dekh kar vo dui uth gaii hai ki apna bhi saani na dekha na dekha un aankhoñ ke qurbaan jaaun jinhonne hazaaron hijaabo men parwaana dekha na himmat na qismat na dil hai na aañkhenna dhoondhaan paaya na samjha na dekha bahut dard-mandon ko dekha hai tune ye seena ye dil ye kaleja na dekha vo kab dekh saka hai us ki tajalli jis insaan ne apna hi jalwa na dekha bahut shor sunte the is anjuman ka yahaan aa ke jo kuchh suna tha na dekha use dekh kar aur ko phir jo dekhe koi dekhne vaala aisa na dekha gaya kaarwaan chhod kar mujh ko tanhaa zaraa mere aane ka rastaa na dekha tiri yaad hai ya hai teraa tasavvur kabhi daagh ko ham ne tanhaa na dekha
Dagh Dehlvi
0 likes
ye baat baat men kya nazuki nikalti hai dabii dabii tire lab se hañsi nikalti hai thehar thehar ke jala dil ko ek baar na phoonk ki is men boo-e-mohabbat abhii nikalti hai bajaae shikwa bhi deta hooñ main dua us ko mirii zabaan se karoon kya yahii nikalti hai khushi men ham ne ye shokhi k abhii nahin dekhi dam-e-itaab jo rangat tiri nikalti hai hazaar baar jo maanga karo to kya haasil dua vahii hai jo dil se k abhii nikalti hai ada se teri magar khinch raheen hain talwaarein nigah nigah se chhuri par chhuri nikalti hai muheet-e-ishq men hai kya umeed o beem mujhe ki doob doob ke kashtii mirii nikalti hai jhalak rahi hai sar-e-shaakh-e-miza KHoon ki boond shajar men pahle samar se kali nikalti hai shab-e-firaq jo khole hain ham ne zakham-e-jigar ye intizaar hai kab chaandni nikalti hai samajh to leejie kehne to deejie matlab bayaañ se pahle hi mujh par chhuri nikalti hai ye dil ki aag hai ya dil ke noor ka hai zuhoor nafs nafs men mire raushni nikalti hai kaha jo main ne ki mar jaaunga to kahte hain hamaare zaiche men zindagi nikalti hai samajhne waale samjhte hain pech ki taqreer ki kuchh na kuchh tiri baaton men fee nikalti hai dam-e-akheer tasavvur hai kis paree-vash ka ki mirii rooh bhi ban kar pari nikalti hai sanam-kade men bhi hai husn ik khudaai ka ki jo nikalti hai soorat pari nikalti hai mire nikale na niklegi aarzoo mirii jo tum nikaalna chaaho abhii nikalti hai gham-e-firaq men ho daagh is qadar betaab zaraa se ranj men jaañ aap ki nikalti hai
Dagh Dehlvi
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Dagh Dehlvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Dagh Dehlvi's ghazal.







