tere siva kisi ki tamanna karunga main aisa kabhi hua hai jo aisa karunga main go ghham aziiz hai mujhe tere firaq ka phir bhi is imtihan ka shikva karunga main ankhon ko ashk o khuun bhi faraham karunga main dil ke liye bhi dard muhayya karunga main rahat bhi ranj, ranj bhi rahat ho jab to phir kya etibar-e-khvahish-e-duniya karunga main rakkha hai kya jahan men ye aur baat hai ye aur baat hai ki taqaza karunga main ye rahguzar ki ja-e-qayam-e-qarar thi yaani ab us gali se bhi guzra karunga main yaani kuchh is tarah ki tujhe bhi khabar na ho is ehtiyat se tujhe dekha karunga main hai dekhne ki chiiz to ye iltifat bhi dekhoge tum gurez bhi aisa karunga main hairan o dil-shikasta huun is hal-e-zar par kab janta tha apna tamasha karunga main haan khinch lunga vaqt ki zanjir paanv se ab ke bahar aai to aisa karunga main tere siwa kisi ki tamanna karunga main aisa kabhi hua hai jo aisa karunga main go gham aziz hai mujhe tere firaq ka phir bhi is imtihan ka shikwa karunga main aankhon ko ashk o khun bhi faraham karunga main dil ke liye bhi dard muhayya karunga main rahat bhi ranj, ranj bhi rahat ho jab to phir kya etibar-e-khwahish-e-duniya karunga main rakkha hai kya jahan mein ye aur baat hai ye aur baat hai ki taqaza karunga main ye rahguzar ki ja-e-qayam-e-qarar thi yani ab us gali se bhi guzra karunga main yani kuchh is tarah ki tujhe bhi khabar na ho is ehtiyat se tujhe dekha karunga main hai dekhne ki chiz to ye iltifat bhi dekhoge tum gurez bhi aisa karunga main hairan o dil-shikasta hun is haal-e-zar par kab jaanta tha apna tamasha karunga main han khinch lunga waqt ki zanjir panw se ab ke bahaar aai to aisa karunga main
Related Ghazal
nahin tha apna magar phir bhi apna apna laga kisi se mil ke bahut der baad achha laga tumhein laga tha main mar jaaunga tumhaare baghair batao phir tumhein meraa mazaak kaisa laga tijoriyon pe nazar aur log rakhte hain main aasmaan chura loonga jab bhi mauqa laga dikhaati hai bharii almaariyaan bade dil se bataati hai ki mohabbat men kiska kitna laga
Tehzeeb Hafi
94 likes
ghazal to sabko mee thii lag rahi thii magar naatik ko mirchi lag rahi thii tumhaare lab nahin choo men the jab tak mujhe har cheez kadvii lag rahi thii main jis din chhodne vaala tha us..ko vo us din sabse pyaari lag rahi thii
Zubair Ali Tabish
80 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
More from Ajmal Siraj
deewaar yaad aa gaii dar yaad aa gaya do gaam hi chale the ki ghar yaad aa gaya kuchh kehna chahte the ki KHaamosh ho ga.e dastaar yaad aa gaii sar yaad aa gaya duniya ki be-rukhi ka gilaa kar rahe the log ham ko tira tapaak magar yaad aa gaya phir teergi-e-raahguzar yaad aa gaii phir vo charaagh-e-raahguzar yaad aa gaya ajmal'-siraj ham use bhool hue to hain kya jaane kya karenge agar yaad aa gaya
Ajmal Siraj
2 likes
tere siva kisi ki tamannaa karunga main aisa kabhi hua hai jo aisa karunga main go gham aziz hai mujhe tere firaq ka phir bhi is imtihaan ka shikwa karunga main aankhoñ ko ashk o khun bhi faraham karunga main dil ke li.e bhi dard muhayya karunga main raahat bhi ranj ranj bhi raahat ho jab to phir kya etibaar-e-khwaahish-e-duniya karunga main rakha hai kya jahaan men ye aur baat hai ye aur baat hai ki taqaza karunga main ye raahguzaar ki jaa-e-qayaam-o-qaraar thii yaanii ab us gali se bhi guzra karunga main yaanii kuchh is tarah ki tujhe bhi khabar na ho is ehtiyaat se tujhe dekha karunga main hai dekhne ki cheez to ye iltifaat bhi dekhoge tum gurez bhi aisa karunga main hairaan o dil-shikasta hooñ is haal-e-zaar par kab jaanta tha apna tamasha karunga main haan kheench loonga vaqt ki zanjeer paanv se ab ke bahaar aayi to aisa karunga main
Ajmal Siraj
1 likes
shaam apni be-maza jaati hai roz aur sitam ye hai ki aa jaati hai roz koi din aasaan nahin jaata mira koi mushkil aazma jaati hai roz mujh se pooche koi kya hai zindagi mere sar se ye bala jaati hai roz jaane kis ki surkh-rooi ke li.e khun men ye dharti naha jaati hai roz geet gaate hain parinde subh o shaam ya sama'at chahchaha jaati hai roz dekhne waalon ko ajmal zindagi rang kitne hi dikha jaati hai roz
Ajmal Siraj
1 likes
kya kahega kabhi milne bhi agar aayega vo ab wafadari ki qasmen to nahin khayega vo ham samjhte the ki ham us..ko bhula sakte hain vo samajhta tha ha men bhool nahin paayega vo k itnaa socha tha par itnaa to nahin socha tha yaad ban jaayega vo khwaab nazar aayega vo sab ke hote hue ik roz vo tanhaa hogaa phir vo dhoondhega ha men aur nahin paayega vo ittifaqan jo kabhi saamne aaya ajmal ab vo tanhaa to na hogaa jo thehar jaayega vo
Ajmal Siraj
50 likes
bujh gaya raat vo sitaara bhi haal achha nahin hamaara bhi ye jo ham khoye khoye rahte hain is men kuchh dakhl hai tumhaara bhi doobna zaat ke samundar men hai ye toofaan bhi kinaara bhi ab mujhe neend hi nahin aati KHvaab hai KHvaab ka sahaara bhi log jeete hain kis tarah ajmal ham se hota nahin guzaara bhi
Ajmal Siraj
4 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ajmal Siraj.
Similar Moods
More moods that pair well with Ajmal Siraj's ghazal.







