thake logon ko majburi men chalte dekh leta huun main bas ki khidkiyon se ye tamashe dekh leta huun kabhi dil men udasi ho to un men ja nikalta huun purane doston ko chup se baithe dekh leta huun chhupate hain bahut vo garmi-e-dil ko magar main bhi gul-e-rukh par udi rangat ke chhinte dekh leta huun khada huun yuun kisi khali qile ke sehn-e-viran men ki jaise main zaminon men dafine dekh leta huun 'munir' andaza-e-qar-e-fana karna ho jab mujh ko kisi unchi jagah se jhuk ke niche dekh leta huun thake logon ko majburi mein chalte dekh leta hun main bas ki khidkiyon se ye tamashe dekh leta hun kabhi dil mein udasi ho to un mein ja nikalta hun purane doston ko chup se baithe dekh leta hun chhupate hain bahut wo garmi-e-dil ko magar main bhi gul-e-rukh par udi rangat ke chhinte dekh leta hun khada hun yun kisi khali qile ke sehn-e-viran mein ki jaise main zaminon mein dafine dekh leta hun 'munir' andaza-e-qar-e-fana karna ho jab mujh ko kisi unchi jagah se jhuk ke niche dekh leta hun
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
More from Muneer Niyazi
be-khayaali men yoon hi bas ik iraada kar liya apne dil ke shauq ko had se ziyaada kar liya jaante the dono ham us ko nibha sakte nahinus ne vaa'da kar liya maine bhi vaa'da kar liya gair se nafrat jo pa li kharch KHud par ho gaii jitne ham the ham ne KHud ko us se aadha kar liya shaam ke rangon men rakh kar saaf paani ka gilaas aab-e-saada ko hareef-e-rang-e-baada kar liya hijraton ka khauf tha ya pur-kashish kohna maqaam kya tha jis ko ham ne KHud deewar-e-jaada kar liya ek aisa shaKHs banta ja raha hooñ main muneer jis ne KHud par band husn o jaam o baada kar liya
Muneer Niyazi
6 likes
zinda rahen to kya hai jo mar jaayen ham to kya duniya se KHaamushi se guzar jaayen ham to kya hasti hi apni kya hai zamaane ke saamne ik KHvaab hain jahaan men bikhar jaayen ham to kya ab kaun muntazir hai hamaare li.e vahaañ shaam aa gaii hai laut ke ghar jaayen ham to kya dil ki khalish to saath rahegi tamaam umr dariya-e-gham ke paar utar jaayen ham to kya
Muneer Niyazi
9 likes
hañsi chhupa bhi gaya aur nazar mila bhi gaya ye ik jhalak ka tamasha jigar jala bhi gaya utha to ja bhi chuka tha ajeeb mehmaantha sadaaende ke mujhe neend se jaga bhi gaya ghazab hua jo andhere men jal u thii bijli badan kisi ka tilismaat kuchh dikha bhi gaya hawa thii gahri ghatta thii hina ki KHushboo thii ye ek raat ka qissa lahu rula bhi gaya chalo muneer chalen ab yahaanrahen bhi to kya vo sang-dil to yahaan se kahii chala bhi gaya
Muneer Niyazi
4 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Muneer Niyazi.
Similar Moods
More moods that pair well with Muneer Niyazi's ghazal.







