ghazalKuch Alfaaz

thodi der ko ji bahla tha phir tiri yaad ne gher liya tha yaad aai vo pahli barish jab tujhe ek nazar dekha tha hare gilas men chand ke tukde laal surahi men sona tha chand ke dil men jalta suraj phuul ke siine men kanta tha kaghhaz ke dil men chingari khas ki zaban par angara tha dil ki surat ka ik patta teri hatheli par rakkha tha shaam to jaise khvab men guzri aadhi raat nasha tuuta tha shahr se duur hare jangal men barish ne hamen gher liya tha subh hui to sab se pahle main ne tera munh dekha tha der ke baa'd mire angan men surkh anaar ka phuul khila tha der ke murjhae pedon ko khushbu ne abad kiya tha shaam ki gahri unchai se ham ne dariya ko dekha tha yaad aaiin kuchh aisi baten main jinhen kab ka bhuul chuka tha thodi der ko ji bahla tha phir teri yaad ne gher liya tha yaad aai wo pahli barish jab tujhe ek nazar dekha tha hare gilas mein chand ke tukde lal surahi mein sona tha chand ke dil mein jalta suraj phul ke sine mein kanta tha kaghaz ke dil mein chingari khas ki zaban par angara tha dil ki surat ka ek patta teri hatheli par rakkha tha sham to jaise khwab mein guzri aadhi raat nasha tuta tha shahr se dur hare jangal mein barish ne hamein gher liya tha subh hui to sab se pahle main ne tera munh dekha tha der ke ba'd mere aangan mein surkh anar ka phul khila tha der ke murjhae pedon ko khushbu ne aabaad kiya tha sham ki gahri unchai se hum ne dariya ko dekha tha yaad aain kuchh aisi baaten main jinhen kab ka bhul chuka tha

Related Ghazal

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

More from Nasir Kazmi

jab zaraa tez hawa hoti hai kaisi sunsaan fazaa hoti hai ham ne dekhe hain vo sannaate bhi jab har ik saans sadaa hoti hai dil ka ye haal hua tere baad jaise veeraan sara hoti hai rona aata hai ha men bhi lekin is men tauheen-e-wafa hoti hai munh-andhere kabhi uth kar dekho kya tar o taaza hawa hoti hai ajnabi dhyaan ki har mauj ke saath kis qadar tez hawa hoti hai gham ke be-noor guzargaahon men ik kiran zauq-faza hoti hai gham-gusaar-e-safar-e-raah-e-wafa miza-e-aabla-pa hoti hai gulshan-e-fikr ki munh-band kali shab-e-mehtaab men vaa hoti hai jab nikalti hai nigaar-e-shab-e-gul munh pe shabnam ki rida hoti hai haadsa hai ki khizaan se pahle boo-e-gul gul se juda hoti hai ik naya daur janam leta hai ek tahzeeb fana hoti hai jab koi gham nahin hota naasir bekli dil ki siva hoti hai

Nasir Kazmi

2 likes

dil men aur to kya rakha hai teraa dard chhupa rakha hai itne dukhon ki tez hawa men dil ka deep jala rakha hai dhoop se chehron ne duniya men kya andher macha rakha hai is nagri ke kuchh logon ne dukh ka naam davaa rakha hai waada-e-yaar ki baat na chhedo ye dhoka bhi kha rakha hai bhool bhi jaao beetii baatein in baaton men kya rakha hai chup chup kyun rahte ho naasir ye kya rog laga rakha hai

Nasir Kazmi

11 likes

gali gali mirii yaad bichi hai pyaare rastaa dekh ke chal mujh se itni vehshat hai to mirii hadon se door nikal ek samay tira phool sa naazuk haath tha mire shaanon par ek ye vaqt ki main tanhaa aur dukh ke kaanton ka jungle yaad hai ab tak tujh se bichhadne ki vo andheri shaam mujhe tu KHaamosh khada tha lekin baatein karta tha kaajal main to ek nayi duniya ki dhun men bhatkata firta hooñ mirii tujh se kaise nibhegi ek hain tere fikr o amal meraa munh kya dekh raha hai dekh is kaali raat ko dekh main vahii teraa hamraahi hooñ saath mire chalna ho to chal

Nasir Kazmi

4 likes

naasir kya kahtaa firta hai kuchh na suno to behtar hai deewaana hai deewane ke munh na lago to behtar hai kal jo tha vo aaj nahin jo aaj hai kal mit jaayega rookhi-sookhi jo mil jaa.e shukr karo to behtar hai kal ye taab-o-tawaan na rahegi thanda ho jaayega lahu naam-e-khuda ho jawaan abhii kuchh kar guzaro to behtar hai kya jaane kya rut badle haalaat ka koi theek nahin ab ke safar men tum bhi hamaare saath chalo to behtar hai kapde badal kar baal banaa kar kahaan chale ho kis ke li.e raat bahut kaali hai naasir ghar men raho to behtar hai

Nasir Kazmi

8 likes

tere aane ka dhokha sa raha hai diya sa raat bhar jalta raha hai ajab hai raat se aankho ka aalam ye dariyaa raat bhar chadhta raha hai suna hai raat bhar barsa hai baadal magar vo shahar jo pyaasa raha hai vo koi dost tha achchhe dinon ka jo pichhli raat se yaad aa raha hai kise dhoondhoge in galiyon men naasir chalo ab ghar chalen din ja raha hai

Nasir Kazmi

11 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Nasir Kazmi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Nasir Kazmi's ghazal.