ghazalKuch Alfaaz

tire badan se jo chhu kar idhar bhi aata hai misal-e-rang vo jhonka nazar bhi aata hai tamam shab jahan jalta hai ik udaas diya hava ki raah men ik aisa ghar bhi aata hai vo mujh ko tuut ke chahega chhod jaega mujhe khabar thi use ye hunar bhi aata hai ujaad ban men utarta hai ek jugnu bhi hava ke saath koi ham-safar bhi aata hai vafa ki kaun si manzil pe us ne chhoda tha ki vo to yaad hamen bhuul kar bhi aata hai jahan lahu ke samundar ki had thaharti hai vahin jazira-e-lal-o-guhar bhi aata hai chale jo zikr farishton ki parsai ka to zer-e-bahs maqam-e-bashar bhi aata hai abhi sinan ko sambhale rahen adu mere ki un safon men kahin mera sar bhi aata hai kabhi kabhi mujhe milne bulandiyon se koi shua-e-subh ki surat utar bhi aata hai isi liye main kisi shab na so saka 'mohsin' vo mahtab kabhi baam par bhi aata hai tere badan se jo chhu kar idhar bhi aata hai misal-e-rang wo jhonka nazar bhi aata hai tamam shab jahan jalta hai ek udas diya hawa ki rah mein ek aisa ghar bhi aata hai wo mujh ko tut ke chahega chhod jaega mujhe khabar thi use ye hunar bhi aata hai ujad ban mein utarta hai ek jugnu bhi hawa ke sath koi ham-safar bhi aata hai wafa ki kaun si manzil pe us ne chhoda tha ki wo to yaad hamein bhul kar bhi aata hai jahan lahu ke samundar ki had thaharti hai wahin jazira-e-lal-o-guhar bhi aata hai chale jo zikr farishton ki parsai ka to zer-e-bahs maqam-e-bashar bhi aata hai abhi sinan ko sambhaale rahen adu mere ki un safon mein kahin mera sar bhi aata hai kabhi kabhi mujhe milne bulandiyon se koi shua-e-subh ki surat utar bhi aata hai isi liye main kisi shab na so saka 'mohsin' wo mahtab kabhi baam par bhi aata hai

Related Ghazal

bas ik usii pe to poori tarah ayaan hoon main vo kah raha hai mujhe raigaan to haan hoon main jise dikhaai doon meri taraf ishaara kare mujhe dikhaai nahin de raha kahaan hoon main idhar-udhar se nami ka risaav rehta hai sadak se neeche banaya gaya makaan hoon main kisi ne poocha ki tum kaun ho to bhool gaya abhii kisi ne bataaya to tha falan hoon main main KHud ko tujh se mitaaounga ehtiyaat ke saath tu bas nishaan laga de jahaan jahaan hoon main main kis se poochhun ye rastaa durust hai ki galat jahaan se koi guzarta nahin vahaan hoon main

Umair Najmi

55 likes

lamha dar lamha teri raah taka karti hai ek khidki teri aamad ki dua karti hai ek sofa hai jise teri zaroorat hai bahot ek kursi hai jo mayus raha karti hai salvaten cheeKHtii rahtii hain mire bistar par karvaton men hi mirii raat kata karti hai vaqt tham jaata hai ab raat guzarti hi nahin jaane deewaar ghadi raat men kya karti hai chaand khidki men jo aata tha nahin aata ab teergii chaaro taraf rak's kiya karti hai mire kamre men udaasi hai qayamat ki magar ek tasveer puraani si hansa karti hai

Abbas Qamar

27 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

saare ka saara to meraa bhi nahin aur vo shaKHs be-vafa bhi nahin ghaur se dekhne pe boli hai shaa dii se pahle sochna bhi nahin achchhii sehat ka hai meraa mahboob dhoke dete hue thaka bhi nahin j itnaa barbaad kar diya tune utna aabaad to main tha bhi nahin mujh...ko bas itnaa deen aata hai jahaan main KHud nahin KHuda bhi nahin

Kushal Dauneria

43 likes

More from Mohsin Naqvi

ab vo toofan hai na vo shor hawaon jaisa dil ka aalam hai tere baa'd khalaao jaisa kaash duniya mere ehsaas ko waapas kar de KHaamushi ka vahii andaaz sadaaon jaisa paas rah kar bhi hamesha vo bahut door milaus ka andaaz-e-taghaful tha khudaon jaisa kitnii shiddat se bahaaron ko tha ehsaas-e-ma'aal phool khil kar bhi raha zard khizaaon jaisa kya qayaamat hai ki duniya use sardaar kahe jis ka andaaz-e-sukhan bhi ho gadaaon jaisa phir teri yaad ke mausam ne jagaae mahshar phir mere dil men utha shor hawaon jaisa baarha KHvaab men pa kar mujhe pyaasa mohsinus kii zulfon ne kiya rak's ghataon jaisa

Mohsin Naqvi

1 likes

hawa-e-hijr men jo kuchh tha ab ke KHaak hua ki pairhan to gaya tha badan bhi chaak hua ab us se tark-e-taalluq karoon to mar jaaun badan se rooh ka is darja ishtiraak hua yahii ki sab ki kamaanein humeen pe tooti hain chalo hisaab-e-saf-e-dostaan to paak hua vo be-sabab yoonhi rootha hai lamha-bhar ke li.e ye saanehaa na sahi phir bhi karb-naak hua usii ke qurb ne taqseem kar diya aaKHir vo jis ka hijr mujhe wajh-e-inhimaak hua shadeed vaar na dushman diler tha mohsin main apni be-khabri se magar halaak hua

Mohsin Naqvi

0 likes

jab se us ne shahar ko chhodaa har rastaa sunsaan hua apna kya hai saare shahar ka ik jaisa nuksaan hua ye dil ye aaseb ki nagri maskan sochun vahmon ka soch raha hooñ is nagri men tu kab se mehmaan hua sehra ki munh-zor hawaaein auron se mansoob hui muft men ham aawaara thehre muft men ghar veeraan hua mere haal pe hairat kaisi dard ke tanhaa mausam men patthar bhi ro padte hain insaan to phir insaan hua itni der men ujde dil par kitne mahshar beet ga.e jitni der men tujh ko pa kar khone ka imkaan hua kal tak jis ke gird tha raksaan ik amboh sitaaron ka aaj usii ko tanhaa pa kar main to bahut hairaan hua us ke zakham chhupa kar rakhiye KHud us shaKHs ki nazaron seus se kaisa shikwa kijeye vo to abhii naadaan hua jin ashkon ki feeki lau ko ham be-kaar samjhte the un ashkon se kitna raushan ik tareek makaan hua yuñ bhi kam-aamez tha mohsin vo is shahar ke logon men lekin mere saamne aa kar aur bhi kuchh anjaan hua

Mohsin Naqvi

0 likes

khumaar-e-mausam-e-khushbu had-e-chaman men khula mirii ghazal ka khazana tire badan men khula tum us ka husn kabhi us ki bazm men dekho ki mahtaab sadaa shab ke pairhan men khula ajab nasha tha magar us ki bakhshish-e-lab men ki yuñ to ham se bhi kya kya na vo sukhun men khula na pooch pahli mulaqaat men mizaaj us ka vo rang rang men simtaa kiran kiran men khula badan ki chaap nigah ki zabaan bhi hoti hai ye bhed ham pe magar us ki anjuman men khula ki jaise abr hawa ki girah se khul jaa.e safar ki shaam mira meherbaan thakan men khula kahooñ main kis se nishaani thii kis maseeha ki vo ek zakham ki mohsin mire kafan men khula

Mohsin Naqvi

2 likes

azaab-e-deed men aañkhen lahu lahu kar ke main sharmasaar hua teri justuju kar ke khandar ki tah se buriida-badan saroon ke siva mila na kuchh bhi khazaano ki aarzoo kar ke suna hai shahar men zakhmi dilon ka mela hai chalenge ham bhi magar pairhan rafu kar ke masafat-e-shab-e-hijraan ke baa'd bhed khula hawa dukhi hai charaaghon ki aabroo kar ke zameen ki pyaas usii ke lahu ko chaat gaii vo KHush hua tha samundar ko aabjoo kar ke ye kis ne ham se lahu ka khiraaj phir maanga abhii to soye the maqtal ko surkh-roo kar ke juloos-e-ahl-e-wafa kis ke dar pe pahuncha hai nishaan-e-tauq-e-wafa zeenat-e-guloo kar ke ujaad rut ko gulaabi banaaye rakhti hai hamaari aankh tiri deed se wuzoo kar ke koi to habs-e-hawaa se ye poochta mohsin mila hai kya use kaliyon ko be-numoo kar ke

Mohsin Naqvi

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Mohsin Naqvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Mohsin Naqvi's ghazal.