tujh par mirii mohabbat qurbaan ho na jaa.e ye kufr badhte badhte eimaan ho na jaa.e allah ri be-naqaabi us jaan-e-muddaa ki mirii nigaah-e-hasrat hairaan ho na jaa.e mirii taraf na dekho apni nazar ko roko duniya-e-aashiqi men haijaan ho na jaa.e palkon pe ruk gaya hai aa kar jo ek aañsu ye qatra badhte badhte toofaan ho na jaa.e hadd-e-sitam to hai bhi hadd-e-wafa nahin hai zalim tira sitam bhi ehsaan ho na jaa.e hoti nahin hai waqat hoti nahin hai izzat jab tak ki koi insaan insaan ho na jaa.e us vaqt tak mukammal hota nahin hai koi jab tak ki KHud ko apni pahchaan ho na jaa.e bahzaad is li.e main kahtaa nahin hooñ dil ki dartaa hooñ sun ke duniya hairaan ho na jaa.e
Related Ghazal
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii
Ali Zaryoun
102 likes
ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e
Yasir Khan
92 likes
kisi libaas ki khushboo jab ud ke aati hai tere badan ki judaai bahut sataati hai tere gulaab tarsate hain teri khushboo ko teri safed chameli tujhe bulaati hai tere baghair mujhe chain kaise padta hain mere bagair tujhe neend kaise aati hai
Jaun Elia
113 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
More from Behzad Lakhnavi
mohabbat mustaqil kaif-aafareen maaloom hoti hai khalish dil men jahaan par thii wahin maaloom hoti hai tire jalvo se takra kar nahin maaloom hoti hai nazar bhi ek mauj-e-tah-nasheen maaloom hoti hai nukush-e-paa ke sadqe bandagi-ishq ke qurbaan mujhe har samt apni hi jabeen maaloom hoti hai mirii rag rag men yuñ to daudti hai ishq ki bijli kahii zaahir nahin hoti kahii maaloom hoti hai ye ejaz-e-nazar kab hai ye kab hai husn ki kaavish haseen jo cheez hoti hai haseen maaloom hoti hai umeedein tod de mire dil-e-muztar khuda-haafiz zabaan-e-husn par ab tak nahin maaloom hoti hai use kyun may-kada kahtaa hai batla de mire saaqi yahaañ ki sar-zameen khuld-e-bareen maaloom hoti hai are ai chaara-gar haan haan khalish tu jis ko kahtaa hai ye shay dil men nahin dil ke qareen maaloom hoti hai kisi ke paa-e-naazuk par jhuki hai aur nahin uthatii mujhe bahzaad ye apni jabeen maaloom hoti hai
Behzad Lakhnavi
0 likes
hai khird-man dii yahii ba-hosh deewaana rahe hai vahii apna ki jo apne se begaana rahe kufr se ye iltijaaein kar raha hooñ baar baar jaaun to kaa'ba magar rukh soo-e-may-khaana rahe sham-e-sozaan kuchh khabar bhi hai tujhe o mast-e-gham husn-e-mahfil hai jabhi jab tak ki parwaana rahe zakhm-e-dil ai zakhm-e-dil naasoor kyun banta nahin lutf to jab hai ki afsaane men afsaana rahe ham ko waiz ka bhi dil rakhna hai saaqi ka bhi dil ham to tauba kar ke bhi paaband-e-may-khaana rahe aakhirsh kab tak raheingi husn ki naadaaniyaañ husn se poochho ki kab tak ishq deewaana rahe faiz-e-raah-e-ishq hai ya faiz-e-jazb-e-ishq hai ham to manzil pa ke bhi manzil se begaana rahe may-kade men ham duaaein kar rahe hain baar baar is taraf bhi chashm-e-mast-e-peer-e-may-khaana rahe aaj to saaqi se ye bahzaad ne baandha hai ahd lab pe tauba ho magar haathon men paimaana rahe
Behzad Lakhnavi
0 likes
dil miraa teraa taab-e-farmaan hai kya karoon ab teraa kufr hi miraa eemaan hai kya karoon ba-hosh hooñ magar miraa daaman hai chaak chaak aalam ye dekh dekh ke hairaan hai kya karoon har tarah ka sukoon hai har tarah ka hai kaif phir bhi ye miraa qalb pareshaan hai kya karoon kahtaa nahin hooñ aur zamaana hai ba-khabar chehre se dil ka haal numayaan hai kya karoon daaman karoon na chaak ye mumkin to hai magar muztar har ek taar-e-garebaan hai kya karoon saada sa ik varq hooñ kitaab-e-hayaat ka hasrat se ab na ab koi armaan hai kya karoon har samt pa raha hooñ vahii rang-e-dil-fareb haathon men kufr ke miraa eemaan hai kya karoon daaghoon ka qalb-e-zaar se mumkin to hai ilaaj un ke hi dam se dil men charaaghaan hai kya karoon ik be-wafa ke vaaste se sab kuchh luta diya bahzaad ab na deen na eemaan hai kya karoon
Behzad Lakhnavi
0 likes
KHuda ko dhundh raha tha kahii KHuda na mila zahe-naseeb ki bande ko muddaa na mila nigaah-e-shauq men be-nooriyon ka rang badha nigaah-e-shauq ko jab koi doosra na mila ham apni be-khudi-e-shauq par nisaar rahe khu dii ko Dhoondh liya jab ha men KHuda na mila tumhaari bazm men lab khol kar hua KHaamosh vo bad-naseeb jise koi aasraa na mila har ek zarre men main KHud to aa raha tha nazar ajeeb baat tumhaara kahii pata na mila bas ik sukoon hi ham ko na mil sakaa ta-umr wagarana tere tasadduq men ham ko kya na mila tiri nigaah-e-mohabbat-nawaaz hi ki qasam ki aaj tak to ha men tujh sa doosra na mila tira jamaal fazaaon men muntashir tha magar nigaah-e-shauq ko phir bhi tira pata na mila hazaar thokren khaaiin hazaar soo bahzaad jahaan-e-husn men koi bhi ba-wafa na mila
Behzad Lakhnavi
0 likes
ik be-wafa ko pyaar kiya haaye kya kiya KHud dil ko be-qaraar kiya haaye kya kiya maaloom tha ki ahad-e-wafaa un ka jhooth hai is par bhi e'tibaar kiya haaye kya kiya vo dil ki jis pe qeemat-e-kaunain thii nisaar nazr-e-nigaah-e-yaar kiya haaye kya kiya KHud ham ne faash faash kiya raaz-e-aashiqi daaman ko taar taar kiya haaye kya kiya aahen bhi baar baar bhariin un ke hijr men naala bhi baar baar kiya haaye kya kiya mitne ka gham nahin hai bas itnaa malaal hi kyun teraa intizaar kiya haaye kya kiya ham ne to gham ko seene se apne laga liya gham ne ha men shikaar kiya haaye kya kiya sayyaad ki raza ye ham aañsu na pee sake uzr-e-gham-bahaar kiya haaye kya kiya qismat ne aah ham ko ye din bhi dikha diye qismat pe e'tibaar kiya haaye kya kiya rangeeni-e-khayaal se kuchh bhi na bach sakaa har shay ko pur-bahaar kiya haaye kya kiya dil ne bhula bhula ke tiri be-vafaiyaan phir ahd ustuvaar kiya haaye kya kiya un ke sitam bhi sah ke na un se kiya gilaa kyun jabr ikhtiyaar kiya haaye kya kiya kaafir ki chashm-e-naaz pe kya dil-jigar ka zikr eimaan tak nisaar kiya haaye kya kiya kaali ghatta ke uthte hi tauba na rah saki tauba pe e'tibaar kiya haaye kya kiya shaam-e-firaq qalb ke daaghoon ko gin liya taaron ko bhi shumaar kiya haaye kya kiya bahzaad ki na qadar koi tum ko ho saki tum ne zaleel-o-khwaar kya haaye kya kiya
Behzad Lakhnavi
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Behzad Lakhnavi.
Similar Moods
More moods that pair well with Behzad Lakhnavi's ghazal.







