tum aa.e ho tumhein bhi aazma kar dekh leta hooñ tumhaare saath bhi kuchh door ja kar dekh leta hooñ hawaaein jin ki andhi khidkiyon par sar patakti hain main un kamron men phir shamaein jala kar dekh leta hooñ ajab kya is qareene se koi soorat nikal aa.e tiri baaton ko KHvaabon se mila kar dekh leta hooñ sehar-e-dam kirchiyaan toote hue KHvaabon ki milti hain to bistar jhaad kar chadar hata kar dekh leta hooñ bahut dil ko dukhaata hai kabhi jab dard-e-mahjoori tiri yaadon ki jaanib muskuraa kar dekh leta hooñ uda kar rang kuchh honton se kuchh aankhoñ se kuchh dil se ga.e lamhon ko tasveerein banaa kar dekh leta hooñ nahin ho tum bhi vo ab mujh se yaaro kya chupaoge hawa ki samt ko miTTi uda kar dekh leta hooñ suna hai be-niyaazi hi ilaaj-e-na-umee dii hai ye nuskha bhi koi din aazma kar dekh leta hooñ mohabbat mar gaii mushtaaq lekin tum na maanoge main ye afwaah bhi tum ko suna kar dekh leta hooñ
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
More from Ahmad Mushtaq
ab na bahl sakega dil ab na diye jalaaie ishq-o-hawas hain sab fareb aap se kya chhupaie us ne kaha ki yaad hain rang tulu-e-ishq ke main ne kaha ki chhodije ab unhen bhool jaaie kaise nafees the makaan saaf tha kitna aasmaañ main ne kaha ki vo samaan aaj kahaan se laiye kuchh to suraagh mil sake mausam-e-dard-e-hijr ka sang-e-jamaal-e-yaar par naqsh koi banaaiye koi sharar nahin bacha pichhle baras ki raakh men ham-nafsaan-e-sho'la-khoo aag nayi jalaaie
Ahmad Mushtaq
0 likes
shaam-e-gham yaad hai kab shama' jali yaad nahin kab vo ruksat hue kab raat dhali yaad nahin dil se bahte hue paani ki sadaa guzri thii kab dhundlaka hua kab naav chali yaad nahin thande mausam men pukaara koi ham aate hain jis men ham khel rahe the vo gali yaad nahin in mazaafat men chhup chhup ke hawa chalti thii kaise khilti thii mohabbat ki kali yaad nahin jism-o-jaan doob ga.e khwaab-e-faramoshi men ab koi baat burii ho ki bhalii yaad nahin
Ahmad Mushtaq
0 likes
chaand us ghar ke dareechon ke barabar aaya dil-e-mushtaqa thehar ja vahii manzar aaya main bahut KHush tha kaddi dhoop ke sannaate men kyun tiri yaad ka baadal mire sar par aaya bujh gaii raunaq-e-parwaana to mehfil chamki so ga.e ahl-e-tamanna to sitamgar aaya yaar sab jama hue raat ki khaamoshi men koi ro kar to koi baal banaa kar aaya
Ahmad Mushtaq
0 likes
haath se naapta hooñ dard ki gehraai ko ye naya khel mila hai meri tanhaaii ko tha jo seene men charaagh-e-dil-pur-khun na raha chaatiye baith ke ab sabr o shakebaai ko dil-e-afsurda kisi tarah bahalta hi nahin kya karen aap ki is hausla-afzaai ko KHair badnaam to pahle bhi bahut the lekin tujh se milnaa tha ki par lag ga.e ruswaai ko nigah-e-naaz na milte hue ghabra ham se ham mohabbat nahin kehne ke shanaasaai ko dil hai nairangi-e-ayyaam pe hairaan ab tak itni si baat bhi maaloom nahin bhaai ko
Ahmad Mushtaq
0 likes
shaam hoti hai to yaad aati hai saari baatein vo dopahron ki KHamoshii vo hamaari baatein aañkhen kholoon to dikhaai nahin deta koi band karta hooñ to ho jaati hain jaarii baatein kabhi ik harf nikalta nahin munh se mere kabhi ik saans men kar jaata hooñ saari baatein jaane kis KHaak men poshida hain aañsu mere kin fazaaon men mu'alliq hain tumhaari baatein kis mulaqaat ki ummeed li.e baitha hooñ main ne kis din pe utha rakkhi hain saari baatein
Ahmad Mushtaq
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ahmad Mushtaq.
Similar Moods
More moods that pair well with Ahmad Mushtaq's ghazal.







