ghazalKuch Alfaaz

tum apna ranj-o-ghham apni pareshani mujhe de do tumhen ghham ki qasam is dil ki virani mujhe de do ye maana main kisi qabil nahin huun in nigahon men bura kya hai agar ye dukh ye hairani mujhe de do main dekhun to sahi duniya tumhen kaise satati hai koi din ke liye apni nigahbani mujhe de do vo dil jo main ne manga tha magar ghhairon ne paaya hai badi shai hai agar us ki pashemani mujhe de do tum apna ranj-o-gham apni pareshani mujhe de do tumhein gham ki qasam is dil ki virani mujhe de do ye mana main kisi qabil nahin hun in nigahon mein bura kya hai agar ye dukh ye hairani mujhe de do main dekhun to sahi duniya tumhein kaise satati hai koi din ke liye apni nigahbani mujhe de do wo dil jo main ne manga tha magar ghairon ne paya hai badi shai hai agar us ki pashemani mujhe de do

Related Ghazal

ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare

Tehzeeb Hafi

292 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai

Waseem Barelvi

107 likes

More from Sahir Ludhianvi

fan jo nadaar tak nahin pahuncha abhii meyaar tak nahin pahuncha us ne bar-waqt be-rukhi barti shauq aazaar tak nahin pahuncha aks-e-may ho ki jalwa-e-gul ho rang-e-rukhsaar tak nahin pahuncha harf-e-inkaar sar buland raha zoof-e-iqraar tak nahin pahuncha hukm-e-sarkaar kii pahunch mat pooch ahl-e-sarkaar tak nahin pahuncha adl-gaahen to door kii shay hain qatl akhbaar tak nahin pahuncha inqilaabaat-e-dahr kii buniyaad haq jo haqdaar tak nahin pahuncha vo maseeha-nafs nahin jis ka silsila-daar tak nahin pahuncha

Sahir Ludhianvi

2 likes

dekha hai zindagi ko kuchh itne qareeb se chehre tamaam lagne lage hain ajeeb se ai rooh-e-asr jaag kahaan so rahi hai tu awaaz de rahe hain payambar saleeb se is rengti hayaat ka kab tak uthaaye baar beemaar ab uljhane lage hain tabeeb se har gaam par hai majma-e-ushshaq muntazir maqtal ki raah milti hai koo-e-habeeb se is tarah zindagi ne diya hai hamaara saath jaise koi nibaah raha ho raqeeb se

Sahir Ludhianvi

3 likes

sadiyon se insaan ye sunta aaya hai dukh ki dhoop ke aage sukh ka saaya hai ham ko in sasti KHushiyon ka lobh na do ham ne soch samajh kar gham apnaaya hai jhooth to qaateel thehra is ka kya rona sach ne bhi insaan ka khun bahaaya hai paidaish ke din se maut ki zad men hain is maqtal men kaun ha men le aaya hai awwal awwal jis dil ne barbaad kiya aaKHir aaKHir vo dil hi kaam aaya hai itne din ehsaan kiya deewaanon par jitne din logon ne saath nibhaaya hai

Sahir Ludhianvi

14 likes

saza ka haal sunaayein jazaa ki baat karen KHuda mila ho jinhen vo KHuda ki baat karen unhen pata bhi chale aur vo KHafaa bhi na hon is ehtiyaat se kya muddaa ki baat karen hamaare ahd ki tahzeeb men qaba hi nahin agar qaba ho to band-e-qaba ki baat karen har ek daur ka mazhab naya KHuda laaya karen to ham bhi magar kis KHuda ki baat karen wafa-shiaar kaii hain koi haseen bhi to ho chalo phir aaj usii be-vafa ki baat karen

Sahir Ludhianvi

6 likes

mohabbat tark ki main ne garebaan si liya main ne zamaane ab to KHush ho zahar ye bhi pee liya main ne abhii zinda hooñ lekin sochta rehta hooñ khilwat men ki ab tak kis tamannaa ke sahaare jee liya main ne unhen apna nahin saka magar itnaa bhi kya kam hai ki kuchh muddat haseen KHvaabon men kho kar jee liya main ne bas ab to daaman-e-dil chhod do bekar umeedo bahut dukh sah li.e main ne bahut din jee liya main ne

Sahir Ludhianvi

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Sahir Ludhianvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Sahir Ludhianvi's ghazal.