ghazalKuch Alfaaz

tum apne shahr ke saare diye bujha daalo isi bahane andheron ko aazma daalo purane naqsh-e-qadam raah se mita daalo agar hunar hai nae raste bana daalo kabhi udaas agar ho to yaad kar lo hamen kabhi jo yaad ham aaen hamen bhula daalo tum apne shahr ke sare diye bujha dalo isi bahane andheron ko aazma dalo purane naqsh-e-qadam rah se mita dalo agar hunar hai nae raste bana dalo kabhi udas agar ho to yaad kar lo hamein kabhi jo yaad hum aaen hamein bhula dalo

Related Ghazal

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

tum haqeeqat nahin ho hasrat ho jo mile KHvaab men vo daulat ho tum ho KHushboo ke KHvaab ki KHushboo aur itne hi bemuravvat ho kis tarah chhod doon tumhein jaanaan tum meri zindagi ki aadat ho kislie dekhte ho aaina tum to KHud se bhi khoobsurat ho dastaan khatm hone waali hai tum meri aakhiri muhabbat ho

Jaun Elia

315 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Annu Rizvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Annu Rizvi's ghazal.