tum pe kya beet gaii kuchh to batao yaaro main koi gair nahin hooñ ki chhupao yaaro in andheron se nikalne ki koi raah karo khoon-e-dil se koi mish'aal hi jalao yaaro ek bhi KHvaab na ho jin men vo aañkhen kya hain ik na ik KHvaab to aankhoñ men basaao yaaro bojh duniya ka uthaaunga akela kab tak ho sake tum se to kuchh haath bataao yaaro zindagi yuñ to na baanhon men chali aayegi gham-e-dauraan ke zaraa naaz uthao yaaro umr-bhar qatl hua hooñ main tumhaari khaatir aakhiri vaqt to sooli na chadhaao yaaro aur kuchh der tumhein dekh ke jee luun thehro meri baaleen se abhii uth ke na jaao yaaro
Related Ghazal
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e
Yasir Khan
92 likes
haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate
Rahat Indori
102 likes
kitne aish se rahte honge kitne itraate honge jaane kaise log vo honge jo us ko bhaate honge shaam hue khush-baash yahaañ ke mere paas aa jaate hain mere bujhne ka nazzara karne aa jaate honge vo jo na aane vaala hai na us se mujh ko matlab tha aane waalon se kya matlab aate hain aate honge us ki yaad ki baad-e-saba men aur to kya hota hogaa yoonhi mere baal hain bikhre aur bikhar jaate honge yaaro kuchh to zikr karo tum us ki qayamat baanhon ka vo jo simtate honge un men vo to mar jaate honge meraa saans ukhadte hi sab bein karenge roenge ya'ni mere baa'd bhi ya'ni saans li.e jaate honge
Jaun Elia
88 likes
ghazal to sabko mee thii lag rahi thii magar naatik ko mirchi lag rahi thii tumhaare lab nahin choo men the jab tak mujhe har cheez kadvii lag rahi thii main jis din chhodne vaala tha us..ko vo us din sabse pyaari lag rahi thii
Zubair Ali Tabish
80 likes
More from Jaan Nisar Akhtar
har ek shaKHs pareshaan-o-dar-badar sa lage ye shahar mujh ko to yaaro koi bhanwar sa lage ab us ke tarz-e-tajaahul ko kya kahe koi vo be-KHabar to nahin phir bhi be-KHabar sa lage har ek gham ko khushi ki tarah bartana hai ye daur vo hai ki jeena bhi ik hunar sa lage nashaat-e-sohbat-e-rindaan bahut ghaneemat hai ki lamha lamha pur-aashob-o-pur-khatr sa lage kise khabar hai ki duniya ka hashr kya hogaa kabhi kabhi to mujhe aadmi se dar sa lage vo tund vaqt ki rau hai ki paanv tik na saken har aadmi koi ukhadta hua shajar sa lage jahaan-e-nau ke mukammal singaar ki khaatir sadi sadi ka zamaana bhi mukhtasar sa lage
Jaan Nisar Akhtar
0 likes
zameen hogii kisi qaateel ka daamaan ham na kahte the akaarat jaayega khun-e-shaheedaan ham na kahte the ilaaj-e-chaak-e-pairaahan hua to is tarah hogaa siya jaayega kaanton se garebaan ham na kahte the taraane kuchh diye lafzon men KHud ko qaid kar lenge ajab andaaz se failega zindaan ham na kahte the koi itnaa na hogaa laash bhi le ja ke dafna de inheen sadkon pe mar jaayega insaan ham na kahte the nazar lipti hai sholon men lahu tapta hai aankhoñ men utha hi chahta hai koi toofaan ham na kahte the chhalakte jaam men bheegi hui aañkhen utar aayein sataayegi kisi din yaad-e-yaaraan ham na kahte the nayi tahzeeb kaise lucknow ko raas aayegi ujad jaayega ye sheher-e-ghazaalaan ham na kahte the
Jaan Nisar Akhtar
0 likes
tamaam umr azaabon ka silsila to raha ye kam nahin ha men jeene ka hausla to raha guzar hi aa.e kisi tarah tere deewane qadam qadam pe koi sakht marhala to raha chalo na ishq hi jeeta na aql haar saki tamaam vaqt maze ka muqaabla to raha main teri zaat men gum ho sakaa na tu mujh men bahut qareeb the ham phir bhi fasla to raha ye aur baat ki har chhed la-ubaali thii tiri nazar ka dilon se moamala to raha
Jaan Nisar Akhtar
1 likes
vo log hi har daur men mahboob rahe hain jo ishq men taalib nahin matlab rahe hain toofaan ki awaaz to aati nahin lekin lagta hai safeene se kahii doob rahe hain un ko na pukaaro gham-e-dauraan ke laqab se jo dard kisi naam se mansoob rahe hain ham bhi tiri soorat ke parastaar hain lekin kuchh aur bhi chehre ha men marghoob rahe hain alfaaz men izhaar-e-mohabbat ke tariqe KHud ishq ki nazaron men bhi maayub rahe hain is ahad-e-baseerat men bhi naqqaad hamaare har ek bade naam se mar'oub rahe hain itnaa bhi na ghabraao nayi tarz-e-ada se har daur men badle hue usloob rahe hain
Jaan Nisar Akhtar
0 likes
zaraa si baat pe har rasm tod aaya tha dil-e-tabah ne bhi kya mizaaj paaya tha guzar gaya hai koi lamha-e-sharar ki tarah abhii to main use pahchaan bhi na paaya tha muaaf kar na saki meri zindagi mujh ko vo ek lamha ki main tujh se tang aaya tha shagufta phool simat kar kali bane jaise kuchh is kamaal se tu ne badan churaaya tha pata nahin ki mire baad un pe kya guzri main chand KHvaab zamaane men chhod aaya tha
Jaan Nisar Akhtar
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jaan Nisar Akhtar.
Similar Moods
More moods that pair well with Jaan Nisar Akhtar's ghazal.







