tum se na mil ke khush hain vo daava kidhar gaya do roz men gulab sa chehra utar gaya jan-e-bahar tum ne vo kante chubhoe hain main har gul-e-shagufta ko chhune se dar gaya is dil ke tutne ka mujhe koi ghham nahin achchha hua ki paap kata dard-e-sar gaya main bhi samajh raha huun ki tum tum nahin rahe tum bhi ye soch lo ki mira 'kaif' mar gaya tum se na mil ke khush hain wo dawa kidhar gaya do roz mein gulab sa chehra utar gaya jaan-e-bahaar tum ne wo kante chubhoe hain main har gul-e-shagufta ko chhune se dar gaya is dil ke tutne ka mujhe koi gham nahin achchha hua ki pap kata dard-e-sar gaya main bhi samajh raha hun ki tum tum nahin rahe tum bhi ye soch lo ki mera 'kaif' mar gaya
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare
Tehzeeb Hafi
292 likes
More from Kaif Bhopali
salaam us par agar aisa koi fankaar ho jaa.e siyaahi KHoon ban jaa.e qalam talwaar ho jaa.e zamaane se kaho kuchh saiqaa-raftaar ho jaa.e hamaare saath chalne ke li.e taiyyaar ho jaa.e zamaane ko tamannaa hai tira deedaar karne ki mujhe ye fikr hai mujh ko mira deedaar ho jaa.e vo zulfen saanp hain be-shak agar zanjeer ban jaayen mohabbat zahar hai be-shak agar aazaar ho jaa.e mohabbat se tumhein sarkaar kahte hain wagarana ham nigaahen daal den jis par vahii sarkaar ho jaa.e
Kaif Bhopali
1 likes
haaye logon ki karam-farmaiyaan tohmaten badnaamiyaan ruswaaiyaan zindagi shaayad isee ka naam hai dooriyaan majbooriyaan tanhaaiyaan kya zamaane men yuñ hi kattee hai raat karvatein betaabiyaan angadaaiyaan kya yahii hoti hai shaam-e-intizaar aahaten ghabrahaten parchaaiyaan ek rind-e-mast ki thokar men hain shaahiyaan sultaaniyaan daraaiyaan ek paikar men simat kar rah gaiin khoobiyaan zebaaiyaan raanaaiyaan rah gaiin ik tifl-e-maktab ke huzoor hikmaten aagaahiyaan danaaiyan zakham dil ke phir hare karne lagin badliyaan barkha rutein purvaaiyaan deeda-o-daanista un ke saamne laghzishein naakaamiyaan paspaa-iyaan mere dil ki dhadkano men dhal gaiin choodiyaan mausiqiyaan shehnaaiyaan un se mil kar aur bhi kuchh badh gaiin uljhane fikren qayaas-aaraaiyaan kaif paida kar samundar ki tarah wusaaten khaamoshiyaan gehraaiyaan
Kaif Bhopali
2 likes
khaanqaah men sufi munh chhu paa.e baitha hai ghaliban zamaane se maat khaaye baitha hai qatl to nahin badla qatl ki ada badli teer ki jagah qaateel saaz uthaaye baitha hai un ke chaahne waale dhoop dhoop firte hain gair un ke kooche men saa.e saa.e baitha hai waaye aashiq-e-naadaan kaayenaat ye teri ik shikasta sheeshe ko dil banaaye baitha hai door baarish ai gulchein vaa hai deeda-e-nargis aaj har gul-e-nargis khaar khaaye baitha hai
Kaif Bhopali
0 likes
thoda sa aks chaand ke paikar men daal de tu aa ke jaan raat ke manzar men daal de jis din mirii jabeen kisi dahleez par jhukeus din KHuda shigaaf mire sar men daal de allah tere saath hai mallaah ko na dekh ye tooti footi naav samundar men daal de aa tere maal o zar ko main taqdees bakhsh doon la apna maal o zar mirii thokar men daal de bhag aise rehnuma se jo lagta hai khizr sa jaane ye kis jagah tujhe chakkar men daal de is se tire makaan ka manzar hai bad-numa chingaari mire foos ke chappar men daal de main ne panaah dii tujhe baarish ki raat men tu jaate jaate aag mire ghar men daal de ai kaif jaagte tujhe pichhla pahar hua ab laash jaise jism ko bistar men daal de
Kaif Bhopali
2 likes
na aaya mazaa shab ki tanhaaiyon men sehar ho gaii chand angadaaiyon men na rangeeniyon men na raanaaiyon men nazar ghir gaii apni parchaaiyon men mujhe muskuraa muskuraa kar na dekho mire saath tum bhi ho rusvaaiyon men ghazab ho gaya un ki mehfil se aanaa ghira ja raha hooñ tamaashaaiyon men mohabbat hai ya aaj tark-e-mohabbat zaraa mil to jaayen vo tanhaaiyon men idhar aao tum ko nazar lag na jaa.e chhupa luun tumhein dil ki gahraaiyon men are sunne waalo ye nag men nahin hain mire dil ki cheekhen hain shehnaaiyon men vo ai kaif jis din se mire hue hain to saara zam aanaa hai shaidaaiyon men
Kaif Bhopali
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Kaif Bhopali.
Similar Moods
More moods that pair well with Kaif Bhopali's ghazal.







