ghazalKuch Alfaaz

tu ne dekha hai kabhi ek nazar shaam ke baad kitne chup-chap se lagte hain shajar shaam ke baad itne chup-chap ki raste bhi rahenge la-ilm chhod jaenge kisi roz nagar shaam ke baad main ne aise hi gunah teri judai men kiye jaise tufan men koi chhod de ghar shaam ke baad shaam se pahle vo mast apni udanon men raha jis ke hathon men the tuute hue par shaam ke baad raat biiti to gine aable aur phir socha kaun tha bais-e-aghhaz-e-safar shaam ke baad tu hai suraj tujhe maalum kahan raat ka dukh tu kisi roz mire ghar men utar shaam ke baad laut aae na kisi roz vo avara-mizaj khol rakhte hain isi aas pe dar shaam ke baad tu ne dekha hai kabhi ek nazar sham ke baad kitne chup-chap se lagte hain shajar sham ke baad itne chup-chap ki raste bhi rahenge la-ilm chhod jaenge kisi roz nagar sham ke baad main ne aise hi gunah teri judai mein kiye jaise tufan mein koi chhod de ghar sham ke baad sham se pahle wo mast apni udanon mein raha jis ke hathon mein the tute hue par sham ke baad raat biti to gine aable aur phir socha kaun tha bais-e-aghaz-e-safar sham ke baad tu hai suraj tujhe malum kahan raat ka dukh tu kisi roz mere ghar mein utar sham ke baad laut aae na kisi roz wo aawara-mizaj khol rakhte hain isi aas pe dar sham ke baad

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen

Ahmad Faraz

130 likes

More from Farhat Abbas Shah

gar dua bhi koi cheez hai to dua ke hawaale kiya ja tujhe aaj se ham ne apne KHuda ke hawaale kiya ek muddat hui ham ne duniya ki har ek zid chhod dii ek muddat hui ham ne dil ko vafaa ke hawaale kiya is tarah ham ne teri mohabbat zamaane ke haathon men dii jis tarah gul ne khushboo ko baad-e-saba ke hawaale kiya bebaasi si ajab zindagi men ik aisi bhi aayi ki jab ham ne chup-chaap haathon ko rasm-e-hina ke hawaale kiya KHoon ne teri yaaden sulagti hui raat ko saunp deen aañsuon ne tira dard rookhi hawa ke hawaale kiya

Farhat Abbas Shah

1 likes

dil bhi aawaara nazar aawaara kat gaya saara safar aawaara zindagi bhatka hua jungle hai raah bechain shajar aawaara rooh ki khidki se ham jhaankte hain aur lagta hai nagar aawaara tujh ko ma'aloom kahaan hogaa ki shab kaise karte hain basar aawaara mujh ko ma'aloom hai apne baare hooñ bahut achha magar aawaara ye alag baat ki bas pal-do-pal laut ke aate hain ghar aawaara

Farhat Abbas Shah

2 likes

ye jo zindagi hai ye kaun hai ye jo bebaasi hai ye kaun hai ye tumhaare lams ko kya hua ye jo be-hisi hai ye kaun hai vo jo mire jaisa tha kaun tha ye jo aap si hai ye kaun hai mire chaar-soo mire chaar-soo ye jo bekli hai ye kaun hai mire ang ang men bas gaii ye jo shaay'ri hai ye kaun hai vo jo teergii thii vo kaun thii ye jo raushni hai ye kaun hai mujhe kya khabar mujhe kya pata ye jo be-khu dii hai ye kaun hai vo jo gham se choor tha kaun tha jo khushi khushi hai ye kaun hai

Farhat Abbas Shah

1 likes

kaha main kahaan ho tum javaab aaya jahaan ho tum mire jeevan se zaahir ho mire gham men nihaan ho tum mirii to saari duniya ho mira saara jahaan ho tum mirii sochon ke mehwar ho mira zor-e-bayaan ho tum main to lafz-e-mohabbat hooñ magar mirii zabaan ho tum

Farhat Abbas Shah

8 likes

tu ne dekha hai kabhi ek nazar shaam ke baa'd kitne chup-chaap se lagte hain shajar shaam ke baa'd itne chup-chaap ki raaste bhi rahenge la-ilm chhod jaayenge kisi roz nagar shaam ke baa'd main ne aise hi gunah teri judaai men ki.e jaise toofaan men koi chhod de ghar shaam ke baa'd shaam se pahle vo mast apni uraano men raha jis ke haathon men the toote hue par shaam ke baa'd raat beetii to gine aable aur phir socha kaun tha ba-is-e-aaghaaz-e-safar shaam ke baa'd tu hai suraj tujhe ma'aloom kahaan raat ka dukh tu kisi roz mere ghar men utar shaam ke baa'd laut aa.e na kisi roz vo aawaara-mizaaj khol rakhte hain isee aas pe dar shaam ke baa'd

Farhat Abbas Shah

6 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Farhat Abbas Shah.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Farhat Abbas Shah's ghazal.