udaasiyon men bhi raaste nikaal leta hai ajeeb dil hai girun to sanbhaal leta hai ye kaisa shaKHs hai kitnii hi achchhii baat kaho koi buraai ka pahluu nikaal leta hai dhale to hoti hai kuchh aur ehtiyaat ki umr ki bahte bahte ye dariyaa uchaal leta hai bade-badoon ki tarah-daariyaan nahin chaltiin urooj teri khabar jab zawaal leta hai jab us ke jaam men ik boond tak nahin hoti vo meri pyaas ko phir bhi sanbhaal leta hai
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
More from Waseem Barelvi
apne saa.e ko itnaa samjhaane de mujh tak mere hisse ki dhoop aane de ek nazar men kaii zamaane dekhe to boodhi aankhoñ ki tasveer banaane de baba duniya jeet ke main dikhla dooñga apni nazar se door to mujh ko jaane de main bhi to is baagh ka ek parinda hooñ meri hi awaaz men mujh ko gaane de phir to ye ooncha hi hota jaayega bachpan ke haathon men chaand aa jaane de faslen pak jaayen to khet se bichhdenge roti aankh ko pyaar kahaan samjhaane de
Waseem Barelvi
7 likes
bhala ghamon se kahaan haar jaane waale the ham aañsuon kii tarah muskuraane waale the humeen ne kar diya ailaan-e-gumrahi warna hamaare peechhe bahut log aane waale the unhen to KHaak men milnaa hi tha ki mere the ye ashk kaun se unche gharaane waale the unhen qareeb na hone diya kabhi main ne jo dosti men hadein bhool jaane waale the main jin ko jaan ke pahchaan bhi nahin saktaa kuchh aise log mira ghar jalane waale the hamaara almeya ye tha ki hum-safar bhi ha men vahii mile jo bahut yaad aane waale the waseem kaisi taalluq kii raah thii jis men vahii mile jo bahut dil dukhaane waale the
Waseem Barelvi
5 likes
nahin ki apna zamaana bhi to nahin aaya ha men kisi se nibhaana bhi to nahin aaya jala ke rakh liya haathon ke saath daaman tak tumhein charaaghh bujhaana bhi to nahin aaya naye makaan banaaye to faaslon ki tarah ha men ye shahar basaana bhi to nahin aaya vo poochta tha mirii aankh bheegne ka sabab mujhe bahaana banaana bhi to nahin aaya waseem dekhna mud mud ke vo usii ki taraf kisi ko chhod ke jaana bhi to nahin aaya
Waseem Barelvi
4 likes
sirf teraa naam le kar rah gaya aaj deewaana bahut kuchh kah gaya kya mirii taqdeer men manzil nahin fasla kyun muskuraa kar rah gaya zindagi duniya men aisa ashk thii jo zaraa palkon pe thehra bah gaya aur kya tha us ki pursish ka javaab apne hi aañsu chhupa kar rah gaya us se pooch ai kaamyaab-e-zindagi jis ka afsaana adhoora rah gaya haaye kya deewaangi thii ai waseem jo na kehna chahiye tha kah gaya
Waseem Barelvi
2 likes
chalo ham hi pehal kar den ki ham se bad-gumaan kyun ho koi rishta zaraa si zid ki khaatir raayegaan kyun ho main zinda hooñ to is zinda-zameeri ki badaulat hi jo bole tere lehje men bhala meri zabaan kyun ho sawaal aaKHir ye ik din dekhna ham hi uthaaengena samjhe jo zameen ke gham vo apna aasmaañ kyun ho hamaari guftugoo ki aur bhi gaddaari bahut si hain kisi ka dil dukhaane hi ko phir apni zabaan kyun ho bikhar kar rah gaya hamsaayagi ka KHvaab hi warna diye is ghar men raushan hon to us ghar men dhuaan kyun ho mohabbat aasmaañ ko jab zameen karne ki zid thehri to phir buzdil usoolon ki sharaafat darmiyaañ kyun ho ummeedein saari duniya se waseem aur KHud men aise gham kisi pe kuchh na zaahir ho to koi meherbaan kyun ho
Waseem Barelvi
4 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Waseem Barelvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Waseem Barelvi's ghazal.







