ummeed tooti hui hai meri jo dil mira tha vo mar chuka hai jo zindagaani ko talkh kar de vo vaqt mujh par guzar chuka hai agarche seene men saans bhi hai nahin tabeeyat men jaan baaki ajal ko hai der ik nazar ki falak to kaam apna kar chuka hai ghareeb-khaane ki ye udaasi ye naa-durusti nahin qadeemi chahal pehal bhi kabhi yahaañ thii kabhi ye ghar bhi sanwar chuka hai ye seena jis men ye daagh men ab masarraton ka kabhi tha makhzan vo dil jo armaan se bhara tha khushi se us men thehar chuka hai gareeb akbar ke gard kyun men khayal wa'iz se koi kah de use daraate ho maut se kya vo zindagi hi se dar chuka hai
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
More from Akbar Allahabadi
apni girah se kuchh na mujhe aap deejie akhbaar men to naam mira chaap deejie dekho jise vo pioneer office men hai data bahr-e-khuda mujhe bhi kahii chaap deejie chashm-e-jahaan se haalat-e-asli chhupi nahin akhbaar men jo chahiye vo chaap deejie daava bahut badaa hai riyaazi men aap ko tool-e-shab-e-firaq ko to naap deejie sunte nahin hain shaikh nayi raushni ki baat engine ki un ke kaan men ab bhaap deejie is but ke dar pe gair se akbar ne kah diya zar hi main dene laaya hooñ jaan aap deejie
Akbar Allahabadi
0 likes
zid hai unhen poora mira armaan na karenge munh se jo nahin nikli hai ab haan na karenge kyun zulf ka bosa mujhe lene nahin dete kahte hain ki wallaah pareshaan na karenge hai zehan men ik baat tumhaare mutalliq khilwat men jo poochoge to pinhaan na karenge waiz to banaate hain musalmaan ko kaafir afsos ye kaafir ko musalmaan na karenge kyun shukr-guzaari ka mujhe shauq hai itnaa sunta hooñ vo mujh par koi ehsaan na karenge deewaana na samjhe ha men vo samjhe sharaabi ab chaak kabhi jeb o garebaan na karenge vo jaante hain gair mire ghar men hai mehmaan aayenge to mujh par koi ehsaan na karenge
Akbar Allahabadi
2 likes
hangaama hai kya barpa thodii si jo pee li hai daaka to nahin maara chori to nahin ki hai na-tajarba-kaari se wa'iz ki ye hain baatein is rang ko kya jaane poochho to kabhi pee hai us may se nahin matlab dil jis se hai begaana maqsood hai us may se dil hi men jo khinchti hai waan dil men ki sad men do yaa jee men ki sab sah lo un ka bhi ajab dil hai meraa bhi ajab jee hai har zarra chamakta hai anwaar-e-ilaahi se har saans ye kahti hai ham hain to KHuda bhi hai suraj men lage dhabba fitrat ke karish men hain but ham ko kahein kaafir allah ki marzi hai sach kahte hain shaikh akbar hai taat-e-haq laazim haan tark-e-may-o-shaahid ye un ki buzurgi hai
Akbar Allahabadi
1 likes
duniya men hooñ duniya ka talabgaar nahin hooñ bazaar se guzra hooñ khareedaar nahin hooñ zinda hooñ magar zeest ki lazzat nahin baaki har-chand ki hooñ hosh men hushyaar nahin hooñ is khaana-e-hasti se guzar jaaunga be-laus saaya hooñ faqat naqsh-b-deewaar nahin hooñ afsurda hooñ ibarat se davaa ki nahin haajat gham ka mujhe ye zof hai beemaar nahin hooñ vo gul hooñ khizaan ne jise barbaad kiya hai uljhoon kisi daaman se main vo khaar nahin hooñ ya rab mujhe mahfooz rakh us but ke sitam se main us ki inaayat ka talabgaar nahin hooñ go daava-e-taqva nahin dargaah-e-khuda men but jis se hon KHush aisa gunahgaar nahin hooñ afsurdagi o zof ki kuchh had nahin akbar kaafir ke muqaabil men bhi deen-daar nahin hooñ
Akbar Allahabadi
0 likes
tiri zulfon men dil uljha hua hai bala ke pech men aaya hua hai na kyunkar boo-e-khoon naa men se aa.e usii jallaad ka likkha hua hai chale duniya se jis ki yaad men ham ghazab hai vo ha men bhoola hua hai kahooñ kya haal agli ishraton ka vo tha ik KHvaab jo bhoola hua hai jafaa ho ya vafaa ham sab men KHush hain karen kya ab to dil atka hua hai hui hai ishq hi se husn ki qadr humeen se aap ka shohra hua hai buton par rahtii hai maail hamesha tabeeyat ko khudaaya kya hua hai pareshaan rahte ho din raat akbar ye kis ki zulf ka sauda hua hai
Akbar Allahabadi
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Akbar Allahabadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Akbar Allahabadi's ghazal.







