ghazalKuch Alfaaz

vo ghhazal valon ka uslub samajhte honge chand kahte hain kise khuub samajhte honge itni milti hai miri ghhazlon se surat teri log tujh ko mira mahbub samajhte honge main samajhta tha mohabbat ki zaban khushbu hai phuul se log use khuub samajhte honge dekh kar phuul ke auraq pe shabnam kuchh log tira ashkon bhara maktub samajhte honge bhuul kar apna zamana ye zamane vaale aaj ke pyaar ko maayub samajhte honge wo ghazal walon ka uslub samajhte honge chand kahte hain kise khub samajhte honge itni milti hai meri ghazlon se surat teri log tujh ko mera mahbub samajhte honge main samajhta tha mohabbat ki zaban khushbu hai phul se log use khub samajhte honge dekh kar phul ke auraq pe shabnam kuchh log tera ashkon bhara maktub samajhte honge bhul kar apna zamana ye zamane wale aaj ke pyar ko mayub samajhte honge

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain so us ke shahar men kuchh din thehar ke dekhte hain suna hai rabt hai us ko kharaab-haalon se so apne aap ko barbaad kar ke dekhte hain suna hai dard ki gaahak hai chashm-e-naaz us ki so ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain suna hai us ko bhi hai she'r o shaayri se shagaf so ham bhi mo'jize apne hunar ke dekhte hain suna hai bole to baaton se phool jhadte hain ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain suna hai raat use chaand takta rehta hai sitaare baam-e-falak se utar ke dekhte hain suna hai din ko use titliyan sataati hain suna hai raat ko jugnoo thehar ke dekhte hain suna hai hashr hain us ki ghazaal si aañkhen suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain suna hai raat se badh kar hain kaakulen us ki suna hai shaam ko saa.e guzar ke dekhte hain suna hai us ki siyah-chashmagi qayamat hai so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte hain suna hai us ke labon se gulaab jalte hain so ham bahaar pe ilzaam dhar ke dekhte hain suna hai aaina timsaal hai jabeen us ki jo saada dil hain use ban-sanwar ke dekhte hain suna hai jab se hamaail hain us ki gardan men mizaaj aur hi laal o guhar ke dekhte hain suna hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkaan men palang zaaviye us ki kamar ke dekhte hain suna hai us ke badan ki taraash aisi hai ki phool apni qabaayein katar ke dekhte hain vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahin ki us shajar pe shagoofe samar ke dekhte hain bas ik nigaah se lutta hai qaafila dil ka so rah-ravaan-e-tamanna bhi dar ke dekhte hain suna hai us ke shabistaan se muttasil hai behisht makeen udhar ke bhi jalwe idhar ke dekhte hain ruke to gardishein us ka tawaaf karti hain chale to us ko zamaane thehar ke dekhte hain kise naseeb ki be-pairhan use dekhe kabhi kabhi dar o deewaar ghar ke dekhte hain kahaaniyaan hi sahi sab mubaalga hi sahi agar vo KHvaab hai taabeer kar ke dekhte hain ab us ke shahar men thehre ki kooch kar jaayen faraaz aao sitaare safar ke dekhte hain

Ahmad Faraz

65 likes

thehraav to us men tha hi nahin rukti thii nikal liya karti thii main kapde badalte sochta tha vo mard badal liya karti thii mujhe apne banaaye raaston par bhi joote pahanna padte the vo logon ke seene par bhi joote utaar kar chal liya karti thii mere haath zaboob ho jaate the mere chash men syaah ho jaate the main us..ko naqaab ka kahtaa tha vo kaalikh mal liya karti thii us aurat ne bezaar kiya ik baar nahin sau baar kiya gaanon pe uchhal nahin paati thii baaton pe uchhal liya karti thii tareeq mahal ko shaahzaa dii ne raushan rakha kaneezon se kabhi unko jala liya karti thii kabhi unse jal liya karti thii aadaab-e-tijaarat se bhi na-waaqif thii sher-o-adab ki tarah mujhe waisa pyaar nahin deti thii jaisi ghazal liya karti thii

Muzdum Khan

30 likes

tum sarvat ko padhti ho kitnii achchhii ladki ho baat nahin sunti ho kyun ghazlein bhi to sunti ho kya rishta hai shaamon se suraj ki kya lagti ho log nahin darte rab se tum logon se darti ho main to jeeta hooñ tum men tum kyun mujh pe marti ho aadam aur sudhar jaa.e tum bhi had hi karti ho kis ne jeans kari mamnoo'a pahno achchhii lagti ho

Ali Zaryoun

48 likes

roz taaron ko numaish men khalal padta hai chaand paagal hai andhere men nikal padta hai ek deewaana musaafir hai mirii aankhoñ men waqt-be-waqt thehar jaata hai chal padta hai apni taabeer ke chakkar men mira jaagta KHvaab roz suraj ki tarah ghar se nikal padta hai roz patthar ki himayat men ghazal likhte hain roz sheeshon se koi kaam nikal padta hai us ki yaad aayi hai saanso zaraa aahista chalo dhadkano se bhi ibadat men khalal padta hai

Rahat Indori

33 likes

More from Bashir Badr

maan mausam ka kaha chhaai ghatta jaam utha aag se aag bujha phool khila jaam utha pee mire yaar tujhe apni qasam deta hooñ bhool ja shikwa gilaa haath mila jaam utha haath men chaand jahaan aaya muqaddar chamka sab badal jaayega qismat ka likha jaam utha ek pal bhi kabhi ho jaata hai sadiyon jaisa der kya karna yahaañ haath badha jaam utha pyaar hi pyaar hai sab log barabar hain yahaañ may-kade men koi chhota na badaa jaam utha

Bashir Badr

1 likes

phool barase kahii shabnam kahii gauhar barase aur is dil ki taraf barase to patthar barase koi baadal ho to tham jaa.e magar ashk mire ek raftaar se din raat barabar barase barf ke phoolon se raushan hui tareek zameen raat ki shaakh se jaise mah o akhtar barase pyaar ka geet andheron pe ujaalon ki fuwaar aur nafrat ki sadaa sheeshe pe patthar barase baarishen chat pe khulii jagahon pe hoti hain magar gham vo saawan hai jo un kamron ke andar barase

Bashir Badr

4 likes

mirii ghazal ki tarah us ki bhi hukoomat hai tamaam mulk men vo sab se khoobsurat hai kabhi kabhi koi insaan aisa lagta hai purane shahar men jaise nayi imarat hai jamee hai der se kamre men ghaybaton ki nashisht fazaa men gard hai maahol men kudoorat hai bahut dinon se mire saath thii magar kal shaam mujhe pata chala vo kitnii khoobsurat hai ye zaairaan-e-ali-garh ka khaas tohfa hai mirii ghazal ka tabarruk dilon ki barkat hai

Bashir Badr

4 likes

she'r mere kahaan the kisi ke li.e maine sab kuchh likha hai tumhaare li.e apne dukh sukh bahut khoobsurat rahe ham ji.e bhi to ik doosre ke li.e hum-safar ne mira saath chhodaa nahin apne aañsu diye raaste ke li.e is haveli men ab koii rehta nahin chaand niklaa kise dekhne ke li.e zindagi aur main do alag to nahin main ne sab phool kaate isi se li.e shahar men ab mira koii dushman nahin sab ko apna liya maine tere li.e zehan men titliyan ud rahi hain bahut koii dhaaga nahin baandhne ke li.e ek tasveer ghazalon men aisi banii agle pichhle zamaanon ke chehre li.e

Bashir Badr

6 likes

jab sehar chup ho hansa lo ham ko jab andhera ho jala lo ham ko ham haqeeqat hain nazar aate hain dastaanon men chhupa lo ham ko KHoon ka kaam ravaan rahna hai jis jagah chaaho baha lo ham ko din na pa jaa.e kahii shab ka raaz subh se pahle utha lo ham ko ham zamaane ke sataaye hain bahut apne seene se laga lo ham ko vaqt ke hont ha men choo lenge an-kahe bol hain ga lo ham ko

Bashir Badr

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Bashir Badr.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Bashir Badr's ghazal.