vo sahilon pe gaane vaale kya hue vo kashtiyan chalane vaale kya hue vo subh aate aate rah gai kahan jo qafile the aane vaale kya hue main un ki raah dekhta huun raat bhar vo raushni dikhane vaale kya hue ye kaun log hain mire idhar udhar vo dosti nibhane vaale kya hue vo dil men khubne vaali ankhen kya huiin vo hont muskurane vaale kya hue imaraten to jal ke raakh ho gaiin imaraten banane vaale kya hue akele ghar se puchhti hai be-kasi tira diya jalane vaale kya hue ye aap ham to bojh hain zamin ka zamin ka bojh uthane vaale kya hue wo sahilon pe gane wale kya hue wo kashtiyan chalane wale kya hue wo subh aate aate rah gai kahan jo qafile the aane wale kya hue main un ki rah dekhta hun raat bhar wo raushni dikhane wale kya hue ye kaun log hain mere idhar udhar wo dosti nibhane wale kya hue wo dil mein khubne wali aankhen kya huin wo hont muskurane wale kya hue imaraten to jal ke rakh ho gain imaraten banane wale kya hue akele ghar se puchhti hai be-kasi tera diya jalane wale kya hue ye aap hum to bojh hain zamin ka zamin ka bojh uthane wale kya hue
Related Ghazal
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii
Ali Zaryoun
102 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
More from Nasir Kazmi
dil men aur to kya rakha hai teraa dard chhupa rakha hai itne dukhon ki tez hawa men dil ka deep jala rakha hai dhoop se chehron ne duniya men kya andher macha rakha hai is nagri ke kuchh logon ne dukh ka naam davaa rakha hai waada-e-yaar ki baat na chhedo ye dhoka bhi kha rakha hai bhool bhi jaao beetii baatein in baaton men kya rakha hai chup chup kyun rahte ho naasir ye kya rog laga rakha hai
Nasir Kazmi
11 likes
jab zaraa tez hawa hoti hai kaisi sunsaan fazaa hoti hai ham ne dekhe hain vo sannaate bhi jab har ik saans sadaa hoti hai dil ka ye haal hua tere baad jaise veeraan sara hoti hai rona aata hai ha men bhi lekin is men tauheen-e-wafa hoti hai munh-andhere kabhi uth kar dekho kya tar o taaza hawa hoti hai ajnabi dhyaan ki har mauj ke saath kis qadar tez hawa hoti hai gham ke be-noor guzargaahon men ik kiran zauq-faza hoti hai gham-gusaar-e-safar-e-raah-e-wafa miza-e-aabla-pa hoti hai gulshan-e-fikr ki munh-band kali shab-e-mehtaab men vaa hoti hai jab nikalti hai nigaar-e-shab-e-gul munh pe shabnam ki rida hoti hai haadsa hai ki khizaan se pahle boo-e-gul gul se juda hoti hai ik naya daur janam leta hai ek tahzeeb fana hoti hai jab koi gham nahin hota naasir bekli dil ki siva hoti hai
Nasir Kazmi
2 likes
main ne jab likhna seekha tha pahle teraa naam likha tha main vo sabr-e-sameem hooñ jis ne baar-e-amaanat sar pe liya tha main vo ism-e-azeem hooñ jis ko jinn-o-malak ne sajda kiya tha tu ne kyun miraa haath na pakda main jab raaste se bhatka tha jo paaya hai vo teraa hai jo khoya vo bhi teraa tha tujh bin saari umr guzaari log kaheinge tu miraa tha pahli baarish bhejne waale main tire darshan ka pyaasa tha
Nasir Kazmi
9 likes
naasir kya kahtaa firta hai kuchh na suno to behtar hai deewaana hai deewane ke munh na lago to behtar hai kal jo tha vo aaj nahin jo aaj hai kal mit jaayega rookhi-sookhi jo mil jaa.e shukr karo to behtar hai kal ye taab-o-tawaan na rahegi thanda ho jaayega lahu naam-e-khuda ho jawaan abhii kuchh kar guzaro to behtar hai kya jaane kya rut badle haalaat ka koi theek nahin ab ke safar men tum bhi hamaare saath chalo to behtar hai kapde badal kar baal banaa kar kahaan chale ho kis ke li.e raat bahut kaali hai naasir ghar men raho to behtar hai
Nasir Kazmi
8 likes
shahar sunsaan hai kidhar jaayein KHaak ho kar kahii bikhar jaayein raat kitnii guzar gaii lekin itni himmat nahin ki ghar jaayein yoon tire dhyaan se larzata hooñ jaise patte hawa se dar jaayein un ujaalon ki dhun men firta hooñ chhab dikhaate hi jo guzar jaayein rain andheri hai aur kinaara door chaand nikle to paar utar jaayein
Nasir Kazmi
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Nasir Kazmi.
Similar Moods
More moods that pair well with Nasir Kazmi's ghazal.







