waqt-e-ghuroob aaj karaamaat ho gaii zulfon ko us ne khol diya raat ho gaii kal tak to us men aisi karaamat na thii koi vo aankh aaj qibla-e-haajaat ho gaii ai soz-e-ishq tu ne mujhe kya banaa diya meri har ek saans munaajat ho gaii ochi nigaah daal ke ik samt rakh diya dil kya diya gareeb ki sougaat ho gaii kuchh yaad aa gaii thii vo zulf-e-shikan-shikan hasti tamaam chashma-e-zulmaat ho gaii ahl-e-watan se door judaai men yaar ki sabr aa gaya firaq karaamaat ho gaii
Related Ghazal
kabhi milenge to ye karz bhi utaarenge tumhaare chehre ko paharon talak nihaarenge ye kya sitam ki khilaadi badal diya usne ham is umeed pe baithe the ham hi haarenge hamaare baad tere ishq men naye ladke badan to choomenge zulfen nahin sanvaarenge
Vikram Gaur Vairagi
70 likes
ab mere saath nahin hai samjhe naasamjhaane kii baat nahin hai samjhe naa tum maangoge aur tumhein mil jaayega pyaar hai ye khairaat nahin hai samjhe naa main baadal hooñ jis par chaahoon barsoonga meri koii zaat nahin hai samjhe naa apna khaali haath mujhe mat dikhlaao is men meraa haath nahin hai samjhe naa
Zubair Ali Tabish
66 likes
usne do chaar kar diya mujh...ko zehni beemaar kar diya mujh...ko kyuuñ nahin dastaras men tu mere kyuuñ talabgaar kar diya mujh...ko kabhi patthar kabhi KHuda usne chaaha jo yaar kar diya mujh...ko usse koi sawaal mat karna usne inkaar kar diya mujh...ko ek insaan hi to maanga tha us..ko bhi maar kar diya mujh...ko
Himanshi babra KATIB
51 likes
kya ghalatfahmi men rah jaane ka sadma kuchh nahin vo mujhe samjha to saka tha ki aisa kuchh nahin ishq se bach kar bhi banda kuchh nahin hota magar ye bhi sach hai ishq men bande ka bachta kuchh nahin jaane kaise raaz seene men li.e baitha hai vo zahr kha leta hai par munh se ugalta kuchh nahin shukr hai ki usne mujhse kah diya ki kuchh to hai main usse kehne hi vaala tha ki achha kuchh nahin
Tehzeeb Hafi
105 likes
zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii
Ali Zaryoun
102 likes
More from Firaq Gorakhpuri
haath aa.e to vahii daaman-e-jaanaan ho jaa.e chhoot jaa.e to vahii apna garebaan ho jaa.e ishq ab bhi hai vo mehram-e-be-gaana-numa husn yuñ laakh chhupe laakh numayaan ho jaa.e hosh-o-ghaflat se bahut door hai kaifiyyat-e-ishqus ki har be-khabri manzil-e-irfaan ho jaa.e yaad aati hai jab apni to tadap jaata hooñ mirii hasti tira bhoola hawa paimaan ho jaa.e aankh vo hai jo tiri jalwa-gah-e-naaz bane dil vahii hai jo saraapa tira armaan ho jaa.e paak-baazaan-e-mohabbat men jo bebaki hai husn gar us ko samajh le to pashemaan ho jaa.e sahal ho kar hui dushwaar mohabbat teri use mushkil jo banaa len to kuchh aasaan ho jaa.e ishq phir ishq hai jis roop men jis bhes men ho ishrat-e-wasl bane ya gham-e-hijraan ho jaa.e kuchh mudaava bhi ho majrooh dilon ka ai dost marham-e-zakhm tira jaur-pashemaan ho jaa.e ye bhi sach hai koi ulfat men pareshaan kyun ho ye bhi sach hai koi kyunkar na pareshaan ho jaa.e ishq ko arz-e-tamanna men bhi laakhon pas-o-pesh husn ke vaaste inkaar bhi aasaan ho jaa.e jhilmilaati hai sar-e-bazm-e-jahaan sham-e-khu dii jo ye bujh jaa.e charaagh-e-rah-e-irfaan ho jaa.e sar-e-shooreeda diya dasht-o-bayaabaan bhi diye ye mirii khoobi-e-qismat ki vo zindaan ho jaa.e uqda-e-ishq ajab uqda-e-mohmal hai firaq kabhi la-hal kabhi mushkil kabhi aasaan ho jaa.e
Firaq Gorakhpuri
1 likes
kuchh na kuchh ishq ki taaseer ka iqaar to haius ka ilzaam-e-taghaful pe kuchh inkaar to hai har fareb-e-gham-e-duniya se khabar-daar to hai teraa deewaana kisi kaam men hushyaar to hai dekh lete hain sabhi kuchh tire mushtaqa-e-jamaal KHair deedaar na ho hasrat-e-deedaar to hai maarake sar hon usii barq-e-nazar se ai husn ye chamakti hui chalti hui talwaar to hai sar patkane ko patkata hai magar ruk ruk kar tere wahshi ko khayaal-e-dar-o-deewaar to hai ishq ka shikwa-e-beja bhi na be-kaar gayana sahi jaur magar jaur ka iqaar to hai tujh se himmat to padi ishq ko kuchh kehne ki KHair shikwa na sahi shukr ka izhaar to hai is men bhi raabta-e-khaas ki milti hai jhalak KHair iqaar-e-mohabbat na ho inkaar to hai kyun jhapak jaati hai rah rah ke tiri barq-e-nigaah ye jhijak kis li.e ik kushta-e-deedaar to hai kaii unwaan hain mamnoon-e-karam karne ke ishq men kuchh na sahi zindagi be-kaar to hai sehar-o-shaam sar-e-anjuman-e-naaz na ho jalwa-e-husn to hai ishq-e-siyahkaar to hai chaunk uthte hain firaq aate hi us shokh ka naam kuchh saraasimagi-e-ishq ka iqaar to hai
Firaq Gorakhpuri
1 likes
aaj bhi qaafila-e-ishq ravaan hai ki jo tha vahii meel aur vahii sang-e-nishaan hai ki jo tha phir tira gham vahii ruswa-e-jahaan hai ki jo tha phir fasana ba-hadees-e-digaraan hai ki jo tha manzilen gard ke maanind udri jaati hain vahii andaaz-e-jahaan-e-guzaraan hai ki jo tha zulmat o noor men kuchh bhi na mohabbat ko mila aaj tak ek dhundlake ka samaan hai ki jo tha yuñ to is daur men be-kaif si hai bazm-e-hayaat ek hangaama sar-e-ritl-e-giraan hai ki jo tha laakh kar jaur-o-sitam laakh kar ehsaan-o-karam tujh pe ai dost vahii wahm-o-gumaan hai ki jo tha aaj phir ishq do-aalam se juda hota hai aasteenon men li.e kaun-o-makaan hai ki jo tha ishq afsurda nahin aaj bhi afsurda bahut vahii kam kam asar-e-soz-e-nihaan hai ki jo tha nazar aa jaate hain tum ko to bahut naazuk baal dil mira kya vahii ai sheesha-giraan hai ki jo tha jaan de baithe the ik baar havas waale bhi phir vahii marhala-e-sood-o-ziyaan hai ki jo tha aaj bhi said-gah-e-ishq men husn-e-saffaak li.e abroo ki lachakti si kamaan hai ki jo tha phir tiri chashm-e-sukhan-sanj ne chhedi koi baat vahii jaadu hai vahii husn-e-bayaan hai ki jo tha raat bhar husn par aa.e bhi ga.e sau sau rang shaam se ishq abhii tak nigaraan hai ki jo tha jo bhi kar jaur-o-sitam jo bhi kar ehsaan-o-karam tujh pe ai dost vahii wahm-o-gumaan hai ki jo tha aankh jhapki ki idhar khatm hua roz-e-visaal phir bhi is din pe qayamat ka gumaan hai ki jo tha qurb hi kam hai na doori hi ziyaada lekin aaj vo rabt ka ehsaas kahaan hai ki jo tha teera-bakhti nahin jaati dil-e-sozaan ki firaq shama' ke sar pe vahii aaj dhuaan hai ki jo tha
Firaq Gorakhpuri
1 likes
ab daur-e-aasmaan hai na daur-e-hayaat hai ai dard-e-hijr tu hi bataa kitnii raat hai har kaayenaat se ye alag kaayenaat hai hairat-sara-e-ishq men din hai na raat hai jeena jo aa gaya to ajal bhi hayaat hai aur yuñ to umr-e-khizr bhi kya be-sabaat hai kyun intiha-e-hosh ko kahte hain be-khu dii khurshid hi ki aakhiri manzil to raat hai hasti ko jis ne zalzala-samaan banaa diya vo dil qaraar paa.e muqaddar ki baat hai ye mushgaafiyaan hain giran tab-e-ishq par kis ko dimaagh-e-kaavish-e-zaat-o-sifaat hai toda hai la-makaan ki hadon ko bhi ishq ne zindaan-e-aql teri to kya kaayenaat hai gardoon sharaar-e-bark-e-dil-e-be-qaraar dekh jin se ye teri taaron bharii raat raat hai gum ho ke har jagah hain z-khud raftagaan-e-ishq un ki bhi ahl-e-kashf-o-karaamaat zaat hai hasti b-juz fana-e-musalsal ke kuchh nahin phir kis li.e ye fikr-e-qaraar-o-sabaat hai us jaan-e-dosti ka khuloos-e-nihaan na pooch jis ka sitam bhi ghairat-e-sad-iltifaat hai yuñ to hazaar dard se rote hain bad-naseeb tum dil dukhaao waqt-e-museebat to baat hai unwaan ghaflaton ke hain qurbat ho ya visaal bas fursat-e-hayaat firaq ek raat hai
Firaq Gorakhpuri
1 likes
firaq ik nayi soorat nikal to sakti hai ba-qaul us aankh ke duniya badal to sakti hai tire khayal ko kuchh chup si lag gaii warna kahaaniyon se shab-e-gham bahl to sakti hai uroos-e-dehr chale kha ke thokren lekin qadam qadam pe jawaani ubal to sakti hai palat pade na kahii us nigaah ka jaadu ki doob kar ye chhuri kuchh uchhal to sakti hai bujhe hue nahin itne bujhe hue dil bhi fasuregi men tabi'at machal to sakti hai agar tu chahe to gham waale shaadmaan ho jaayen nigah-e-yaar ye hasrat nikal to sakti hai ab itni band nahin gham-kadon ki bhi raahen hawa-e-kooch-e-mahboob chal to sakti hai karde hain kos bahut manzil-e-mohabbat ke mile na chaanv magar dhoop dhal to sakti hai hayaat lau tah-e-daaman-e-marg de utthi hawa ki raah men ye shama' jal to sakti hai kuchh aur maslahat-e-jazb-e-ishq hai warna kisi se chhut ke tabi'at sambhal to sakti hai azal se soi hai taqdeer-e-ishq maut ki neend agar jagaaiye karvat badal to sakti hai gham-e-zamaana-o-soz-e-nihaan ki aanch to de agar na toote ye zanjeer gal to sakti hai shareek-e-sharm-o-haya kuchh hai bad-gumaani-e-husn nazar utha ye jhijak si nikal to sakti hai kabhi vo mil na sakegi main ye nahin kahtaa vo aankh aankh men pad kar badal to sakti hai badalta jaa.e gham-e-rozgaar ka markaz ye chaal gardish-e-ayyaam chal to sakti hai vo be-niyaaz sahi dil mata-e-hech sahi magar kisi ki jawaani machal to sakti hai tiri nigaah sahaara na de to baat hai aur ki girte girte bhi duniya sambhal to sakti hai ye zor-o-shor salaamat tiri jawaani bhi ba-qaul ishq ke saanche men dhal to sakti hai suna hai barf ke tukde hain dil haseenon ke kuchh aanch pa ke ye chaan dii pighal to sakti hai hañsi hañsi men lahu thookte hain dil waale ye sar-zameen magar laal ugal to sakti hai jo tu ne tark-e-mohabbat ko ahl-e-dil se kaha hazaar narm ho ye baat khal to sakti hai are vo maut ho ya zindagi mohabbat parna kuchh sahi kaf-e-afsos mal to sakti hai hain jis ke bal pe khade sarkashon ko vo dharti agar kuchal nahin sakti nigal to sakti hai hui hai garm lahu pee ke ishq ki talwaar yuñ hi jilaaiye ja ye shaakh phal to sakti hai guzar rahi hai dabey paanv ishq ki devi subuk-ravi se jahaan ko masal to sakti hai hayaat se nigah-e-vaapsi hai kuchh maanoos mire khayal se aankhoñ men pal to sakti hai na bhoolna ye hai taakheer husn ki taakheer firaq aayi hui maut tal to sakti hai
Firaq Gorakhpuri
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Firaq Gorakhpuri.
Similar Moods
More moods that pair well with Firaq Gorakhpuri's ghazal.







